Zehar de Gaya mujhko Badle dawa ke. By "Aarish"

by Aarish on June 15, 2012, 05:06:07 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2734 times)
Aarish
Guest
Reply with quote
Na to Manzilen Hain Na Hi Karwaa(n)Hai,
Magar Ye Safar mera phir bhi rawa(n) hai,

Hawa Hai ghata hai Ya tu phir dhuan hai,
Batade qamar hai ya phir Kehkasha(n) hain,

Yahan par shikari hi khud baghba(n) hai,
Mere Yaar aisa hi hindusta(n) Hai,

Wahi Aag Se Jal Gaya mere Yaroo(n)
samandar kinare mera jo maka(n) hai,

Zehar de gaya mujhko badle dawa ke,
Tabib E Shehar bhi bada be imaa(n) hai

Adab dhundhta hun main daur E Gazab main,
Yahan hai wahan hai na jane kaha(n) hai,

Basi hai jigar main ye mehboob bankar,
badi khoobsurat ye URDU Zaba(n) hai,

Milegi Kahan roshni tumko "Aarish"
Yahan har taraf aik andha kua(n) hai,







Logged
Aarish
Guest
«Reply #1 on: June 15, 2012, 05:06:18 AM »
Reply with quote
Na to Manzilen Hain Na Hi Karwaa(n)Hai,

Magar Ye Safar mera phir bhi rawa(n) hai,                 

Hawa Hai ghata hai Ya tu phir dhuan hai,

Batade qamar hai ya phir Kehkasha(n) hain,

Yahan par shikari hi khud baghba(n) hai,

Mere Yaar aisa hi hindusta(n) Hai,

Wahi Aag Se Jal Gaya mere Yaroo(n)

samandar kinare mera jo maka(n) hai,

Zehar de gaya mujhko badle dawa ke,

Tabib E Shehar bhi bada be imaa(n) hai

Adab dhundhta hun main daur E Gazab main,

Yahan hai wahan hai na jane kaha(n) hai,

Basi hai jigar main ye mehboob bankar,

badi khoobsurat ye URDU Zaba(n) hai,

Milegi Kahan roshni tumko "Aarish"

Yahan har taraf aik andha kua(n) hai






                                 "Aarish"







Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #2 on: June 15, 2012, 05:25:44 AM »
Reply with quote
boht khub kaha apne
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: June 15, 2012, 05:33:15 AM »
Reply with quote
bahut pyaaraa kalaam arish khush raho dheon daad aur mubaarak baad aur ek rau bhee
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: June 15, 2012, 05:46:06 AM »
Reply with quote
achhi phkash hai ,arish saheb . tahe dil se muarakbad pesh hai.
Logged
Aarish
Guest
«Reply #5 on: June 15, 2012, 05:47:14 AM »
Reply with quote
 icon_salut icon_salut icon_salut Shukriya sir aapki hi himmat afzai aur duao ka natija hai , main tehedil se mamnoon aur mashkoor hun aapka ,,,,,
Logged
Aarish
Guest
«Reply #6 on: June 15, 2012, 05:49:23 AM »
Reply with quote
Shukriya hasan sahab bohut nawazish
Logged
soudagar
Guest
«Reply #7 on: June 15, 2012, 07:32:48 AM »
Reply with quote
Bahut bahut bahut bahut hi khoob..... Simplly superb..........great work aarish ji.....dhero daad aur mubark bad.......aur ek rau bhi
Logged
roy
Guest
«Reply #8 on: June 15, 2012, 08:01:48 AM »
Reply with quote
Applause Applause khoob likha jnab
Logged
Aarish
Guest
«Reply #9 on: June 15, 2012, 08:05:13 AM »
Reply with quote
 icon_salut icon_salut icon_salut shukriya karam inayat nawazish,
Logged
Anahita
Guest
«Reply #10 on: June 15, 2012, 10:19:48 AM »
Reply with quote
Na to Manzilen Hain Na Hi Karwaa(n)Hai,

Magar Ye Safar mera phir bhi rawa(n) hai,                 

Hawa Hai ghata hai Ya tu phir dhuan hai,

Batade qamar hai ya phir Kehkasha(n) hain,

Yahan par shikari hi khud baghba(n) hai,

Mere Yaar aisa hi hindusta(n) Hai,

Wahi Aag Se Jal Gaya mere Yaroo(n)

samandar kinare mera jo maka(n) hai,

Zehar de gaya mujhko badle dawa ke,

Tabib E Shehar bhi bada be imaa(n) hai

Adab dhundhta hun main daur E Gazab main,

Yahan hai wahan hai na jane kaha(n) hai,

Basi hai jigar main ye mehboob bankar,

badi khoobsurat ye URDU Zaba(n) hai,

Milegi Kahan roshni tumko "Aarish"

Yahan har taraf aik andha kua(n) hai






                                 "Aarish"








WAAAAAAAAAAAH!
BAHUT KHOOB
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: June 15, 2012, 11:05:18 AM »
Reply with quote
Aarish Sahaab Aadaab!

bahut khoob janab badi hi khoob aur umdaa gazal kahi hai...
Kafi achche khayaalat ko khoob lafzoN meiN baNdha hai janab.. Usual Smile

Is umdaa kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul
kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye..
HaaN in roman meiN lafzoN ko baratne ke liye bracket ki zaroorat
nahi hai... jab kisi lafz ki awaaz silent meiN bayaaN karni hai
toH use capital meiN likhiye....

Shaad O aabaad rahiye...
Khudaa Hafez... Usual Smile                   

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: June 15, 2012, 12:43:24 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #13 on: June 15, 2012, 01:08:42 PM »
Reply with quote
Bhut hee achchi gajal hai.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #14 on: June 15, 2012, 06:25:59 PM »
Reply with quote
Na to Manzilen Hain Na Hi Karwaa(n)Hai,
Magar Ye Safar mera phir bhi rawa(n) hai,

Hawa Hai ghata hai Ya tu phir dhuan hai,
Batade qamar hai ya phir Kehkasha(n) hain,

Yahan par shikari hi khud baghba(n) hai,
Mere Yaar aisa hi hindusta(n) Hai,

Wahi Aag Se Jal Gaya mere Yaroo(n)
samandar kinare mera jo maka(n) hai,

Zehar de gaya mujhko badle dawa ke,
Tabib E Shehar bhi bada be imaa(n) hai

Adab dhundhta hun main daur E Gazab main,
Yahan hai wahan hai na jane kaha(n) hai,

Basi hai jigar main ye mehboob bankar,
badi khoobsurat ye URDU Zaba(n) hai,

Milegi Kahan roshni tumko "Aarish"
Yahan har taraf aik andha kua(n) hai,









BAHUT BAHUT BAHUT KHOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOB ARISH.
VERIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIII NAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAICE---ONE RAU
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:32:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.157 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer