Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
|
Doston, Ye Ghazal isi Bhi Bhai Ya Behan Ke Dil Ko Takleef Nahi Degi, Agar Wo Khud Ko Indian Samajhte Hain, Baad mein Apne State Ke Aadmi,.
Waise Ye Ghazal Mujeh behad Pasand Aayi Umeed Hai Aap Bhi Pardhkar KHush Honge.,.
Jo Is Ghazal Ka Sahi Matlab Na Samjhe, Rab Unhe Khair Bakshe,.
Ye Kaisi Tasweer Banaa Di, Tumne Hindustaan Ki,. Aag Dhuaan, Nafrat Phaili Aur Jeet Hui Shaitaan Ki,.
Amchi Mumbai, Kehne Waalon, Kabtak, Raag Ye Gaaoge,. Kya Shehr-e-Bombai Ko Apni Chitaa Mein Le Kar Jaaoge,.
Hindustaan Ka Kona Kona, Har Hindi Ka Sapna Hai,. Kaniyakumaari Se Lekar Kashmir Talak Sab Apna Hai,. Ye Dharti Jaager Hai, Dharti Ke Har Insaan Ki,. Ye Kaisi Tasweer Banaa Di, Tumne, Hindustaan Ki,.
Tum To Band Gali Ke Andar Baithke Shor Machaate Ho,. Bade Bahadur Bante Ho, Aur Kamzoron Ko Sataate Ho,.
Himmat Hai To Khuli Fizaa Mein Zehar Mein Doobe Lab Kholo,. UP Ki Sadkon Pe Bolo, Aur Bihar Aakar, Bolo,. Buzdil Bankar Kaat Rahe Ho, Gardan Har Mehmaan Ki,. Ye Kaisi Tasweeer Banaa Di, Tumne Hindustaan Ki,.
Aman Ke Dushman Suno, Tumhaare Naam Khulaa Sandesh Hai Ye,. Punjaabi, Gujraat Bihaari, Sab Logon Ka Desh Hai Ye,.
Tum Ne To Bas Mazloomo Ka Becha, Khoon Bahaaya Hai.. Is Gulshan Par Uska Haq Hai, Jisne Khud Ko Mitaaya Hai,. Ye Dharti Hai, Bhagat Singh Ki, Aur Tipu Sultaan Ki,. Ye Kaisi Tasweer Banaa Di, Tumne Hindustaan Ki,.
Waise To Hum Phool Hain Lekin, Kaanta Bhi Ban Sakte Hain,. Mom Ke Jaisa Dil Hai Apna, Shola Bhi Ban Sakte Hain,.
Jhansi Ki Raani Bankar Hum Maidaano Mein Aaye Hain,. Angrezon Ki Faujon SE Bhi Jaakar Hum Takraaye Hain,. Waqt Pada To Pesh Karenge Hum Bhi Kahaani Balidaan Ki,. Ye Kaisi Tasweer Banaa Di, Tumne Hindustaan Ki,.
-Shabina Adeeb
|