Jaha.n mein kya koi aisa bhi haseen hai..........................Iftakhar

by Iftakhar Ahmad on April 18, 2012, 11:46:39 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1716 times)
Iftakhar Ahmad
Guest
Reply with quote
Mere mehboob ne rukh se ab hijab hata liya
Jaha.n mein kya koi aisa bhi haseen hai?

Aankhein qaza, lab sheeri.n, chaal ghazali
Aur rukhsar jaise k warq-e-yasmin hai

Dilfareb baatei.n aur labo.n pe sochi samjhi tabassum
Waah! Kya khoob meri bhi nazneen hai

Mere mehboob! Mausam-e-bahaar ye bezaari kyunkar
Aao, bahar to dekho, mausam kya rangeen hai

Abhi naa jao k dekhte reh jaane ki tamanna hai
Tere deedar se ye dil ab bhi nahi muttmaein hai

Dekho fisal naa jaaye, har qadam sanbhal k rakhna
'Iftakhar', Ye Ishq ka ma'mla hai, Kaafi sangeen hai

* hijaab: parda  / qaza: qayamat / sheeri.n: meethe, chashni mein duboye hue / ghazali: hirani jaisi / rukhsaar: chehra / warq-e-yaasmin: chameli k phoolo.n ki sheet / tabassum: muskurahat / bezaari: rukhapan / muttmaein: satisfied
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #1 on: April 18, 2012, 11:49:57 AM »
Reply with quote
 Applause Applause khub iftakharji
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: April 18, 2012, 11:57:43 AM »
Reply with quote
bahut khoob iftakhaar saheb matle keee kamee khatak rahee hai daad haazir hai
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #3 on: April 18, 2012, 12:07:16 PM »
Reply with quote
Shukriya mann jee aur Saini jee. Maine matla banane ki koshish ki lekin abhi nahi ban paya. Baad mein try kar sakta hun.
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #4 on: April 18, 2012, 12:09:26 PM »
Reply with quote
Mere mehboob ne rukh se ab hijab hata liya
Jaha.n mein kya koi aisa bhi haseen hai?

Aankhein qaza, lab sheeri.n, chaal ghazali
Aur rukhsar jaise k warq-e-yasmin hai

Dilfareb baatei.n aur labo.n pe sochi samjhi tabassum
Waah! Kya khoob meri bhi nazneen hai

Mere mehboob! Mausam-e-bahaar ye bezaari kyunkar
Aao, bahar to dekho, mausam kya rangeen hai

Abhi naa jao k dekhte reh jaane ki tamanna hai
Tere deedar se ye dil ab bhi nahi muttmaein hai

Dekho fisal naa jaaye, har qadam sanbhal k rakhna
'Iftakhar', Ye Ishq ka ma'mla hai, Kaafi sangeen hai

* hijaab: parda  / qaza: qayamat / sheeri.n: meethe, chashni mein duboye hue / ghazali: hirani jaisi / rukhsaar: chehra / warq-e-yaasmin: chameli k phoolo.n ki sheet / tabassum: muskurahat / bezaari: rukhapan / muttmaein: satisfied
Acchi peskash par dheroN daad Iftikhar ji
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #5 on: April 18, 2012, 12:58:17 PM »
Reply with quote
Shukriya Pankaj jee.
Logged
dolly
Guest
«Reply #6 on: April 18, 2012, 03:48:04 PM »
Reply with quote
bahut badiyaa iftikhar jii....:)bahut khoob...
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #7 on: April 18, 2012, 03:56:04 PM »
Reply with quote
Shukriya Dolly jee.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: April 18, 2012, 08:21:36 PM »
Reply with quote

dekh pee kar aaj kaise wo  mutmaeen hai.
abb tujhe kya hua kyon itnaa ghumgheen hai?


Mere mehboob ne rukh se ab hijab hata liya
Jaha.n mein kya koi aisa bhi haseen hai?

Aankhein qaza, lab sheeri.n, chaal ghazali
Aur rukhsar jaise k warq-e-yasmin hai

Dilfareb baatei.n aur labo.n pe sochi samjhi tabassum
Waah! Kya khoob meri bhi nazneen hai

Mere mehboob! Mausam-e-bahaar ye bezaari kyunkar
Aao, bahar to dekho, mausam kya rangeen hai

Abhi naa jao k dekhte reh jaane ki tamanna hai
Tere deedar se ye dil ab bhi nahi muttmaein hai

Dekho fisal naa jaaye, har qadam sanbhal k rakhna
'Iftakhar', Ye Ishq ka ma'mla hai, Kaafi sangeen hai

* hijaab: parda  / qaza: qayamat / sheeri.n: meethe, chashni mein duboye hue / ghazali: hirani jaisi / rukhsaar: chehra / warq-e-yaasmin: chameli k phoolo.n ki sheet / tabassum: muskurahat / bezaari: rukhapan / muttmaein: satisfied

good........!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:33:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer