DOSTONT KA SATH HI KAFHI HE JEENE MARNE KE LIYE

by PRADEEP.2612 on October 01, 2009, 09:41:10 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2899 times)
PRADEEP.2612
Guest
Reply with quote
Mehek dosti ki, ishq se kam nahin hoti,
Yeh duniyan ishq pe khatam nahin hoti,
Agar saath ho zindagi mein sacche doston ka,
To yeh zindagi kisi jannat se kam nahin hoti...!!!

============================
Kaisi thi woh raat kuch keh sakta nahi main
Chahoon kehna to bayan kar sakta nahi mai,

Dulhan ban ke meri jab woh bahoon main aayee thi
Sej saji thi phoolon ki par us ne mehkai thi,

Ghunghat mein ik chand tha aur sirf tanhai thi
Awaaz dil ke dhadak ne ki bhi phir zor se aayee thi,

Pyar se jo maine ghunghat chand par se hataya tha
Pyar ka rang bhi utarkar uske chehre par aya tha,

Bahoon mein le kar usko phir laboo ki lali churai thi
Us sard raat mein saanse bhi shola ban kar takrai thi,

Tika,bindi,kangna, payal sabne shor machaya tha
Jab uske shokh badan ko maine haath lagaya tha,

Doob gaye the hum dono us dehekti pyar ki aag mein
Tod diya tha hum ne kaliyo ko uske pyar ke baag mein,

Kya batlaaye ab hum, woh raat kis kadar nirali thi
Hamare suhag ki woh raat,jo itni matwali thi……......

===================================
Nigahon mein aur koi dosti ke kabil na raha,
Is kinare ka aur koi sahil na raha,
Chand jaisa dost mila humein zamin par,
Aasma ka chand bhi ab deedar ke kabil nahi raha.

==================================

Phoolon ki wadi me ho basera tera.
Sitaro ke aangan me ho ghar tera.
Dua hai ek Dost ki Dost ke liye.
Ki mujhse bhi khoobsurat naseeb ho tera.
=====================
Dosti kya hai kabhi socha hai tumne doston,
Dosti ki rooh ko jana hai tumne doston.

Dosti kagaz nahin tehreer karne ke liye,
Dosti manzar nahin tasweer karne ke liye.

Dosti lafzon ki soorat se bayan hoti nahin,
Dosti deewar-o-dar ke darmiyan hoti nahin.

Dosti maidaan hai lambi masafat ke liye,
Dosti ik imtehan hai jazbon ki shiddat ke liye.

Dosti ik roshni hai rasta dikhhane ke liye,
Dosti ik rasta hai manzil ko jane ke liye.

Dosti ik khwab hai taa'beer ki tashkeel ka,
Dosti ehsaas hai khud apni hi takmeel ka.

Azm sab se dosti ka haq adaa karte raho,
Rang apni shayari mein is tarah bharte raho.
==============================

Tumhari palkon pe khwaab rakh gaya koi,
Tumhari sanson pe naam likh gaya koi,
Wada raha bhool jana hame,
Agar hamse achha dost mil gaya koi.

==============================

Sachchi hai meri dosti aazmake dekh lo,
Karke yakin mujh pe mere paas aake dekh lo.
Badalta nahi kabhi sona apna rang,
Jitni baar dil kare aag laga kar dekhlo.

=============================

Jahan judai ho wahan milan ka alag hi mazaa hai.
Mehboob bewafaa ho to zindagi ek sazaa hai.
Aap jaisa dost agar mujhko naseeb ho.
Main samjhunga yeh to bas khuda ki razaa hai.

===============================
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Jeene ke liye** by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
per marne ke liye unke aankh ka paani maangte hai by BHONDU in Shayri for Dard -e- Judai
Jeene Ke Liye by FIROZ IQBAL in Ghazals
Tere Sath Jeene Ko Jee Chahta Hai by nashwani in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
NA JEENE KE ,NA MARNE KE HALAAT BANTE HAZOOR HAI...KASH by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: October 01, 2009, 09:49:45 AM »
Reply with quote
Wah wah Pradeep ji bahut bahut khoob,very touching n mindblowig creation ,excellent. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #2 on: October 01, 2009, 11:15:21 AM »
Reply with quote
Nice pardeep ji
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: October 02, 2009, 03:47:06 PM »
Reply with quote
Nice sharing Pradeep ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:06:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer