har sahar, har gali, har ghar pe tera NISHAAN dekha...!!

by ghayal_shayar on June 25, 2010, 11:36:30 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3615 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
koi gulaab to koi sharaab, log mehboob ko yahaaN kehte haiN,, shayad hume hi na hui samajh mohabbat ki jo unhe maa kehte haiN,, na jaane aashiq kyuN mehboob ka shahar badhaal dhunda karte haiN,, jahaaN dikhe mehboob use hi hum apna jahaaN kehte haiN,, hume to kabhi unhone teekhi nazroN se dekha nahiN,, pa jaane kyuN log unhe badgumaaN kehte haiN,, suna hai, khuda ke darbaar me maaNgo to mehboob-o-mohabbat v mil jate haiN,, par vo kya kareN jo sanam ko hi khudaa kehte haiN...

jo sanam ko hi khuda kehte haiN................!!




har sahar, har gali, har ghar pe tera nishaaN dekha,
bas teri hi surat dikhi hume, humne jahaaN dekha.

jannat me v tujhko utna hi haseeN aur jawaaN dekha,
par afshosh ki tune hume, yahaaN dekha na wahaaN dekha.

hansi, aaNsu, hawas, dard, tassalli, shikwe aur shikayat,
mohabbat me humne v itne ehsashoN ka kaarwaaN dekha.

shayaroN ki mehfiloN me jab v sunayi apni koi ghazal,
sabne unko suna, kisi ne na mera tarz-e-bayaaN* dekha.

* bolne ki shaili, the way of speaking.

bahut kaha sabne hume fir se ishq kar lijeee "ghayal",
par tujh sa haseeN yahaaN, humne v fir kahaaN dekha.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: June 26, 2010, 06:15:04 AM »
Reply with quote
Bahut khoob GS
Logged
raajaindra4864
Guest
«Reply #2 on: June 26, 2010, 08:01:32 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
raajaindra4864
Guest
«Reply #3 on: June 26, 2010, 08:02:30 AM »
Reply with quote
bahut khoob Applause
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #4 on: June 26, 2010, 05:20:21 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB AASHIQANA ANDAAZ ME YE GAZAL LIKHI HAI AAPNE.DAAD QUBOOL FARMAYEN.......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: June 26, 2010, 09:58:48 PM »
Reply with quote
bahut khoob...!!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: July 02, 2010, 10:48:18 AM »
Reply with quote
Bahut khoob GS

Rajesh sahab bahut bahut shukiya....!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #7 on: July 02, 2010, 10:49:07 AM »
Reply with quote
bahut khoob Applause

rajindra sahab shukriya bas yunhi aapka saath bana rahe...!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: July 02, 2010, 10:50:15 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB AASHIQANA ANDAAZ ME YE GAZAL LIKHI HAI AAPNE.DAAD QUBOOL FARMAYEN.......

mamta ji shukriya andaaz aur lafzoN ko pasand karne ke liye bas aage v yuNhi hume padhne ki jehmiyat uthaati rahN...!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #9 on: October 29, 2012, 01:48:04 AM »
Reply with quote
hriday ji aapki daad sar aankhoN pe, bas yuNhi hausla afzaai karte raheN...
Logged
suman59
Guest
«Reply #10 on: October 29, 2012, 02:25:53 AM »
Reply with quote
koi gulaab to koi sharaab, log mehboob ko yahaaN kehte haiN,, shayad hume hi na hui samajh mohabbat ki jo unhe maa kehte haiN,, na jaane aashiq kyuN mehboob ka shahar badhaal dhunda karte haiN,, jahaaN dikhe mehboob use hi hum apna jahaaN kehte haiN,, hume to kabhi unhone teekhi nazroN se dekha nahiN,, pa jaane kyuN log unhe badgumaaN kehte haiN,, suna hai, khuda ke darbaar me maaNgo to mehboob-o-mohabbat v mil jate haiN,, par vo kya kareN jo sanam ko hi khudaa kehte haiN...

jo sanam ko hi khuda kehte haiN................!!




har sahar, har gali, har ghar pe tera nishaaN dekha,
bas teri hi surat dikhi hume, humne jahaaN dekha.

jannat me v tujhko utna hi haseeN aur jawaaN dekha,
par afshosh ki tune hume, yahaaN dekha na wahaaN dekha.

hansi, aaNsu, hawas, dard, tassalli, shikwe aur shikayat,
mohabbat me humne v itne ehsashoN ka kaarwaaN dekha.

shayaroN ki mehfiloN me jab v sunayi apni koi ghazal,
sabne unko suna, kisi ne na mera tarz-e-bayaaN* dekha.

* bolne ki shaili, the way of speaking.

bahut kaha sabne hume fir se ishq kar lijeee "ghayal",
par tujh sa haseeN yahaaN, humne v fir kahaaN dekha.


Bahut badiya .... aap yu hi aate rahiyega. bahut umda likhte hai aap.
ek shabashi meri taraf se.. Thumbs UP
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #11 on: October 29, 2012, 03:20:23 AM »
Reply with quote
suman ji shyaukriya is nacheez pe gaur farmaane aur pasand karne ke liye, iltijaa yahi rahegi ki aage v yuNhi hausla afzaai karte raheN aap....
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:46:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer