songwriter_123
Guest
|
|
|
Mere Desh Ki Katha
Khilata , main khilata , main khilata chala gaya Kabhi police ko , kabhi sarkari sevak ko , kabhi safed topi wale ko main khilata chala gaya
Socha tha maine ki nahi khilauga kuch bhi Par wey to nikle yaar cricket ke balle ke jaise Ball samjha mujhe aur laga diye chauke - chakke jam ke Pehle one day cricket khilaya phir test ki tarah bola five days me aap aana phir se
Chakkar , main chakkar , main chakkar lagata chala gaya Kabhi office ke , kabhi authority ke , kabhi netaon ki kursi ke main lagata chala gaya
Toot gaye mere paragon ke majboot chappal bhi Tabhi maine dekha paas khade aadmi ne pakdaya hazar ka note Aur kaam kara ke chal diya jaise de diya ho netaon ko unka vote Tab samajh aaya mujhe india mein kaam karane ka tarika
Pilaata , main pilata , main pilata chala gaya Kabhi chaprasi ko , kabhi police afsar ko , kabhi netaon ko main pilata chala gaya
Dekhta hu phir ghode ke paav lag gaye mere kaam pe Jo kal tak rooka tha , aaj poora ho gaya aaram se Paise to kharch hue par sharir to bach gaya Wo chaar kilo jo khoya tha chalte chalte , phir se sharir mein wapas bus gaya
Gaata , main gaata , main gaata chala gaya Kabhi chaplusi , kabhi kaam karane ki khushi , kabhi aam aadmi ki zindagi ke geet gata chala gaya
Aam hai hum , aam ki tarah rehna padega Kaam hai kum , unke paas unhe raza ki tarah sehna padega Jo na saha tune to woh bahut chakkar katwayege Aam ka ek – ek boond ras woh maaza samajh ke pi jayege
Phir baithe rehna aur jaana bhagwaan ke paas Kehna ki koi sunta nahi is desh mein sab hai paiso ke das Waha bhi tujhse pujari yahi bolega Agar kuch maangna hai to , kam se kam dus chadha rupaiye pachas
Haan yahi india hai mera , jaha har kaam ke liye hoti paiso ki ardaas Ab koi to kadam badhao yaaro aur badal to mere bharat ka itihaas
Haarta , main haarta , main haarta chala gaya Kabhi bhrastachar se , kabhi atyachaar se , kabhi jhooth ke prahaar se main haarta chala gaya
Composed by Aamit
|