waah waah sheba ji--
bada hi khubsurat aur dilfareb andaaz hai husn ki taaruf ka

sach me kamaal ki post hai ji
daad kubul karen
khus rahen
likhte rahen
muskurate rahen
mera nasheman markaz-e zamanaa rahaa..!
milne ka ajeeb-ajeeb bahanaa rahaa..!
karte chiraag bhi taarif chehre ki mere..,
dekh mujhe ab mehtaab ka sharmanaa rahaa..,
minnatein gulshan ki paas mere aati rahien..,
ki guzarish pe mere bahaar ka aanaa rahaa..,
husn aisa mera ab ghazal bhi haar gayii..,
na bane sher unse, na lafzo.n ka thikanaa rahaa..,
ulajh gaye rind bhi meri nazro.n se sheba..!
phir na saaqi, na shraab ,na maikhanaa raha.
wo ek husn wali se humara bhi paala pada tha kabhi--
unke tevar ab tak nhi bhule hain hum
jara gaur farmaiega unke tewar hum yahan bata rahe apni tooti jubaan se

--
!
dekh kar mujhe dolti hai kyun--niyat janaab ki
ye bhi batla do jara ab kya hai bhala--haisiyat janaab ki !
bahot dekhte ho khwaab paane ki mujhe
hue ho paagal abhi ya paidaishi hai ye--fitrat janaab ki !
lo, ab kya hua bolte kyun nahi kuch mujhe
kahan gaeeN wo saari--sokhiyan janaab ki !
ghar se college tak firte ho duum hilaaye
thaami jo ungli fir kyun nikal gai--hekdiyan janaab ki !
lehje lehje se jhalakkta Lofaraana andaaz
chuttki jo bajai sar e baazaar fir uthti nahi kyun--nigaahen janaab ki !
sarteN jo lagaee thi dostoN sang mujhe pataane ki
ek chaante me hi guum hui kyun--bebaakiyan janaab ki !
!
haaye tauba hai husnwaliyon se ab tak--
hum to Babaji hi bhale hain ji

be happy always
byeee