Naushi Gilani

by Niha Khan on April 20, 2011, 05:05:45 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1800 times)
Niha Khan
Guest
Reply with quote
dhondnay jis mein zindagi nikli
woh us shakhs ki gali nikili

teray lehjay mein kia nehi tha
sirf such ki zara si kami nikli

woh jo legti thi kanch ki guriya
zarb perhnay pe aahini nikli

us haveli mein shaam dhelnay per
her dereechay se roshni nikli

woh hawa tu nehi thi lerki thi
kis liye itni sirphri nikli

woh teray asmaan ka kia kerti
jis ki mitti se dosti nikli
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #1 on: April 20, 2011, 05:07:18 PM »
Reply with quote
tumne to kah diyaa ke muhabbat nahiiN milii
mujh ko to ye bhii kahne kii fursat nahiiN milii

(fursat : oppurtunity)

niiNdoN ke der jaate ko’ii Khvaab dekhte
lekin diyaa jalaane kii fursat nahiiN milii

tujh ko Khair shah’r ke logoN kaa Khauf thaa
aur mujh ko apne ghar se ijaazat nahiiN milii

(Khauf : fear)

phir iKhtilaaf-e-raaye kii suurat nikal paRii
apnii yahaaN kisii se bhii aadat nahiiN milii

(iKhtilaaf-e-raaye : difference of opinion)

be-zaar yuuN hu’e ke tere ahd meN hamiiN
sab kuch milaa, sukuuN kii daulat nahiiN milii

(be-zaar : displeased)
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #2 on: April 20, 2011, 05:07:46 PM »
Reply with quote
Naat Likhne Ka Agar Mujh Ko Karina Aajayee
Jitne Dushwaar Hoo Jena Mujhai Jeena Aajayee

Us Safar Main Kabi Thak'tey Nahi Dil Or Paoon
Jis Safar Main Kahee Ahsas'say'Madina Aajayee

Dubnay waloon!!Kabi Dil Say Pokaroo To Unhain
Khud Bhanwar Lay K Kinarey Pe Safeena Aajayee

Asee Rehmaat Ki Ghaari Bhi Askati Hai
Main Madinay Main Rahoon Or Mujh Main Madina Aajayee

Mujh Ghunagar Bhe'karaan Ki Yahee Jannat Hai
Un Ki Nisbaat Ka Mere Hath Khazeena Aajayee

Ho To Sakhta Hai Agar Ap Karam Farmaa Dain
Meri Ankhoon Say Mere Dil Main Madina Aajayee.....!!

Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #3 on: April 20, 2011, 05:08:05 PM »
Reply with quote
Koi Taza Kahani Or Bhi hai
Abhi Kuch Rayeegani Or Bhi Hai

Kinarey Kiyun Piyasay Reh gayee Hain
Agar Darya Main Pani OR Bhi Hai

Yahan Par Husla Bekhraa Howa Hai
Wahan AK Huk'may'saani Or Bhi Hai

Badan Phir Gir'day'sehra Ho Na Jayee
Safar Main Rayeegani Or Bhi Hai

Abhi hai Wehshat'tay'ghaam Say Muhabbat
A Asskoon Main Rawaani Or Bhi Hai

Agar'chaa Hukom Hai Tar'kay'jonoon ka
Magar Is Dil Nee Thaani Or Bhi Hai.......!!

Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #4 on: April 20, 2011, 06:20:59 PM »
Reply with quote
hmm
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: April 20, 2011, 11:28:18 PM »
Reply with quote
Wah wah Niha ji,aate hi kamal kar diya aapne,bahut dardbhari khoobsurat peshkash.welcome to yo. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #6 on: April 21, 2011, 04:43:24 PM »
Reply with quote
Behad Shukariya Madhuwesh Ji
Logged
srlove143
Guest
«Reply #7 on: April 23, 2011, 05:04:39 AM »
Reply with quote
 Applause
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #8 on: April 26, 2011, 05:52:12 PM »
Reply with quote
Shukariya Srloves143 Ji

Kabi Atkaliyaan Karna Hawaoon Say
Kabi Titliyoon Ki Khuwash Main Machalna
Hamain Bhi Raass Ata Ja Raha Hai
Tumhare Ghaam Ki Bahoon Main Sambhalna...!!



!!Noshi Gilani!!

Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #9 on: April 26, 2011, 05:53:36 PM »
Reply with quote
Bayshaq Na Mere Saath Safar Ikhtiyaar Kar
Ae Mere Bad-Gumaan, Mera Aetbaar Kar

Woh Khud Tou Titliyoun Ko Liye Ghoomta Raha
Aur Mujh Ko Khat Mein Likhta Raha, Intezaar Kar

Ab Unn Kay Qafilay Tou Kahien Dour Ja Chukey
Jin Ki Talab Mein Aaye Thay Sehra Guzaar Kar

Mein Ney Tou Tere Hijar Ka Dukh Jhail Hi Liya
Ab Tu Bhi Khud Ko Waqf-e-Raah-e-Intezaar Kar

Kab Ho Saki Hai Inn Ki Samandar Se Doosti
Mitti Kay Inn Gharondoun Pe Kam Inhesaar Kar

Fursat Miley Tou Dekh Mere Dil Kay Aainey
Aankhoun Se Apney Kaaghazi Parday Utaar Kar

Poet: Noshi Gilani

Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #10 on: April 26, 2011, 05:54:53 PM »
Reply with quote
Sabhi Jazbay Badalte Ja Rahai Hain
K Jaisay Khuwab Marte Ja Rahai Hain

Kuch Din K Liya Dil K Makee'noon Ko
Nazar Andaz Karte Ja Rahai Hain

Jo Dil K Hall Hai Dil Janta Hai
Bazahir To Sambhalte Ja Rahai Hain

Chaly To Hain Tumhare Shair Say Hum
Kaf'fay'Afsos Malte Ja Rahai Hain

Kabi Jin Main Gharor'rey'Tazgi Tha
Wo Khad'do'khal Ab Dhalte Ja Rahai Hain..!!



!!Noshi Gilani!!
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #11 on: April 26, 2011, 05:58:03 PM »
Reply with quote
Diloon Ko Barff Karti Raye'gani Say Nikal Ayee
Koi Kaisay Muhabbat Ki Khani Say Nikal Ayee

Usay Bas Ak Paal Ko Dekhna Tha Bat Karni Thi
Magar Wo Asskh Sada Jo Rawani Say Nikal Ayee

Yaqeen Tha Umar Lag Jayee'gi Is Hayraani'yee'Gham Main
Magar Hum Sham'may'Weshatt Ki Geerani Say Nikal Ayee

Bohut Majboor Rehtay Thay Bohut Masror Rehtay Thay
Tumhare Sehar'rya'Gham Ki Kejh Beyani Say Nikal Ayee

Kahee To Silseela Tehray Badan Ki Is Musafat Ka
Kabi To Be'ghari Ki Meharbani Say Nikal Ayee

Kahee Tarekh Shab Main Yaad K Jugnoo Camaktay Hain
K Jaisay Seep Koi Gehray Pani Say Nikal Ayee.....!!




!!Noshi Gilani!!

Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #12 on: April 26, 2011, 05:58:52 PM »
Reply with quote
Hurf'Fay'Sada Nahi Badla Kartey
Daikh! Lehja Nahi Badla Kartey

Hum Say Badla Na Gaya Rang'gay'Wafa
Loog Kya Kya Nahi Badla Kartey

Ishiq Waloon K Gali Kochoon Main
Geet Lehja Nahi Badla Kartey

Khud Say Jitne Bhi Pa'shay'man Sahee
Dil Ka Rishta Nahi Badla Kartey

Khuf Kaisa Bhi Ho Tufanoon Ka
Apna Darya Nahi Badla Kartey

Kohi Rott Ho Ya Mere De'daye'dil
Apna Sehraa Nahi Badla Kartey.!



!!Noshi Gilani!!

Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #13 on: April 28, 2011, 09:36:09 AM »
Reply with quote
dhondnay jis mein zindagi nikli
woh us shakhs ki gali nikili

teray lehjay mein kia nehi tha
sirf such ki zara si kami nikli

woh jo legti thi kanch ki guriya
zarb perhnay pe aahini nikli

us haveli mein shaam dhelnay per
her dereechay se roshni nikli

woh hawa tu nehi thi lerki thi
kis liye itni sirphri nikli

woh teray asmaan ka kia kerti
jis ki mitti se dosti nikli


WAAAH N.K..BAHUT UMDA
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #14 on: May 08, 2011, 05:34:47 PM »
Reply with quote
Bohat Shukaria K.A Ji And Shihab Ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:39:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer