NADIYON KA NATURAL SAFAI ABHIYAN HAI...

by soudagar on June 21, 2013, 11:53:41 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4788 times)
soudagar
Guest
Reply with quote
samachar par ek samvadata jor jor se chila raha tha
maa ganga ko vidhawansini aur sursa bta raha tha
prakarti kar rahi hai apni manmaani
gaon sahar aur sadak tak bhar aaya hai baadh ka paani
nadiyon ko simeet karne wale tatbandh tut rahe hain
aur paani ko dekh prashashan ke pasine chhut rahe hain
paani ki maar se jantaa ka jeewan dushwaar ho raha hai
ganga yamunaa ka paani aape se bahar ho gaya hai
kisi ne kaha- paani kya hai saheb tabahi hai tabahi
prakarti ko sunai nahi deti masumo.n ki duhaiii
nadiyon ke is bartav se manavtaa ghayal ho jati hai
sach kahein . barsat ke mousam mein nadiyan pagal ho jati hai

AISA SUNKAR MAA GANGA MUSKARAI AUR
BAYAN DENE JANTA KI ADALAT CHALI AAI

jab katghare mein aakar maa ganga ne apni zuban kholi
to wo karunaapurn aakrosh mein aakar kuch yun boli----
mujhe bhi to apni zameen chhin-ne ka dar lagta hai
manav to meri dhara mein bas kuda karkat dalata hai
dharmik aasthaon ka kachra mujhe jhelna padta hai
zinda se lekar murdon ka avshesh apne bheetar lena padta hai
are manushya jab amrit se jal mein palithin bahata hai
jab mare huye janwar ki sadan se mera jeena mushik ho jata hai
jab meri dhara mein aakar milta hai naalon ka ganda paani
tab to kisi ko nahi dhikhai deti manushya ki manmaani
yeh jo mere bheetar ka jal hai iski prakarti aviral hai
kisi bi tarah ki rukawat mujhse sehan nahi hoti hai
phir bhi tumhare atyachar ki maar dharayein apne upar dhhoti hai
tum nirantar dale ja rahe ho mujhme vikas ka kabaad
aise hee thode hee aa jaati hai baadhhh
maanav ki manmaani jab hadhein laangh deti hai
to prakarti bhi apni seemao.n ko khunti pe tang deti hai
nadiyon ka paani jeewandayi hai is paani ne
yugon yugon se kheton ko sinch kar maanv ki bhukh mitai hai
aur maanav maanav to savbhav se nirdayi hai

isne nirantar prakarti ka shoshan kiya aur
apne chhote swarthon ka poshan kiya
nadiyan ki dhara ko bandhta gayaa
meelon phaile mere paat ko cancreet k dum par kat-ta gaya
sach to yeh hai manushya nirantar nadiyon ki aur badhta aaya hai
nadiyon ki dhara sankuchit kar isne sehar basaaya hai

dhyan se dekhein to aap samjh payenge ki
nadi sehar mein ghusi hai ya sehar nadi mein ghus aaya hai
jise baadh ka naam dekar maanav hairan pareshan hai
yeh to darasal GANGA KA NATURAL SAFAI ABHIYAN HAI
NADIYON KA NATURAL SAFAI ABHIYAN HAI...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
NATURAL HIGHS! by urs4evasomdev in Inspirational Stories and real life Incidences.
Happy Birthday Natural "Jagdish" March 31st..!! by Delicate_Doll in The Wishes and Celebrations « 1 2 3 4  All »
..~~~.~..Natural Beauty..~.~~~.. by Tosha in English
- Natural Beauty - by Tosha in Critics and Review only Forum
Lattu bhai aur safai by prashad in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: June 21, 2013, 12:14:27 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #2 on: June 21, 2013, 02:17:46 PM »
Reply with quote
NICE ONE........................................ Applause Applause Applause
Logged
soudagar
Guest
«Reply #3 on: June 24, 2013, 02:43:56 AM »
Reply with quote
shukriya ravi ji
Logged
anand mohan
Guest
«Reply #4 on: June 28, 2013, 12:14:59 AM »
Reply with quote
 :clap Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


one of the finest thought, we hardly come across. KUDOS. GREAT JOB.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:34:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.164 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer