Qateel Shifai...

by majid on January 30, 2011, 10:53:38 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4874 times)
majid
Guest
Reply with quote
apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hun tera nasib apna bana le mujhko

mujhse tu puchne aya hai wafa k mani
ye teri sada dili mar na dale mujhko

main samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi
koi bhi nam mera le k bulale mujhko

tune dekha nahin aine se age kuch bhi
khudaparasti mein kahin tu na ganwale mujhko

kal ki bat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
jitna ji chahe tera aj satale mujhko

khud ko main bant na dalun kahin daman-daman
kar diya tune agar mere hawale mujhko

main jo kanta hun to chal mujh se bachakar daman
main hun gar phul to jure mein sajale mujhko

main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko

tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yad to kar bhulanewale mujhko

bada phir bada hai main zahar bhi pi jaun "Qateel"
shart ye hai koi bahon mein sambhale mujhko


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Beautiful ghazal of Qateel Shifai by Riyaz Ashna in Share Poetry You Like
this ghazal is written by Qateel Shifai by a.r.hashmi in Urdu Poets
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 30, 2011, 11:01:23 AM »
Reply with quote
apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hun tera nasib apna bana le mujhko

mujhse tu puchne aya hai wafa k mani
ye teri sada dili mar na dale mujhko

main samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi
koi bhi nam mera le k bulale mujhko

tune dekha nahin aine se age kuch bhi
khudaparasti mein kahin tu na ganwale mujhko

kal ki bat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
jitna ji chahe tera aj satale mujhko

khud ko main bant na dalun kahin daman-daman
kar diya tune agar mere hawale mujhko

main jo kanta hun to chal mujh se bachakar daman
main hun gar phul to jure mein sajale mujhko

main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko

tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yad to kar bhulanewale mujhko

bada phir bada hai main zahar bhi pi jaun "Qateel"
shart ye hai koi bahon mein sambhale mujhko




Qateel Shifai Saheb ki Tareef mein kuch kehna diye ko roshni dikhaane wali baat hai majid Bhai..Main personally unse bahut inspire hua hoon..mere paas aajbhi unki Likhi Ghazal's ki bahut saari collection hai..he is One of my most fav..

Aapka Teh Dillllll Se Shukriya Jo Aapne Unki Likhi yeh Anmol Ghazal Share ki..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: January 30, 2011, 11:10:47 AM »
Reply with quote
Meri Sabse Pasandida Ghazal mein Se Ek!!!!

Woh Dil Hi kya Tere Milne Ki Jo Dua Naa Kare
Main Tujh Ko bhool Ke Zinda Rahoon Khuda Naa Kare

Rahega Saath Tera Pyaar Zindagi Bhar!!!
yeh Aur Baat Hai meri zindagi Waffa Naa kare

Yeh baat Theek Hai,Nahi Marta Koi Judai Mein!!!
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Juda Naa Kare

Suuna Hai Usko Mohabbat Duuayen Deti Hai!!!
Jo Dil pe Chot Khaaye Magar Gilaa Naa Kare

Zammana Dekh Chuka Hai parakh Chuka Hai Usse
"Qateel" Jaan Se Jaaye par Iltija Naa Kare
Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: January 30, 2011, 12:16:36 PM »
Reply with quote
apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hun tera nasib apna bana le mujhko

mujhse tu puchne aya hai wafa k mani
ye teri sada dili mar na dale mujhko

main samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi
koi bhi nam mera le k bulale mujhko

tune dekha nahin aine se age kuch bhi
khudaparasti mein kahin tu na ganwale mujhko

kal ki bat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
jitna ji chahe tera aj satale mujhko

khud ko main bant na dalun kahin daman-daman
kar diya tune agar mere hawale mujhko

main jo kanta hun to chal mujh se bachakar daman
main hun gar phul to jure mein sajale mujhko

main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko

tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yad to kar bhulanewale mujhko

bada phir bada hai main zahar bhi pi jaun "Qateel"
shart ye hai koi bahon mein sambhale mujhko




behtreen sharing shihab sahab kya kahne qateel shifai ka ek behtreen shayar hain
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: January 30, 2011, 08:20:59 PM »
Reply with quote
Beautiful collection,thanx for sharing Shihab ji,kamaal ke likha Qateel ji ne,Khwaish ji ne bhi achi sharing ki. icon_thumleft
Logged
kishan8888
Guest
«Reply #5 on: January 31, 2011, 10:07:34 AM »
Reply with quote
Achhi pesh kash Usual Smile
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #6 on: January 31, 2011, 07:39:38 PM »
Reply with quote
Good One .......... !!!!!!!!!!!

thanks for sharing .................... !!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: February 01, 2011, 11:36:43 PM »
Reply with quote
Dard bhari peshkash,bahut hi baddiya likha  Qateel Shifai ji ne  ,bahut pasand aayi sabhi kavitayein,thanx for sharing Shihab ji. icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause :clap:Usne chaha bhi tujhe aur jataya bhi nahi,wah kiya kahena.too good
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: February 02, 2011, 06:59:45 PM »
Reply with quote
Nice Sharing Shihab Bhai Ek Se Badhkar EK hai Sab
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:17:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer