Aurat - Husn ka paikar

by Naziya Tahera on January 08, 2009, 08:03:57 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4844 times)
Naziya Tahera
Guest
Reply with quote
Aurat
..........
Raah-e Safar me.n ham teri jageer ki tarah
Ham hain khilona haath ki tasweer ki tarah

Shab m.n jale.n , saza ye mili meri nafs ko
Sozaa.n hai dil ye Shamma-e tanveer ki tarah

Husn-o jamal dekh kar larzaa.n hai zamana
Maen huu.n kisi ke khwaab ki taabeer ki tarah

Zulfon se meri tujh ko shikayat hai kis liye
Saya hain , na samajh isse zanjeer ki tarah

Aurat Gul-e naazuk hai magar waqt jab pada
Ubhri Fiza me.n shola-e Shamsheer ki tarah

Aao banayen ishq me.n Aurat ki yaadgaar
Kar len ye kaam Taj ki tameer ki tarah

Na jane kab ho Naziya ye zindagi tamaam
Padh len Ghazal ye naghma-e aakheer ki tarah

by me --Naziya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ki aurat,aurat di dushman hai? by ranjeet_rp in Poetry for Life in Punjabi
AAJ KI AURAT by javedarshad in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
*Mahan Hai Aurat* by Roja in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Aurat......................(AD) by anjaan dharkan in Shairi - E - Zindagi
Dhaaltey hain sharaab khaak key paikar mein ham! by abdbundeli in Ghazals
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #1 on: January 08, 2009, 08:08:23 PM »
Reply with quote
...awesome one Naziya...really liked it...i came to know some good words from this one...thanks...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: January 08, 2009, 08:48:48 PM »
Reply with quote
ek ek line kamaal ki hai ... bahoot khoob likha hai... yah do line magar dil ko ander tak chu gai

Aurat Gul-e naazuk hai magar waqt jab pada
Ubhri Fiza me.n shola-e Shamsheer ki tarah


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Good work!! Yoindia main apka sawagat hai Naziya Tahera ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3 on: January 08, 2009, 08:55:19 PM »
Reply with quote
wah, kya baat hai Naziya, bahut khoob

Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: January 08, 2009, 09:09:14 PM »
Reply with quote
Aurat
..........
Raah-e Safar me.n ham teri jageer ki tarah
Ham hain khilona haath ki tasweer ki tarah

Shab m.n jale.n , saza ye mili meri nafs ko
Sozaa.n hai dil ye Shamma-e tanveer ki tarah

Husn-o jamal dekh kar larzaa.n hai zamana
Maen huu.n kisi ke khwaab ki taabeer ki tarah

Zulfon se meri tujh ko shikayat hai kis liye
Saya hain , na samajh isse zanjeer ki tarah

Aurat Gul-e naazuk hai magar waqt jab pada
Ubhri Fiza me.n shola-e Shamsheer ki tarah

Aao banayen ishq me.n Aurat ki yaadgaar
Kar len ye kaam Taj ki tameer ki tarah

Na jane kab ho Naziya ye zindagi tamaam
Padh len Ghazal ye naghma-e aakheer ki tarah

by me --Naziya


Subhan Allah,.
Subhan Allah,.

Bohat Hi Badhiya Hai Naziya Ji,.
Yunhi Likhte Rahiye,.

May Allah Bless U, Me And All,.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: January 08, 2009, 11:29:34 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Naziya Ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: January 09, 2009, 04:25:55 AM »
Reply with quote
Bohat zabardast Andaze bayaan kismat hain hamari jo itna khoobsurat kalam padhne ka mauka mila. Very good naziya very good specially this sher

                  aurat gul-e-nazuk hain magar waqt jab padha
                  ubhri fiza me shola-e-shamshir ki tarah

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Naziya Tahera
Guest
«Reply #7 on: January 09, 2009, 11:28:17 AM »
Reply with quote
Shukriya

Just hate -Love ji

Rajesh ji

Pooja ji..
-----------------
Tareef ke liye aapka bahot shukriya
 Aur kuchh ash-aar aapke dil chhoo gaye tu mehnat hamari wasool ho gayee..
Ek Shayer / Shayra ko kya chahiye..waah wa.. bas.
..........
Shukriya Jasbir  Bir ji
.....
Azeem..
 khush rahiye bhaaii.
Logged
Naziya Tahera
Guest
«Reply #8 on: January 09, 2009, 11:30:31 AM »
Reply with quote
Shukriya Sajid bhaaii.( Ghayal ji )
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 09, 2009, 11:34:30 AM »
Reply with quote
Shukriya

Just hate -Love ji

Rajesh ji

Pooja ji..
-----------------
Tareef ke liye aapka bahot shukriya
 Aur kuchh ash-aar aapke dil chhoo gaye tu mehnat hamari wasool ho gayee..
Ek Shayer / Shayra ko kya chahiye..waah wa.. bas.
..........
Shukriya Jasbir  Bir ji
.....
Azeem..
 khush rahiye bhaaii.

U Are Always Welcome Didijaan,.
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: January 09, 2009, 02:12:45 PM »
Reply with quote
V. Nice Naziya Ji...  this reminds me a poem writeen by Prem Warbartoni...  "Kabhi to khul ke baras abr-e-mehrbaan ki trah .... Mera wajood hai jalte huye makaan ki tarah".  kucch ash-har pesh-e-kidmat hai !!


Iss jahaan ki nai lagti, tum kis jahan se aayi ho?
Bhikri julfe, Surkh ankhein, Aasmaan se chayi ho

chan-chan chan-chan payal karti, heerni jasie chaal
Roshni chand jasie aur taajgi phoolon ki laayi ho

Hairaan hota hai khudaa bhi dekh kar tujh ko
Goya, ke usne nahin kissi aur ne banayi ho !!



HumTum  hello
Logged
seraj325
Guest
«Reply #11 on: January 11, 2009, 02:27:19 AM »
Reply with quote
Bahot khoob bahot khoob ..

Aurat gule Naazuk hai magar waqt jab pada
Ubhri fiza mein shla-e shamsheer ki tarah..

waah lajawaab sher.
Na jane kab ho naziya ye zindagi tamaam
Padh len ghazal ye naghma-e aakheer ki tarah
bahot umda sher..
par sister...
Aesa kyoon likhti hain,..
Allah aapki umr daraaz kare..
kayakallaah.
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: January 11, 2009, 03:18:25 AM »
Reply with quote
Aurat
..........
Raah-e Safar me.n ham teri jageer ki tarah
Ham hain khilona haath ki tasweer ki tarah

Shab m.n jale.n , saza ye mili meri nafs ko
Sozaa.n hai dil ye Shamma-e tanveer ki tarah

Husn-o jamal dekh kar larzaa.n hai zamana
Maen huu.n kisi ke khwaab ki taabeer ki tarah

Zulfon se meri tujh ko shikayat hai kis liye
Saya hain , na samajh isse zanjeer ki tarah

Aurat Gul-e naazuk hai magar waqt jab pada
Ubhri Fiza me.n shola-e Shamsheer ki tarah

Aao banayen ishq me.n Aurat ki yaadgaar
Kar len ye kaam Taj ki tameer ki tarah

Na jane kab ho Naziya ye zindagi tamaam
Padh len Ghazal ye naghma-e aakheer ki tarah

by me --Naziya


Wah wah Naziya sis..., maine aapka kalam pehle be
pada hai.. wakayi aap bahut accha likhte hai... and
aap ek ek kalam lajawab hai... Yu hi likhte rahiyega..
Accha lagta hai padkar.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #13 on: January 11, 2009, 04:11:53 AM »
Reply with quote
Aurat
..........
Raah-e Safar me.n ham teri jageer ki tarah
Ham hain khilona haath ki tasweer ki tarah

Shab m.n jale.n , saza ye mili meri nafs ko
Sozaa.n hai dil ye Shamma-e tanveer ki tarah

Husn-o jamal dekh kar larzaa.n hai zamana
Maen huu.n kisi ke khwaab ki taabeer ki tarah

Zulfon se meri tujh ko shikayat hai kis liye
Saya hain , na samajh isse zanjeer ki tarah

Aurat Gul-e naazuk hai magar waqt jab pada
Ubhri Fiza me.n shola-e Shamsheer ki tarah

Aao banayen ishq me.n Aurat ki yaadgaar
Kar len ye kaam Taj ki tameer ki tarah

Na jane kab ho Naziya ye zindagi tamaam
Padh len Ghazal ye naghma-e aakheer ki tarah

by me --Naziya



Wah Wah Kya bath hai Naziya Ji !! Jahan aisi Aurten Bahoth Kam baqi rahe gayi hain jo apna martaba jaanti hon !! Masha allah kya kubsurath tariqe se aurth ko Ghazal ka roop diya hai likhna to bahoth chahata tha magar apke is kalam ne bolti band kar di !!maine bhi eak bhi eak ghazal likhi hai aur ki hasti per bahoth jald ap log pad sakenge usko !!

Qadeer Toopchi
From DUbai
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: January 11, 2009, 04:21:19 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
Wah wah Naziya bohat khoob ... Thumbs UP

HumTum bohat khoob wah wah... Thumbs UP
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:18:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer