vb
Guest
|
|
|
Gayay dinon ka suraagh lay kar, kidher say aaya kidher gaya wo Ajeeb maanoos ajnabi thaa, mujhay tu hayraan kar gayaa wo
Bus ake moti si chhab dikhaa kar, bus ake meethi si dhun suna kar Sitaara-e-shaam ban kay aaya, barang-e-khaab-e-sahar gayaa wo
Khushi ki rut ho ya ghum ka mousam, nazar usay dhoondti hay har dam Wo boo-ay gul thaa kay naghma-e-jaan, meray tu dil main utar gaya wo
Na ab wo yaadon ka charhta dariya, na fursaton ki udaas barkhaa Yunhi zara si kasak hay dil main, jo zakhm gehra thaa bhar gaya wo
Kuchh ab sambhalnay lagi hay jaan bhe, badal chala daur-e-aasmaan bhe Jo raat bhaari thi tal gai hay, jo din karaa tha guzar gayaa wo
Bus ake manzil hay boo-ul-hawas ki, hazaar rastay hain ehl-e-dil kay Yehi tu hay farq mujh main us main, guzar gaya main, tehehr gaya wo
Shikastaa paa raah main kharaa hoon, gayay dinon ko bulaa rahaa hoon Jo qaafila meraa hamsafar tha, misaal-e-gard-e-safar gayaa wo
Mera tu khoon ho gayaa hay paani, sitam-garon ki palak na bheegi Jo naalaah utha tha raat dil say, na-jaanay ku bay-asar gayaa wo
Wo may-kaday ko jagaanay wala, wo raaton ki neend uraanay wala Ye aaj kya us kay jee main aai, kay shaam hotay he ghar gayaa wo
Wo hijr ki raat ka sitaara, wo ham-nafas hum-sukhhan hamaaraa Sadaa rahay us ka naam pyaara, sunaa hay kal raat mar gaya wo
Wo jis kay shaanay pay haath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka Teri gali say na jaanay ku aaj sar jhukaayay guzar gayaa wo
Wo raat ka bay-nawaa musaafir, wo teraa shaair wo teraa Nasir Teri gali tak tu hum ne dekha tha phir na jaanay kidher gayaa wo
|