Gazal: Pehle jo the wo zindagi ki chaal ab nahi.N

by khalidrawat on April 01, 2011, 11:59:32 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3791 times)
khalidrawat
Guest
Reply with quote
Pehle jo thi wo zindagi ki chaal ab nahi.N
wo raat aur wo din wo maho saal ab nahi.N

ab kiya likhoo.N mai.N safha-e-ulfat pe haal e dil
muddat guzar gae! wo zaboo.N haal ab nahi.N

Uqda-e-zulf hal hua qismat se zehn-e-ishq
is makhmase main koi qil-o-qaal ab nahin

hai.N aur bhi ab rehzan-e-imaan o aagahi
kuch mae kashi ka khaas istimaal ab nahi.N

Khenchoo.N tumhari zulf he maatam ke waste
ke toorne ko sir pe koi baal ab nahi.N

Baar aawari pe jis ke tiki the muaash-e-ishq
khamdaar boojh-e-gul se wohi daal ab nahin

kuch aur shehr-e-husn mai.N mai.N din guzarta
per kiya karoon girah main meri maal ab nahin

kerta main ehtajaj mager kiya karoo.N ke ab
taaqat nahi.N zabaa.N mai.N dil mai.N haal ab nahi.N

deedar-e-yaar baais-e-rang-e-chaman tha kal
tab ho gaya tha sharm se munh laal ab nahin

khalid jamil rawat
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #1 on: April 01, 2011, 12:33:03 PM »
Reply with quote
bht bht khoob khalid ji...
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #2 on: April 02, 2011, 12:33:25 AM »
Reply with quote
Khalid jee ! bahut aalaa soch kaa muzahiraa karti aap kee ye peshkash ek anmol peshkas humare liye ban jaatee agar kuchh ashaar ko samajhne me diqqat pesh naa aatee.......humaare liye kuchh alfaaz to samajh se baahar hee rahe.....koi taqleef na ho to mehar bani kareN meaning bhee saath likheN to hum jaise kamilm log aap ke kalaam kaa bharpoor lutf le sakeN...
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: April 02, 2011, 06:30:25 PM »
Reply with quote
Hai her sher tera itna accha is gazel ka
tarriff ke liye mere pass alfaaz nahin,N

Pehle jo thi wo zindagi ki chaal ab nahi.N
wo raat aur wo din wo maho saal ab nahi.N

ab kiya likhoo.N mai.N safha-e-ulfat pe haal e dil
muddat guzar gae! wo zaboo.N haal ab nahi.N

Uqda-e-zulf hal hua qismat se zehn-e-ishq
is makhmase main koi qil-o-qaal ab nahin

hai.N aur bhi ab rehzan-e-imaan o aagahi
kuch mae kashi ka khaas istimaal ab nahi.N

Khenchoo.N tumhari zulf he maatam ke waste
ke toorne ko sir pe koi baal ab nahi.N

Baar aawari pe jis ke tiki the muaash-e-ishq
khamdaar boojh-e-gul se wohi daal ab nahin

kuch aur shehr-e-husn mai.N mai.N din guzarta
per kiya karoon girah main meri maal ab nahin

kerta main ehtajaj mager kiya karoo.N ke ab
taaqat nahi.N zabaa.N mai.N dil mai.N haal ab nahi.N

deedar-e-yaar baais-e-rang-e-chaman tha kal
tab ho gaya tha sharm se munh laal ab nahin

khalid jamil rawat

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: April 02, 2011, 07:06:43 PM »
Reply with quote
Janab Khalid Sahaab Aadaab O tasleemat!

Waah janab aapki is kalaam ke kia kahne... Behad umdaa ashaar kahe haiN janab... Aapki is kaam k padhkar to mazi ke kai bujhte charagH jal uthe... behad umda Gazal se nawaza hai janab ... Har sher par hazaroN daad hazir hai..... Usual Smile         



Pehle jo thi wo zindagi ki chaal ab nahi.N
wo raat aur wo din wo maho saal ab nahi.N

Kia kahne janab, waqai dil kibujhi aag ko badkane wala khayal bayaN kiya hai aapne daad daad daad Usual Smile         

ab kiya likhoo.N mai.N safha-e-ulfat pe haal e dil
muddat guzar gae! wo zaboo.N haal ab nahi.N

Baht khoob Janab .... Usual Smile         

Uqda-e-zulf hal hua qismat se zehn-e-ishq
is makhmase main koi qil-o-qaal ab nahin

misra e sani behad khoob kaha hai janab " Is makhmase meiN koi qil o qaal ab nahi" kia kahne bahut khoob Usual Smile         

hai.N aur bhi ab rehzan-e-imaan o aagahi
kuch mae kashi ka khaas istimaal ab nahi.N

Behad umdaa janab... daad daad daad Usual Smile         

Khenchoo.N tumhari zulf he maatam ke waste
ke toorne ko sir pe koi baal ab nahi.N

Behad khoob janab... Usual Smile           

Baar aawari pe jis ke tiki the muaash-e-ishq
khamdaar boojh-e-gul se wohi daal ab nahin

Janab Mazarrat chahte hai humari Urdu behad kamzor hai... aapka ula misra sar ke upar se jaa raha hai humare ?           

kuch aur shehr-e-husn mai.N mai.N din guzarta
per kiya karoon girah main meri maal ab nahin

Kia kahne janab behad khoob farmaya... " Rishte hote bhi hai aur banaye bhi jate hai... Giraah meiN aapki maal ho to khud bhi ban jate hai" achcha khayal hai janab daad Usual Smile           

kerta main ehtajaj mager kiya karoo.N ke ab
taaqat nahi.N zabaa.N mai.N dil mai.N haal ab nahi.N

achcha khayal hai janab.. daad par hume aapka sani misre meiN " Dil meiN haal ab nahi kahna" kuch jachta nazar nai aaya" kuch na munaseeb sa laga " mazarrat chahate haiN Usual Smile         

deedar-e-yaar baais-e-rang-e-chaman tha kal
tab ho gaya tha sharm se munh laal ab nahin

Waah kia kahne behad umdaa sher kaha hai janab daad daad Usual Smile         

khalid jamil rawat


Badi khub kalaam se bazm ko nawaza hai Khalid Sahab ... dil se daad O mubarakbaad kabool kijiye.. Usual Smile

Ase hi khoob kalaamoN ke saath bazm meiN aate rahiye... Usual Smile
Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez...... Usual Smile           

Logged
ANAAM
Guest
«Reply #5 on: April 03, 2011, 09:53:07 AM »
Reply with quote
mast kavita hai Khaalid  ji......
Logged
khalidrawat
Guest
«Reply #6 on: April 03, 2011, 03:09:19 PM »
Reply with quote
Paewaaz sahib, aur bhaiyoo.N bohut shukriya aap ki muhabbat ka, ye sab aap logoon ki muhabbat ka he asar he aur kuch nahin, mushkil alfaaz is liye bhi mushkil lag rahe hain ke roman main likhe hain , lekin phir bhi kuch alfaaz ke maani likhta hoon:

Baaraawari: kisi shaakh per , daal per phal phool aana,

Muash: Maeshat , economy

Makhmasa: Puzzle

Qeel-o-qaal: argumentation, uljhan

Uqda: mystery, puzzle,

girah: pallo ya palla , jis main koi cheez
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #7 on: April 06, 2011, 07:59:15 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Khalid JI
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:51:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer