****andaz samajh lete hai****

by mohsin akhter on July 21, 2010, 12:04:26 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2487 times)
mohsin akhter
Guest
Reply with quote
MERI KOM KI HALAT PER ANKHO SE ANSU BARASTE HAI
YE BAAT AUR HAI LOG USE BARSAT SAMAJH LETE HAI

PATJHAD MAIN JO SOOKH JATA HAI GULSHAN
NA JANE KYON LOG USE BARBAD SAMAJH LETE HAI

RO DETE HAI LOG AKSAR APNI KHATAYE YAAD KARKE
NA JANE KYON LOG UNHE ZAZBAAT SAMAJH LETE HAI

MERI AADAT HAI MOHSIN MAHFIL MAIN KHAMOSH RAHNE KI
NA JANE KYON LOG USE MERA ANDAZ SAMAJH LETE HAI

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Andaz by Pooja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
jeena ka andaz by dhir in Shayri-E-Dard
***Andaz*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Khumar -e- Ishq
yaha muhabbat ko bhi log ahsaan samajh lete hain,,,,,,,sunil by sunildehgawani in Miscellaneous Shayri
...peer samajh lete hain ...................(Raashid) by khhanabadosh in Shairi - E - Zindagi
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: July 21, 2010, 01:06:20 PM »
Reply with quote
wahhhh Mohsin ji aapne bht hi pyara likha hai.... sply last stanza...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: July 22, 2010, 02:09:33 AM »
Reply with quote
bahut khoob Mohsin ji...!!!
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #3 on: July 22, 2010, 06:36:55 AM »
Reply with quote
sukriya kasak ji bahut bahut sukriya

MAIN KHATA KARTA HOON KASAK KISI KO HASANE KE LIYE
YE BAAT AUR HAI KI LOG MUJHE KHATAGAAR SAMAJH LETE HAI
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #4 on: July 22, 2010, 06:37:33 AM »
Reply with quote
bahut khoob Mohsin ji...!!!


THANKS
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #5 on: July 22, 2010, 12:00:12 PM »
Reply with quote
Janab Mohsin Akhtar Saheb! Adab !

Aap to janab fikr ke urooj pe ja pahunche haiN jahan aapko Khuda rota hua dikhaayee de raha hai aur na jaane kya kya dikhaayee de raha hai. Aapke lafzoN se to aisa lag raha hai k aap khuda ko na sirf jaante haiN balki pahchaante bhi haiN. Aapki nigaah meiN khuda na hua insaan ho gaya. Agar khuda rota hai to phir khudayee kya hai. Maana ke aapko kuchh bhi likhne ka haq hai magar kuchh bhi likhne se muraad ye nahiN hai k fuzool ki baateiN likhiN jaayeN. Khuda ko aap ne khel tamaasha samajh rakkha hai, jab chaaha jaise istemaal kar liya. Aapko pata hona chaahiye k is tarah ki lekhni se kisi ki dilaazaari ho sakti hai. Aap mohsin haiN, aap se mohsin kaam ki tawaqqo hai. Itna achchha naam rakh kar be-sir pair ki baateiN likh paRh rahe haiN. Shaayari ye nahiN hai k kuchh bhi likh diya jaaye balki shaayari ye hai k kya nahiN likha jaaye. Agar ye samajh aa gayi tabhi aap apne naqsh chhoR sakte haiN. Main aap se request karta hooN k aap is tarah ki lekh likhne se ijtenaab kareN jahan kisi ki dilaazaari ho rahi ho yahi aapke liye aik laaiq-e-mohsin qadam hoga.

(Waquif Ansari)


YU TO KHUDA BHI ROTA HAI NIGAHEN AIN BANKAR
YE BAAT AUR HAI LOG USE BARSAT SAMAJH LETE HAI

PATJHAD MAIN JO SOOKH JATA HAI GULSHAN
NA JANE KYON LOG USE BARBAD SAMAJH LETE HAI

RO DETE HAI LOG AKSAR APNI KHATAYE YAAD KARKE
NA JANE KYON LOG UNHE ZAZBAAT SAMAJH LETE HAI

MERI AADAT HAI MOHSIN MAHFIL MAIN KHAMOSH RAHNE KI
NA JANE KYON LOG USE MERA ANDAZ SAMAJH LETE HAI


Logged
sweet saqib
Guest
«Reply #6 on: July 22, 2010, 12:31:08 PM »
Reply with quote
janab mohsin akhter ji adaaab.
 
aap ko bus meri itni si raae hai ki janab waqif ansari sahib ne jis jaanib aap ki tawwajeh dilai hai usko kuch dair ke liye socho aur samjho aur behater hoga ke aap ki iss likhi hoi tehreer main tabdili laao ..akhter hai na aapka taqqalus shayed uska hi yeh natija hosakta hai ,mera ishara aap samajhne se khasir hoonge ,aap ko batata chaloon,har daur main akhter naam ne aise hi kaarname kiye hain.misaal ke taur pe ..jaan nisar akhter unki ghazlao main bhi kuch aisi baatein jhalakti theen,,aur aaj ke javeed akhter ki bhi kuch pehchaan aisi hi hai..aur ke sahib hain jo dilli ki ek university ke nayeb chancellor hain unke naam ke aaage bhi akhter hai..afsoos sad afsoos ,shayeri ki dehleez pe iss soch ke shura jo darbaan hote hain unki soch ka yeh aalam khuda khair kare..janab waquif ansari sahib ke mashware pe amal kijiye.to shayed kuch baan paigi wagarna aap jiss soch ke bhanwar main ghum hai uss se nikalna mushkil hojaega..faqt aapka hamdard

                                      saqib umair
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #7 on: July 24, 2010, 10:48:43 AM »
Reply with quote
waquif bhai assalamoalaikum

socha kai baar socha ki aapko jawab dun magar itna jyada busy chal raha tha ki aapko jawab nahi de paya isliye aapse muafi chahta hoon

JAWAB IS BAAT KA LIKH RAHA HOON JISKI WAJAH SE SAYAD AAPKA AUR NA JANE KITNE LOGO KA DIL DUKH GAYA WESE MERA MAKSAD KISI KA DIL DUKHANA NAHI THA.

MERE KHAYAL KE BARE MAIN AAP JITNA LIKH SAKTE THE AAPNE LIKHA MAGAR MUJHE LAGTA HAI KI AAPKI GALATFAHMI DOOR KER DU.

MERE LIKHNE SE YE WASTA NAHI HAI KI MERA KHUDA ROYEGA JO HER CHEEZ SE PAAK BE NIYAAZ HAI WO KYA ROYEGA KHUDA KHER KARE AUR AGAR MERE DIL ESA KHAYAL AAYE TO KHUDA USE MUJHSE DDOR KARE JISKE DAM PER HUM SAB BA KHERIYA ZINDAGI GUJAAR RAHE HAI USKO RULANE WALA MAIN KHAKSAAR KYA AUKAT RAKHTA HUN.

YUN TO KHUDA BHI ROTA HAI NIGAHEN AIN BANAKAR

MERI IS LINE KA SEEDHA SA MAQSAD YE THA KI AAJ KI DUNIYA MAIN JO BHI HUM LOG GUNAH PER GUNAH KER RAHE HAI AUR KHUDA NE HUMKO IS DUNIYA MAIN POORI IZZAT KE SATH UTARA THA WO ISLIYE KI HUM KAUM BHI KHIDMAT KHUDA KI IBADAT KARE MAGAR HUM KER KYA RAHE HAI EK DOOSRE SE JHOOTH BOL RAHE HAI MAA BAAP KI TOOHEEN KER RAHE HAI CHORI, LOOTPAT KER RAHE HAI AGAR ESE HI HUMARE MAQSAD HAI TO KHUDA KHAIR KARE WO TO SAB JANNE WALA HAI USKI MARZI SE PATTA BHI NAHI HIL SAKTA HAI MAGAR USNE BHI FARMAYA HAI SAITAAN SUBKO BAHKAYEGA AUR USKO MAIN TA KAYAMAT TAK NAHI ROKOONGA. AB AAP HI BATAO IS HAAL KE LIYE AGAR AAP AUR HUM JIMMEDAAR HAI TO KHUDA KYA KAREGA. HALAT IS HAD TAK BADTAR HAI KI BHAI BAHAN KE SATH ZINA KER RAHI HAI. AURTE BEPARDA BADHAWAS GHOOM RAHI HAI AGAR ESE HALAT MAIN MERI AAPKI MAA KI ANKHO SE ANSU AA JAYE TO KYA KAHIYEGA KHUDA NE MAA KE KADMO KO JANNAT AUR BAAP KO US JANNAT KA DARWAZA BATAYA HAI AUR HUM US JANNAT AUR DARWAZE KE SATH KYA KARTE HAI UMR KE JIS MOD PER UNKO HUMARI ZAROORAT HOTI HAI USI WAQT UNKO CHOD DETE HAI. KHUDA KE RONE SE MAINE YE NAHI KI KHUDA RO RAHA HAI. WO EK SOCH HAI KI ESE HALAT MAIN HUM TUM ZINDA HAI AUR SUKUN SE ZINDAGI JEE RAHE HAI.

UMMEED KARTA HOON AAPKO POORA JAWAB MIL GAYA HOGA AAP BHI SOCHIYE HUM BHI SOCHTE HAI ESE MAHOL MAIN JAHAN KISI BAAT KA PARDA NAHI HAI 70 FIRKE HONE KA WAQT AA RAHA HAI QAYAMAT KAREEB AA RAHI HAI MAGAR HUM HAI JO APNE GUNAHO SE TOBA NAHI KER RAHE HAI.

SAQIB BHAI AAPNE TO AKHTAR KO HI GALAT SABIT KER DIYA KIS ZAMANE MAIN KAUN SA AKHTAR KYA KAH KER CHALA GAYA MUJHE IS BAAT KA MALAL RAHE GA MAGAR YE MOHSIN AKHTAR ITNA KHUDGARZ NAHI HAI JO APNE FAYDE YA APENI SHAYARI KO TAWAZZO DILANE KE LIYE BADI GALTI KER DE ADNA SA INSAAN HOON AGAR KOI KHATA HO GAYI HO TO CHOTA BHAI SAMAJH KER MUAAF KER DIJIYEGA.

AAPKA APNA MOHSIN
Logged
sayad
Guest
«Reply #8 on: July 26, 2010, 06:51:16 AM »
Reply with quote
YAHA TO MAMLA BAHUT GARAM LAGTA HE

DONO KI HI BATEE BILKUL SAHI HE MOHSIN JI MAGAR AAPNE JO JAWAB DIYA USSE BHI DOOR NAHI HO SAKTE AAPKA KAHNA WAZIB HE ESE HALAT MAIN HAM ZINDA HE YE HI GANIMAT HAI

ALLAH AAP SAB KO SAHI AUR GALAT KI PARAK KARNE KI TOFIK DE.
Logged
.adeeb
Guest
«Reply #9 on: July 26, 2010, 10:50:45 AM »
Reply with quote
Janab Mohsin Sahab aapne apni  lines mein jo Khuda ke rone ki baat kahi hai uski wazaahat apne is jawaab mein nahi kar paaye hain. Aapne qaum ki kharaab haalat ka zikr kiya hai jo sahi bhi hai lekin is kharaab haalat ka nigahen bankar Khuda ke rone aur use  barsaat samajh lene ka matlab ab bhi samajh nahi aaya. Khuda ki zaat to aisi hai jo rone, hansne, sone, jaagne jaise umoor se paak hai. Saari duniya chahe nafarmaan ho jaaye ya ibaadatguzaar use koi farq nahi padta, jo faayeda nuqsaan hota hai bandon ko hota hai. Ho sakta hai aapne ye lines anjaane mein likh di hon, lekin ye hain ghalat aur Khuda ki shaan mein gustakhi hai. Aapse guzarish hai ke in lines ko yaa to badal dein yaa delete kar dein jisse aainda parhne walon ko takleef na ho. Shukriya.
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #10 on: July 26, 2010, 11:36:10 AM »
Reply with quote
MERA MAQSAD KISI KA DIL DUKHANA NAHI THA NA HI KHUDA KI TOHHEN KARNA AGAR MERI WAJAH SE KISI KA DIL DUKHA HO TO MUJHE MUAAF KER DIJIYEGA

MAIN APNI LINES KO BADAL DIYA HAI TAKI KISI AUR KO MUJHSE SIKAYAT NA HO

KHUDA HAFIZ
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #11 on: July 26, 2010, 11:57:22 AM »
Reply with quote
wah wah mohsin ji.. wah bahut hi khoob

jasbir singh
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:18:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer