KYA DESH MERA AAZAD HAI......

by soudagar on August 13, 2012, 03:32:56 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 8934 times)
soudagar
Guest
Reply with quote
15 AUGUST.... HAMRA SABSE BADA TYOHAR HAMARI AAZADI KA DIN....SHAYAD HI KOI HINDUSTANI HOGA JO IS DIN KO NAHI JANTA HOGA  IS DIN KI MAHANTA KO NAHI SAMJHTA HOGA....... PAR MAIN YEH GALT KEH RAHA HOON IS DIN KI MAHANTA IS DIN KE MAYNE SAMJHNE WALE TO YEH DIN BHI NAHI DEKH PAYE THE... AUR JINKE LIYE UNHONE QURBANI DII UNKE LIYE SIRF YEH EK OCCASION HI BANKAR REH GAYA......

KYA HUM SACH MEIN AAZAD HO GAYE HAI.... AAZADI KA SAHI MATLAB KYA HAI ANGREJO KI GULAMI SE AAZADI TO APNE AAP APNI JARURTO KE GULAM HO GAYE.... AAJ BHI WAHI AATANK HAI WAHI CHORI HAI WAHI NARI KA APMAN HO RAHA HAI WAHI SAMAJ KI PURANI REETI HAI TO HUM KAISI AAZADI JEE RAHE HAI .... MUJHE NAHI LAGTA KE HUM AAZAD HAI ...15 AUGUST TO SIRF WO DIN HAI JIS DIN HUM HAR SAHEED KO SHARDANJALI DETE HAI JINHONE APNI TARF SE HAR KOSHISH KI AAZAD KARKAR BHARAT KO SONE KI CHIDHIYA BANTE DEKHNE KI ................



BHARSTACHAT ka aatank hai, gareebi yahan aabad hai
cigrate beedi hai saste, mahnga tel hai mehnagi daal hai
main kaise kahun main kaise manun,  DESH MERA AAZAD HAI....


jungle sare udhyog ban gaye,gaon unnati ke avrodh ban gaye
gaon ka sukun ab khone laga, sahron mein vyapt vishad hai
main kaise kahun main kaise manun, DESH MERA AAZAD HAI...


dafter rupi mandir mein yahan,rishwat ke bhog chadhaye jate hain
sachai dafan ki jati hai, hathi ke dant dikhaye jate hain,
har shakhs shayad majbur hai,koi karta nahi partivad hai,
maine kaise kahun main kaise manun,DESH MERA AAZAD HAI...


GAR VIRODH KARNA YAHAN APRDADH HAI,
TO MUJHE HAR SHAKHS MEIN WO APRADHI CHAHIYE,
DESH KE VASTE LADNE WALA PARTIVADHI CHAHIYE,
GOUR SE SUNO KEH RAHI HAI DESH KI DHARTI
AB KE BARS MUJHE EK NAYI AAZADI CHAHIYE


JAI HIND
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aisa Desh Hai Mera by Azeem Azaad in Shairy-E-Watan « 1 2 3  All »
MERA DESH....MERA JAHAN..!!!!!!!! by badnaam_shayar in Shairy-E-Watan
Aaj Ka Mera Desh by Roja in Shairy-E-Watan « 1 2 ... 16 17 »
Mera Desh by Shayaries_King in Share:Patriotic Poetry
Aazad Bharat, Aazad Naari !! by RUHAANII in Shairy-E-Watan
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: August 13, 2012, 04:24:25 AM »
Reply with quote
I am speechless laajwaab
Logged
Kushal sharma
Guest
«Reply #2 on: August 13, 2012, 07:14:19 AM »
Reply with quote
Bahut lajawab desh sach mein aaj aazad nahi hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: August 13, 2012, 07:17:05 AM »
Reply with quote
15 AUGUST.... HAMRA SABSE BADA TYOHAR HAMARI AAZADI KA DIN....SHAYAD HI KOI HINDUSTANI HOGA JO IS DIN KO NAHI JANTA HOGA  IS DIN KI MAHANTA KO NAHI SAMJHTA HOGA....... PAR MAIN YEH GALT KEH RAHA HOON IS DIN KI MAHANTA IS DIN KE MAYNE SAMJHNE WALE TO YEH DIN BHI NAHI DEKH PAYE THE... AUR JINKE LIYE UNHONE QURBANI DII UNKE LIYE SIRF YEH EK OCCASION HI BANKAR REH GAYA......

KYA HUM SACH MEIN AAZAD HO GAYE HAI.... AAZADI KA SAHI MATLAB KYA HAI ANGREJO KI GULAMI SE AAZADI TO APNE AAP APNI JARURTO KE GULAM HO GAYE.... AAJ BHI WAHI AATANK HAI WAHI CHORI HAI WAHI NARI KA APMAN HO RAHA HAI WAHI SAMAJ KI PURANI REETI HAI TO HUM KAISI AAZADI JEE RAHE HAI .... MUJHE NAHI LAGTA KE HUM AAZAD HAI ...15 AUGUST TO SIRF WO DIN HAI JIS DIN HUM HAR SAHEED KO SHARDANJALI DETE HAI JINHONE APNI TARF SE HAR KOSHISH KI AAZAD KARKAR BHARAT KO SONE KI CHIDHIYA BANTE DEKHNE KI ................



BHARSTACHAT ka aatank hai, gareebi yahan aabad hai
cigrate beedi hai saste, mahnga tel hai mehnagi daal hai
main kaise kahun main kaise manun,  DESH MERA AAZAD HAI....


jungle sare udhyog ban gaye,gaon unnati ke avrodh ban gaye
gaon ka sukun ab khone laga, sahron mein vyapt vishad hai
main kaise kahun main kaise manun, DESH MERA AAZAD HAI...


dafter rupi mandir mein yahan,rishwat ke bhog chadhaye jate hain
sachai dafan ki jati hai, hathi ke dant dikhaye jate hain,
har shakhs shayad majbur hai,koi karta nahi partivad hai,
maine kaise kahun main kaise manun,DESH MERA AAZAD HAI...


GAR VIRODH KARNA YAHAN APRDADH HAI,
TO MUJHE HAR SHAKHS MEIN WO APRADHI CHAHIYE,
DESH KE VASTE LADNE WALA PARTIVADHI CHAHIYE,
GOUR SE SUNO KEH RAHI HAI DESH KI DHARTI
AB KE BARS MUJHE EK NAYI AAZADI CHAHIYE


JAI HIND



Saudagar Ji..Kya Kahooon...

Bahuttttttttttttttttttttt bahutttttttttttttttttttt Khooob!!!!


Lajawaab Soch Par Adhaarit Hai Aapki Kavita..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
piyushappy
Guest
«Reply #4 on: August 13, 2012, 08:49:57 AM »
Reply with quote
15 August National Festival nahi sirf National Holiday ban kar reh gaya hai.
Aur is khokli azadi ko manane ka koi uddaiyesha nahi. Desh ko fir ek kranti ki zarurat hai. Aur mujhe nahi lagta ki sirf Anshan karne se kuch hoga.
Ramayan me kaha gaya hai - "Vinay na maanahi jaladhi jad, gaye teen did beet”. Bole Ram sakop tab , Bhay bin hoye na preet".

Aur iss bahari sarkaar ko sunane ke liye ek dhamake ki zarurat hai.

Jai Hind..
Logged
soudagar
Guest
«Reply #5 on: August 13, 2012, 12:06:55 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya saini sir
Logged
soudagar
Guest
«Reply #6 on: August 14, 2012, 01:29:33 AM »
Reply with quote
shukriya kushal ji
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #7 on: August 14, 2012, 04:53:44 AM »
Reply with quote
GAR VIRODH KARNA YAHAN APRDADH HAI,
TO MUJHE HAR SHAKHS MEIN WO APRADHI CHAHIYE,
DESH KE VASTE LADNE WALA PARTIVADHI CHAHIYE,
GOUR SE SUNO KEH RAHI HAI DESH KI DHARTI
AB KE BARS MUJHE EK NAYI AAZADI CHAHIYE

Waah waah sodagar ji bahut joshiley lafzoN se aapne apni baat ko rakha hai dheron daad aur mubarak baad qabool kariye ..Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
soudagar
Guest
«Reply #8 on: August 15, 2012, 03:33:55 AM »
Reply with quote
bahut bhut shukriya khawahish ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #9 on: August 18, 2012, 05:22:03 PM »
Reply with quote
shukriya piyush ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #10 on: August 20, 2012, 03:09:11 AM »
Reply with quote
shukriya pankaj ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #11 on: August 13, 2013, 10:19:41 AM »
Reply with quote
SHURKIYA ALL READERS
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: August 13, 2013, 11:05:35 AM »
Reply with quote
Beautiful , Soudagar ji . Eik haqeeqat par mabni tasweer kheenchi hai
aur eik sache deshbhakt ka dard bayaan kiya hai . Kaash hum waqai woh
aazaadi paa sakte  jis ki  tamanna  shaheedaan - e - watan ne ke thhi .
Khubsurat nazm par aapko bahut mibarakbaad.
Logged
soudagar
Guest
«Reply #13 on: August 15, 2013, 01:17:43 PM »
Reply with quote
bahut bahut bahut shukriya hasan sir
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:21:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer