Andaaz nirala hai

by Ghulam Haider on July 04, 2013, 04:43:18 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2826 times)
Ghulam Haider
Guest
«Reply #15 on: July 04, 2013, 11:15:00 PM »
Reply with quote
waah waah wah bahut khoob
Janab "sksaini" ji aap se daad paa kar bahut khushi huie. Yaqeenan mera kalam kisi qaabil tha......Allah aap ko hamesha khush rakhe
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #16 on: July 04, 2013, 11:17:36 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

Janab "Hariday" Sb. aap ka kamaal ye hai ke kuchh na keh kar bhi aap ne bahut kuchh keh diya. Aap ki daad ke liye shukriya
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #17 on: July 04, 2013, 11:27:38 PM »
Reply with quote

Haider Sahaab Aadaab... !


Badi hi dilkash aur umdaa kalaam kahi hai janab.. behad khoob ashaar rahe... Har ashaar qabil e daad hai janab...

Is umdaa aur dilkash kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Aur is quoted ashaar par bus dil se waaH waaH aur waaH hi ...
Likhate rahiye... Bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...



Jis andaaz se aap hamesha mujhe daad dete haiN wo nirala hai. Aap ke luTf o karam ki naZar hamesha mere kalaam par rahi hai, Daad ke saath dua'a aur us ke liye KhulooS andaaz.... ba har Haal maiN aap ka shukriya adaa karne se qaaSir hooN. Allah aap ko salaamat rakhe.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #18 on: July 04, 2013, 11:32:03 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

Miru ji aapka bahut bahut shukriya ke aap ne Haqeer ke kalaam ko is qaabil samjha.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #19 on: July 05, 2013, 12:39:25 AM »
Reply with quote
bahut khubsurat ghazal kahi hai . parh kar yeh kahna hi padega ki aapka :

is  bazm  mein  aane  ka  , andaaz  nirala  hai.

 ...bahut bahut mubarakbad
 
 
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #20 on: July 05, 2013, 12:43:40 AM »
Reply with quote
Parde ko uThane ka, andaaz nirala hai.
Deedaar karane ka, andaaz nirala hai.
------------------------------------------------

Ek husn ki devi ka, ek ishq ke paikar se,
NazroN ke milane ka, andaaz nirala hai.
------------------------------------------------

Izhar e tamanna par, chehre ko wo sharma kar,
HaathoN se chhupane ka, andaaz nirala hai.
------------------------------------------------

AaNkhoN se chhalakte haiN, sao jaam mohabbat ke,
Har jaam pilane ka, andaaz nirala hai.
------------------------------------------------

Madhosh kiya ham ko, kis tarh se uf! tauba!,
Phir hosh meN lane ka, andaaz nirala hai.
------------------------------------------------

LooTa hai hameN Haider, qatil ki adaaoN ne,
Deewana banane ka, andaaz nirala hai.
बहुत खूबसूरत है.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #21 on: July 05, 2013, 05:52:56 AM »
Reply with quote
Superb
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #22 on: July 05, 2013, 05:06:20 PM »
Reply with quote
bahut khubsurat ghazal kahi hai . parh kar yeh kahna hi padega ki aapka :

is  bazm  mein  aane  ka  , andaaz  nirala  hai.

 ...bahut bahut mubarakbad
 
 
Janab "F.H.SIDDIQUI" Saahib aap ka intihaie mamnoon aur shukr guzaar hooN ke adnaa se kalaam par haqeer ko daad e tahseen se nawaza. Aap ka misra' bhi khoob hai.....daad qabool farmayeN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #23 on: July 05, 2013, 09:21:07 PM »
Reply with quote
बहुत खूबसूरत है.
Kalaam ko pasand karne aur us ki khoobSoorati ki daad dene ke liye shukriya janab "Advo.RavindraRavi" ji
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #24 on: July 05, 2013, 09:24:39 PM »
Reply with quote
Superb
Pasand karne aur daad dene ke liye shukriya janab "Masoom Shahzada" ji. Hamesha khush o khurram raheN...
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #25 on: August 27, 2013, 01:16:53 PM »
Reply with quote
Congratulations,

Your work has been featured in "Aug 2013 Yoindia Shayariadab Newsletter". We hope you will continue to grace this Bazm with your beautiful words always. Comments and feedback is appreciated.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #26 on: August 28, 2013, 08:05:47 PM »
Reply with quote
Congratulations,

Your work has been featured in "Aug 2013 Yoindia Shayariadab Newsletter". We hope you will continue to grace this Bazm with your beautiful words always. Comments and feedback is appreciated.
Shukriya admin aap ka.maiN apni Taraf se poori koshish karta rahooNga.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:37:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer