Iss Ka Rona Nahi Kyun Tumne Kiya Dil Barbaad

by Mast Khalander on February 02, 2016, 12:45:31 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2135 times)
Mast Khalander
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
2 days, 11 hours and 42 minutes.

PhoolNahiMeraDilHai

Posts: 902
Member Since: Jul 2013


View Profile
Reply with quote
Soz-e-Gham De K Mujhe Uss Ne Ye Irshaad Kiya
Ja Tujhe Kash-ma-Kash-e-Dahar Se Azaad Kiya

Wo Karain Bhi Tou Kin Alfaz Main Tera Shikwa
Jin Ko Teri Nigah-e-Lutf Ne Barbaad Kiya

Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehnay Na Diya
Jab Chali Sard Hawa Maine Tujhe Yaad Kiya

Ab Main Sau Jaan Se Is Tarz-e-Takallum Pe Nisaar
Phir Tou Farmaiye Kya Aap Ne Irshaad Kiya

Iss Ka Rona Nahi Kyun Tumne Kiya Dil Barbaad
Iss Ka Gham Hai K Bohat Dair Main Barbaad Kiya

Itna Manoos Hoon Fitrat se, Kali Jab Chatkhi
Jhuk K Maine Ye Kaha, Mujhse Kuch Irshaad Kiya

Meri Har Saans Hai Iss Baat Ki Shahid Ae Maut
Maine Har Lutf K Mauqay Pe Tujhe Yaad Kiya

Mujhko Tou Hosh Nahi Tumko Khabar Ho Shayad
Log Kehtay Hain K Tumne Mujhe Barbaad Kiya

Wo Tujhe Yaad Karay Jisne Bhulaya Ho Kabhi
Humne Tujh Ko Na Bhulaya Na Kabhi Yaad Kiya

Kuch Nahi Iss K Siva Josh Hareefon Ka Kalaam
Vasal Ne Shaad Kiya Hijr Ne Nashaad Kiya

Poet: Janab Josh Malihabadi Sahab
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: February 02, 2016, 10:04:04 PM »
Reply with quote
Bahut umdah  waah, thanks for sharing.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #2 on: February 03, 2016, 04:02:37 AM »
Reply with quote
nice sharing
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: February 03, 2016, 05:36:12 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #4 on: February 03, 2016, 08:54:02 AM »
Reply with quote
Nice sharing  Applause Applause Applause
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #5 on: February 03, 2016, 11:22:54 AM »
Reply with quote
Soz-e-Gham De K Mujhe Uss Ne Ye Irshaad Kiya
Ja Tujhe Kash-ma-Kash-e-Dahar Se Azaad Kiya

Wo Karain Bhi Tou Kin Alfaz Main Tera Shikwa
Jin Ko Teri Nigah-e-Lutf Ne Barbaad Kiya

Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehnay Na Diya
Jab Chali Sard Hawa Maine Tujhe Yaad Kiya

Ab Main Sau Jaan Se Is Tarz-e-Takallum Pe Nisaar
Phir Tou Farmaiye Kya Aap Ne Irshaad Kiya

Iss Ka Rona Nahi Kyun Tumne Kiya Dil Barbaad
Iss Ka Gham Hai K Bohat Dair Main Barbaad Kiya

Itna Manoos Hoon Fitrat se, Kali Jab Chatkhi
Jhuk K Maine Ye Kaha, Mujhse Kuch Irshaad Kiya

Meri Har Saans Hai Iss Baat Ki Shahid Ae Maut
Maine Har Lutf K Mauqay Pe Tujhe Yaad Kiya

Mujhko Tou Hosh Nahi Tumko Khabar Ho Shayad
Log Kehtay Hain K Tumne Mujhe Barbaad Kiya

Wo Tujhe Yaad Karay Jisne Bhulaya Ho Kabhi
Humne Tujh Ko Na Bhulaya Na Kabhi Yaad Kiya

Kuch Nahi Iss K Siva Josh Hareefon Ka Kalaam
Vasal Ne Shaad Kiya Hijr Ne Nashaad Kiya

Poet: Janab Josh Malihabadi Sahab


achchchi sharing hai janaab Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: February 03, 2016, 02:54:47 PM »
Reply with quote
 :clapping Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: February 03, 2016, 06:28:06 PM »
Reply with quote


Khalander Sahab Aadaab ...!

Behad laa jawaab sharing ki hai janab ...
Aapki choice ko salaam ...

Dilshaad ho gaya is khoobsurat gazal se
rubaru hokar ...

Is umdaa sharing ke liye tah e dil se shukriyaa janab ...
Aage bhi aise pasandeeda kalaamoN se nawaazte rahiye ...

Shaad O aabaad rahiye ...
Khuda Hafez ...


Logged
Mast Khalander
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
2 days, 11 hours and 42 minutes.

PhoolNahiMeraDilHai

Posts: 902
Member Since: Jul 2013


View Profile
«Reply #8 on: February 04, 2016, 08:03:30 AM »
Reply with quote
Sabhi bhaion ka thanksss
Logged
Maaya
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
3 hours and 22 minutes.

Im nothing without you

Posts: 105
Member Since: Mar 2016


View Profile
«Reply #9 on: March 17, 2016, 06:26:19 AM »
Reply with quote
Nice
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:23:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer