صورت نہیں رہتی، کبھی سیرت نہیں رہتی

by zahidaraji on July 15, 2012, 12:00:32 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 902 times)
zahidaraji
Guest
Reply with quote
میری ایک پرانی غزل آپ سب کی نذر

غزل
صورت نہیں رہتی، کبھی سیرت نہیں رہتی
یکساں تو کسی کی کبھی حالت نہیں رہتی

انسان پہ وقت ایسا بھی آسکتا ہے اک دن
حالات سے لڑنے کی بھی ہمت نہیں رہتی

دل تب بھی اُجالوں کی تمنا نہیں کرتا
جب سامنے خوابوں کی حقیقت نہیں رہتی

گر بھیڑ میں تنہائی کی عادت ہو کسی کو
محفل کی اُسے ذرہ بھی رغبت نہیں رہتی

بیگانہ ِہر خواب ہی ہو جائے اگر دل
پھر اس کو تو جینے کی بھی چاہت نہیں رہتی

حالات کے گرداب میں اُلجھا ہوا انسان
بکھرے تو سمٹنے کی بھی طاقت نہیں رہتی

خود اپنی ہی نظروں سے تو گرنا نہیں اچھا
گر جائے تو اُٹھنے کی بھی ہمت نہیں رہتی

دُنیا کے جھمیلے سے نکل آئیں تو سوچیں
کیونکر ہمیں دُنیا کی ضرورت نہیں رہتی

سالوں میں ملاقات کی آتی نہیں نوبت
رشتوں کے نبھانے کی جو فرصت نہیں رہتی

دل میں جو ذرا سی بھی مروت رہے راجی
شکوے نہیں رہتے ہیں، شکایت نہیں رہتی

زاہدہ رئیس راجی
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: July 15, 2012, 12:13:02 PM »
Reply with quote
zahid ji roman men hota to ham bhee samajh lete
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: July 15, 2012, 12:25:09 PM »
Reply with quote
Jahid ji
pahle to swagat hai aapka is bajm me.
par urdu me hone ki vajah se bahut se kadradaan iska lutf nahee uthaa paayenge.
Shukriya
Logged
Sps
Guest
«Reply #3 on: July 15, 2012, 12:35:02 PM »
Reply with quote
agar ek translate button add kar de iAdmin ji...to hambhi unki bhavnao ko samjh paate
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: July 15, 2012, 02:38:41 PM »
Reply with quote
Raaji ji . Yoindia Shayariadab  per aapka  welcome hai.
Bahut khubsurat ghazal hai.Tah e dil se daad pesh karta
hoon.Doston ki aasaani ke liye  Roman mein aapki ghzal
likhe de raha hoon.Aayenda se aap koshish karein ki Urdu
script mein to post karein lekin saath mein Roman mein
bhi use likh dein taaki woh readers bhi parh sakein jo
Urdu script mein nahi padh sakte. Khair andesh,HASAN



GHAZAL

Soorat nahi rahti, kabhi seerat nai rahti,
YaksaaN to kisi ki kabhi haalat nahi rahti

Insaan pe waqt aisa bhi aa sakta hai ek din,
halaat se ladne ki bhi himmat nahi rahti

Dil tab bhi ujaalon ki tamanna nahi karta,
Jab saamne khwaabon ki haqeeqat nahi rahti

Gar bheed mein tanhai ki aadat ho kisi ko
Mahfil ki use zarra bhi raghbat nahi rahti

Begana e har khwaab hi ho jaaye agar dil,
Phir usko to jeene ki bhi chahat nahi rahti

Halaat ke gerdaab mein uljha hua insaan,
Bikhre to simatne ki bhi taaqat nahi rahti

Khud apni hi nazron se to girna nahi achha,
Gir jaaye to uthne ki bhi himmat nahi rahti

Dunya ke jhamele se nikal aayen to sochen,
Kyunkar hamein dunya ki zaroorat nahi rahti

Saalon mein mulaqaat ki aati nahi naubat,
Rishton ko nibhaane ki jo fursat nahi rahti

Dil mein jo zara bhi murawwat rahe  'Raaji'
Shikwe nahi rahte , shikayat nahi rahti

 -Zahida Raees Raaji -


Logged
roy
Guest
«Reply #5 on: July 15, 2012, 06:10:56 PM »
Reply with quote
wwwwaaaaaaaaahhh boohoot khooooobb likha hai RAAJI SIR

dherroon daad !!

OR HASSAN SIR AAPKA BOOHOT BOHOT SHUKRIYA JO APNE IS KHOBSORAT PANKTIYON KO TRANSLATE KIYA TAKE HUM BHI ISKA LUTF UTHA PAYE !!
Applause

raaji sir please roman mai bhi likh dia karen bazam mai majud kafi sare shayron ko "(including me) urdu padni nahi ati or hu bilkul nahi chahte k iss khobsorat gazal se hum anjan rahe

OR Yoindia Shayariadab FAMILY MAI APKA SWAGAT HAI
  Usual Smile

Logged
Aarish
Guest
«Reply #6 on: July 17, 2012, 05:02:15 AM »
Reply with quote
zahid Ji kya baat hai bohut khoobsurat ghazal kahi, yoindia family aapko khushamdid kehti hai, aur ummed karta hun ki aainda bhi aap itni khoobsurat ghazlon se hameN mehzuz karte rahenge.   Applause   Applause   Applause
Logged
zahidaraji
Guest
«Reply #7 on: July 17, 2012, 09:31:00 AM »
Reply with quote
Aadaab dostooN

Ghazal kee pasandeedgi aur comments k liYe bohut mamnoon(thankful) hooN.

mujhe aap logoN ke is bazm ke uSoolooN ka ilm naheN thaa isliYe Urdu script meN apnii Ghazal post kar dee hai.

F.H.Siddiqui SaaHeb ke shukrguzaar hooN keh unhoN ne is Ghazal ko roman rang diya.

Pazeerayii aur Khair maqdam k liYe mamnoon hooN

t^alib e dua'a
Zahida Raees Raji
Logged
zahidaraji
Guest
«Reply #8 on: July 17, 2012, 09:33:25 AM »
Reply with quote
zahid Ji kya baat hai bohut khoobsurat ghazal kahi, yoindia family aapko khushamdid kehti hai, aur ummed karta hun ki aainda bhi aap itni khoobsurat ghazlon se hameN mehzuz karte rahenge.   Applause   Applause   Applause
Aarish SaaHeb

Ghazal kee pasandeedgi aur bazm meN Suaqat ke liYe shukrguzaar hooN.
ek taSeeH karna chahooNgii keh mera naam Zahida Raees Raji hai aur maiN ek Khatoon hooN.

wasslam
Zahida Raees Raji
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #9 on: July 17, 2012, 09:40:28 AM »
Reply with quote
Raji saheb aaj Hasan bhaai jaan kee meharbaanee se aapkaa kalaam padhaa dheron daa qubool farmaaye aapkaa bahut bahut welcome aapkee baangee ne man ko moh liyaa hai aapko mubarak baad detaa hoon
Logged
mkv
Guest
«Reply #10 on: July 17, 2012, 02:30:19 PM »
Reply with quote
Raaji jee
yo Family me aapka tah-e-dil se swagat hai.. Aapke is khoobsurat ghajal ko hamare liye padhna mumkin nahi tha..par hasan sahab kee meharbaani se isse ham rubaroon ho sake..
aapko bharpoor daad dete hai aur
Hasan sir ko bhi baaadab salaam karte hai unke is dariyadil pahal ke liye..

ek aur baat..ise aapne poetry lounge section me post kiya hai jo sirf doosro ki likhi kalaamo ke sharings ke liye hai.. i hope u understand.
Logged
zahidaraji
Guest
«Reply #11 on: July 19, 2012, 04:07:11 PM »
Reply with quote
MKV ji
Aadaab

Ghazal kee pasandeedgi k liYe bohut shukr-guzaar hooN.
aap ne kaha ke maiN is Ghazal ko apne poetry lounge meN post kartee lekin janab yeh sahoolat tu mere paas thee hee naheN phir maiN kaise post kartee?
ab bhi agar chaheN tu ADMIN aur Moderators yeh kaam kar sakte heN jis taraH ke maiN apne forums par kartee hooN.

mamnoon wa talib e dua'a
Zahida Raees Raji
Logged
suman59
Guest
«Reply #12 on: July 29, 2012, 06:46:52 PM »
Reply with quote
Quote
GHAZAL

Soorat nahi rahti, kabhi seerat nai rahti,
YaksaaN to kisi ki kabhi haalat nahi rahti

Insaan pe waqt aisa bhi aa sakta hai ek din,
halaat se ladne ki bhi himmat nahi rahti

Dil tab bhi ujaalon ki tamanna nahi karta,
Jab saamne khwaabon ki haqeeqat nahi rahti

Gar bheed mein tanhai ki aadat ho kisi ko
Mahfil ki use zarra bhi raghbat nahi rahti

Begana e har khwaab hi ho jaaye agar dil,
Phir usko to jeene ki bhi chahat nahi rahti

Halaat ke gerdaab mein uljha hua insaan,
Bikhre to simatne ki bhi taaqat nahi rahti

Khud apni hi nazron se to girna nahi achha,
Gir jaaye to uthne ki bhi himmat nahi rahti

Dunya ke jhamele se nikal aayen to sochen,
Kyunkar hamein dunya ki zaroorat nahi rahti

Saalon mein mulaqaat ki aati nahi naubat,
Rishton ko nibhaane ki jo fursat nahi rahti

Dil mein jo zara bhi murawwat rahe  'Raaji'
Shikwe nahi rahte , shikayat nahi rahti

 -Zahida Raees Raaji -

wah waaaah wahhh great  Applause Applause Applause
Logged
Zahida Raees Raji
Guest
«Reply #13 on: December 19, 2012, 06:26:52 AM »
Reply with quote
wah waaaah wahhh great  Applause Applause Applause

Thank u so much Suman ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:11:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer