SHARABI AUR JUDJE

by BANSI DHAMEJA on June 07, 2012, 10:29:55 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1353 times)
BANSI DHAMEJA
Guest
Reply with quote

                 SHARABI AUR JUDJE
EK SHARABI KO POLICEMAN  NE SHARAB PEETE HUYE PAKRA AUR COURT MEN LE AAYA

JUDGE:    
 
KIYA AAP SHARAB PEE RAHE THE

SHARABI:
MANTA HUN JANAB PEETA HUN
PEE KE BE HISAAB PEETA HUN

LOG LOGON KA KHOON PEETE HAIN
MAIN TO PHIR BHI SHARAB PEETA HUN

JUDGE:    
MANA KI LOGON KA KHOON PEENE SE
SHARAB PEENA ACHHA

PAR SHRARAB PEENE SE
MOHABAT KE JAAM PEENA ACHHA

MOHABAT KISI INSAN SE KARNE SE
KHUDA SE ISHQ ACHHA

CHHOR DO SHARAB APNI SEHAT KE LIYE
KARO ISHQ KHUDA SE ROOHANI SAFAR KE LIYE

SHARABI:
KARTA THA MOHABAT KISI HASINA SE MAIN
BE INTAHA MOHABAT US SE KARTA THA MAIN

KISI AUR KE LIYE MUJHE CHHOR DIYA USNE
DE GAYEE GAM AUR TOR DIYA DIL MERA USNE

USIKE GAM MEN DOOBA RAHATA THA MAINE
USIKO BHULANE KI KOSHISH KARTA THA MAINE

LIYA SAHARA SHARAB KA USKO BHULNE KA MAINE
KITINI BHI PEELOON  USE BHULA NAHIN PATA HUN MAINE

JUDGE:
MAINE BHI KISI SE MOHABAT KI THEE
MERE SAATH BHI KUCHH AIAS HI HUAA THA

MAIN BHI PEENE LAGA THA USKE GAM MEN
EK DOST NE MUJHE EK MASHWARA DIYA

KIYON QURBAN KARTE HO ZINDAGI USKE LIYE
JISKO TUMHARE PYAR KI KADAR HI NAHIN

SAMAJH MEN AAYEE MUJHE USKI YE BAAT
PHIR SOCHA KIYON MOHABAT KISI INSAN SE KAROON
KIYON NA ISHQ KHUDA SE KAROON

INSAAN TO PHIR BHI DOKHA DE SAKTE HAIN
KHUDA KABHI KISI KO DOKHA DETA NAHIN

KARATA HOON ISHQ KHUDA SE MAIN
AUR GAMON SE DOOR RAHTA HUN MAIN

DETA HUN EK MASHWARA TUJH KO
MAT KARO QURBAN USKE LIYE APNI ZINDAGI KO
JISE TUMHARI ZINDAGI KI PARWAH NA HO

SHARABI:
CHHOR DOONGA SHARAB AAJ SE JANAAB
JO AAPNE KAHA USE KARNE KI KOSHISH KAROONGA JANAB

JUDGE "RIHA KARDO IS SHARABI KO"

KUCHH DIN KE BAAD WO HI SHARABI JUDGE KO RASTE MEN LARKHRATA MILA
 
JUDGE:
SHARAB TUMNE CHHORI NAHIN JO AB BHI ITNA LARKHRA RAHE HO
KAAHAN SE KIYA KUCHH PEE KE AA RAHE HO

SHARABI:
LARKHARATE HAIN KADAM MERE
KIYON KI SHARAB PEETA NAHIN

MERE JISM KO AADAT HAI SHARAB KI
JO AB USE MILTEE NAHIN
 
DIYA THA VACHAN AAPKO KI PEEYONGA NAHIN
KUCHH BHI HO JAYE VACHAN TORHOONGA NAHIN

MAIN BHI SAMJHNE LAGA HUN RISHTON KO

PAHLE LOG KAHTE THE DOSTI EK PAL KA SAATH NAHIN
DOSTI NAAM HAI DUKH SUKH MEN SAATH DENE KA
DOSTI NAAM HAI ZINDAGI BHAR SAATH NIBHANE KA

KUSH KISMAT HAIN WO JINHEN AISE DOST MILE HAIN
AAJ KAL TO DOSTI NAAM HAI APNA ULOO SEEDHA KARNE KA

ZINDAGI BADALTI HAI MOHABAT KE SATH
MOHABAT NAHIN BADALTI APNO KE SAATH
BAS APN BADAL JATE HAIN WAQT KE SAATH
 
LARKHARUNGA KITNA BHI MAGAR PEEYUNGA NAHIN
AAP SE WADA KHILAFI KABHI KAROONGA NAHIN

JUDGE:  
DIL KARAT HAI TUJHE APNE SENE SE LAGALOON
AJ SE TUMHEN APNA DOST BANALOON
 
AB TUM MERE DOST HO MERE YAR MERE YAR
MUJHE YE KHNA ACHHA LAGAT HAI BAR BAR
 
SHARABI:  
KHUDA SALAMAT RAKHE AAPKO
AAP KE PYAR NE MUJHE RULA DIYA
EK SHARABI KO APNE INSAAN BANA DIYA
EK SHARABI KO APNEINSAAN BANA DIYA
----bansi dhameja(madhur)
                    
                  
                    
 
                
                    
            
                  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sharabi poetry....post here poetry for sharabi,s by sakaib in Shayri for Khumar -e- Ishq
sharabi by FArah in Shayri-E-Dard
-Sharabi ki kahani- by Tosha in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2  All »
Nadaan Sharabi by Nadaan Alone in Share: Poetry of Pain
sharabi ki talab (AD) by rayees abdullah in Kaifiyaat-ae-maye
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: June 07, 2012, 10:35:02 AM »
Reply with quote
waah waah kyaa baat hai
Logged
roy
Guest
«Reply #2 on: June 07, 2012, 11:57:37 AM »
Reply with quote
boht khoob bansi g .... Applause Applause
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #3 on: June 07, 2012, 06:37:11 PM »
Reply with quote
Saini ji hausla afzahi ke liye shukriya
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #4 on: June 08, 2012, 08:41:17 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Bansi jee.
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #5 on: June 08, 2012, 12:02:05 PM »
Reply with quote
roy ji thanks
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #6 on: June 09, 2012, 04:17:18 PM »
Reply with quote
iftkar ji hausla afzahi ke liye shukriya
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:24:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer