Andaaz nirala hai

by Ghulam Haider on July 04, 2013, 04:43:18 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2822 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Parde ko uThane ka, andaaz nirala hai.
Deedaar karane ka, andaaz nirala hai.
------------------------------------------------

Ek husn ki devi ka, ek ishq ke paikar se,
NazroN ke milane ka, andaaz nirala hai.
------------------------------------------------

Izhar e tamanna par, chehre ko wo sharma kar,
HaathoN se chhupane ka, andaaz nirala hai.
------------------------------------------------

AaNkhoN se chhalakte haiN, sao jaam mohabbat ke,
Har jaam pilane ka, andaaz nirala hai.
------------------------------------------------

Madhosh kiya ham ko, kis tarh se uf! tauba!,
Phir hosh meN lane ka, andaaz nirala hai.
------------------------------------------------

LooTa hai hameN Haider, qatil ki adaaoN ne,
Deewana banane ka, andaaz nirala hai.
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #1 on: July 04, 2013, 05:04:07 PM »

gr8888888888888888888,sir
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: July 04, 2013, 05:08:00 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah. bahut pyaari kalaam rahi. is khoobsurat kalam par hazaron dili daad.
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013

View Profile
«Reply #3 on: July 04, 2013, 05:21:15 PM »
Reply with quote
Bahot khoooob andaaz raha - waaaaaah waaaah waaah...
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: July 04, 2013, 06:33:17 PM »
Reply with quote

gr8888888888888888888,sir

Pasand karne ke liye shukriya.
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 32 minutes.
Posts: 18608
Member Since: Jun 2009

View Profile
«Reply #5 on: July 04, 2013, 06:34:35 PM »
Reply with quote
BOHUT KHUB GHULAAM  HAIDER JI
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: July 04, 2013, 06:40:24 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah. bahut pyaari kalaam rahi. is khoobsurat kalam par hazaron dili daad.
Janab "aqsh" ji, hamare kalam se aap ki daad kahiN ziyadah pyaari hai. App ki dili moHabbat ke liye tah e dil se shukr guzaar hooN
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #7 on: July 04, 2013, 06:47:58 PM »
Reply with quote
Bahot khoooob andaaz raha - waaaaaah waaaah waaah...

Apna andaaz kuchh bhi nahiN, Be bahaa aap ki daad hai. Aap ka mamnoon hooN
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: July 04, 2013, 06:54:48 PM »
Reply with quote
BOHUT KHUB GHULAAM  HAIDER JI

Saahill Sb. aap ki daad mere liye bahut qeemati hai. Shukriya
Logged
sbechain
Guest
«Reply #9 on: July 04, 2013, 07:41:54 PM »
Reply with quote
Parde ko uThane ka, andaaz nirala hai.
Deedaar karane ka, andaaz nirala hai.

main aisa kabhi nahin karti tumne kisi aur ko dekha hoga . mere hyderabad mein aisa nahin hota hai icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
------------------------------------------------

Ek husn ki devi ka, ek ishq ke paikar se,
NazroN ke milane ka, andaaz nirala hai.

bataao phir kaun jeeta iss khel mein Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
------------------------------------------------

Izhar e tamanna par, chehre ko wo sharma kar,
HaathoN se chhupane ka, andaaz nirala hai.

haan ji sharmaane wali baat hogi to zaroor sharmaao.n gi aur main to baat-baat pe sharma jaati hoon icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
------------------------------------------------

AaNkhoN se chhalakte haiN, sao jaam mohabbat ke,
Har jaam pilane ka, andaaz nirala hai.

phir bhi tumhein nasha nahin aata ---main pareshan ho chuki hoon ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
------------------------------------------------

Madhosh kiya ham ko, kis tarh se uf! tauba!,
Phir hosh meN lane ka, andaaz nirala hai.

mere paas koi kaam hi nahi raha is ke siwa hai ...na
BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead
------------------------------------------------

LooTa hai hameN Haider, qatil ki adaaoN ne,
Deewana banane ka, andaaz nirala hai.

bhala pahle se diwaane ko main kyon diwaanaa banaa ne lagi Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

bahut khoob haidar sahab.................!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #10 on: July 04, 2013, 09:41:31 PM »
Reply with quote
waah waah wah bahut khoob
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #11 on: July 04, 2013, 10:05:43 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #12 on: July 04, 2013, 10:14:54 PM »
Reply with quote

Haider Sahaab Aadaab... !

Badi hi dilkash aur umdaa kalaam kahi hai janab.. behad khoob ashaar rahe... Har ashaar qabil e daad hai janab...

Is umdaa aur dilkash kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Aur is quoted ashaar par bus dil se waaH waaH aur waaH hi ...
Likhate rahiye... Bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...

------------------------------------------------

Madhosh kiya ham ko, kis tarh se uf! tauba!,
Phir hosh meN lane ka, andaaz nirala hai.
------------------------------------------------

Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #13 on: July 04, 2013, 10:55:37 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: July 04, 2013, 11:08:20 PM »
Reply with quote

bahut khoob haidar sahab.................!

bahut khoob haidar sahab.................!
MoHtarama "Sheba" ji tasleem !
Mujhe khushi hai ke aap ne mere kalaam ko apne tajziye aur taHleel ke qaabil samajh kar waqt diya. Saath hi saath mukhtaSar sa ta'aruf bhi ho gaya, apne khoobSoorat andaaz meN daad de kar meri hausla afzaaie bhi ki. Aap ki dili moHabbat aur pur khulooS daad o taHseen ke liye sarapa mamnoon aur tah e dil se shukr guzaar hooN......Hamesha khush raheN.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:28:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer