Shael Zindagi
Guest
|
|
|
Wo safar me uska saath hona yaad aa raha hai, wo uska mere dard me shareek hona yaad aa raha hai. Ek ajeeb si khushi thi dil me us din, Aur aaj uske sath wo bahut khush hona yaad aa raha hai.
Sath pahli baar kisi ka khud ke hona yaad aa raha hai hathon me wo uske hathon ka hona yaad aa raha hai. Jane kahan door thi us din neend aankhon se, aur bus raat bhar wo baaton ka hona yaad aa raha hai.
Uske sath wo kuch pal tang hona yaad aa raha hai, uska wo mujhe pani se bhigona yaad aa raha hai. Uska wo mujhe chhed ke bhagna, aur mera uske piche wo daudna yaad aa raha hai.
Tanhai wo shaam ko uske sath hona yaad aa raha hai, uska wo mere hath pe kuch likhna yaad aa raha hai. Uska kuch na kah ke sab kah dena, aur mera uski baaton ka won a samajhna yaad aa raha hai.
Raat ko wo uske sath rahon pe chalna yaad aa raha hai, chalte chalte wo uski baaton me gum hona yaad aa raha hai. Mera use samjhana aur shahara dena, aur uska mujhpe wo aitbar hona yaad aa raha hai.
Uska wo kisi baat pe khafa hoke wo gum hona yaad aa raha hai, mera wo use paglon ki tarah dhundhna yaad aa raha hai. Uska milne par mera door ja ke rona yaad aa raha hai, aur uska wo mere ansuon ko wo puchna yaad aa raha hai.
Uska wo bhukhe pet rah jana yaad aa raha hai, apni hi jid pe wo uska khud ko satana yaad aa raha hai. Meri ek takleef pe uska wo tadap uthna, aur apni ujlhan ko wo sabse chupana yaad aa raha hai.
Us raat wo uski halat ka bigadna yaad aa raha hai, mera wo uski halat pe ghabrana yaad aa raha hai. Uska wo Kahna ki mai thiek hun pareshan mat hoiye, aur meri god me wo sir rakh ke so jana yaad aa raha hai.
Sari raat wo uska wo dhyan hona yaad aa raha hai, raat ke har ek pahar baad uske sir ka chuna yaad aa raha hai. Na jane mai kya sochta raha sari raat uske liye, aur sochte sochte ankhon ko wo lag jana yaad aa raha hai.
Aankh khulte hi wo uska haal janne ko tadap uthna yaad aa raha hai, raat bhar uske liye mangi dua ka wo asar hona yaad aa raha hai. Uska wo murjhaya chehra dekh kar, jo tha use apne hathon se khilana yaad aa raha hai.
Uska wo mere dard ko na bhulna yaad aa raha hai, sabki baaton se dukhi ho ke mera wo muh ferna yaad aa raha hai. Uska wo gus’se se patti chhin ke bandhna, aur kisi ki parwah na karke wo mujhpe haq jatana yaad aa raha hai.
Beete un lamhon me wo kisi ke itna kareeb ho jana yaad aa raha hai, kuch pal ke liye har taraf beeti us khamoshi ka chaa jana yaad aa raha hai. Door jate hue usse dil me ek dard umad aaya tha, aur na chahte hue bhi usse wo door jana yaad aa raha hai.
Ghar jake uska mere liye aur mera uske liye wo udas hona yaad aa raha hai, kasmkash aur ghutan ke wo din bitana yaad aa raha hai. Jab na rah sake to usse kah hi di us din dil ki baat, aur uska bhi mujhse wahi kah ke wo mujhe apnana yaad aa raha hai
Uska wo roz mil ke gale lagana yaad aa raha hai, uske sath wo pyaar k eek daur ka gujar jana yaad aa raha hai. Use yaad karke aaj aankhain aaj nam si ho gayi, aur mujhe mere akelepan ko wo ehsas hona yaad aa raha hai.
Kya karoge kahan jaoge kise apna samajh ke sab bataoge “PRAKASH”, Kisi ko paa ke khona yaad aa raha hai bahut yaad aa raha hai.
Written By Prakash : SHAEL
|