waqt ,dunia , rishte badal rahe hain....

by soudagar on August 08, 2012, 04:39:28 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4061 times)
soudagar
Guest
Reply with quote
jab main chhota tha,
shayad dunia bahut  badi hua karti thi..
mujhe yaad hai mere ghar se "school" tak ka wo rasta,
kya kya nahin tha wahan,
chat ke thele, zalebi ki dukaan,burf ke gole,sab kuch
ab wahan " mobile shop", "video parlour" hain, phir b hi sab suna hai...
shayad ab dunia simat rahi hai......


jab main chhota tha,
shayad shamein bahut lambi hua karti thi....
main hath mein patang ki dor pakde,ghanto udaa karta thaa
wo lambi " cycle ki race", wo bachpan ke khel,
wo har shaam thak ke chur ho janaa,
ab shaam nahi hoti, din dhalta hai aur seedhe raat ho jati hai.........
shayad waqt seemat rahaa hai.......

jab main chhota tha,
shayad dosti  bahut gehri hua karrti thii,
din bhar wo hunjuum banakar khelna,
wo dosto ke ghar ka khaana, sath hasna sath rona,
ab bhi mere kai dost hai,par dosti jaane kahan hai,
jab bhi " traffic signal"pe milte hai," Hi" karte hai
aur apne apne raste chal dete hain,
shayad ab rishte badal rahe hain..shayad ab sab kuch badal raha hai.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: August 08, 2012, 04:48:07 PM »
Reply with quote
jab main chhota tha,
shayad dunia bahut  badi hua karti thi..
mujhe yaad hai mere ghar se "school" tak ka wo rasta,
kya kya nahin tha wahan,
chhat ke thele, zalebi ki dukaan,burf ke gole,sab kuch
ab wahan " mobile shop", "video parlour" hain, phir b hi sab suna hai...
shayad ab dunia simat rahi hai......


jab main chhota tha,
shayad shamein bahut lambi hua karti thi....
main hath mein patang ki dor pakde,ghanto udaa karta thaa
wo lambi " cycle ki race", wo bachpan ke khel,
wo har shaam thak ke chur ho janaa,
ab shaam nahi hoti, din dhalta hai aur seedhe raat ho jati hai.........
shayad waqt seemat rahaa hai.......

jab main chhota tha,
shayad dosti  bahut gehri hua karrti thii,
din bhar wo hunjuum banakar khelna,
wo dosto ke ghar ka khaana, sath hasna sath rona,
ab bhi mere kai dost hai,par dosti jaane kahan hai,
jab bhi " traffic signal"pe milte hai," Hi" karte hai
aur apne apne raste chal dete hain,
shayad ab rishte badal rahe hain..shayad ab sab kuch badal raha hai.


Bahut Bahut Khoooob!!!!!

Yeh Zindagi Ki Talk Haqeeqat hai..Zindagi MeN Kuch Bhi Ek Saa nahi Rehta..
Jab Rishte Hi Ek Se nahi Reh Jaate To Baaki Sab Bahut Door Ki Baatein Hai..


Aapka Yeh Kalaam padhkar Kuch iss Vishey Par likhne Ka Mann Ho Aaya Hai..Khair bahut Bahut Khoobsurat Andaaz-e-Bayaan

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #2 on: August 08, 2012, 05:04:42 PM »
Reply with quote
saudagar ji  icon_salut icon_salut icon_salut
har cheez ko badalte dekha hai
har rishte ko badalte dekha hai
yahn tak ki apne khoon ko paani hote dekha hai
is rang badlti duniyan men
har shai ko badlte dekah hai
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: August 08, 2012, 06:22:32 PM »
Reply with quote
SACHI BAAT
jab main chhota tha,
shayad dunia bahut  badi hua karti thi..
mujhe yaad hai mere ghar se "school" tak ka wo rasta,
kya kya nahin tha wahan,
chat ke thele, zalebi ki dukaan,burf ke gole,sab kuch
ab wahan " mobile shop", "video parlour" hain, phir b hi sab suna hai...
shayad ab dunia simat rahi hai......


jab main chhota tha,
shayad shamein bahut lambi hua karti thi....
main hath mein patang ki dor pakde,ghanto udaa karta thaa
wo lambi " cycle ki race", wo bachpan ke khel,
wo har shaam thak ke chur ho janaa,
ab shaam nahi hoti, din dhalta hai aur seedhe raat ho jati hai.........
shayad waqt seemat rahaa hai.......

jab main chhota tha,
shayad dosti  bahut gehri hua karrti thii,
din bhar wo hunjuum banakar khelna,
wo dosto ke ghar ka khaana, sath hasna sath rona,
ab bhi mere kai dost hai,par dosti jaane kahan hai,
jab bhi " traffic signal"pe milte hai," Hi" karte hai
aur apne apne raste chal dete hain,
shayad ab rishte badal rahe hain..shayad ab sab kuch badal raha hai.

Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #4 on: August 09, 2012, 01:19:15 AM »
Reply with quote
Bahut  khoob saudagarji, dhero dad
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: August 09, 2012, 05:34:42 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut sundar, bahut khoobsurat andaaz me aapne sach ko bayaan kiya hai.. sahi me hum aajkal itne busy hain zindagi ki daud me ki apni khushi ke liye thoda sa waqt nikaalna bhi bahut mushkil ho gaya hai... bahut khoob likha hai aapne Soudagar ji... bahut bahut khoob....!!!
Logged
ripan dev
Guest
«Reply #6 on: August 10, 2012, 02:47:20 AM »
Reply with quote
bahut vadhiya.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
soudagar
Guest
«Reply #7 on: August 10, 2012, 03:24:16 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya khawahish ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #8 on: August 11, 2012, 05:02:55 PM »
Reply with quote
bahut bhut shukriya bansi ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #9 on: August 18, 2012, 05:27:36 PM »
Reply with quote
shukriya manoj ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #10 on: August 21, 2012, 05:38:23 PM »
Reply with quote
shukriya nandbahu ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:58:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer