((*~*~* KOI TU HO ---- *~*~*))

Suno Jaana ------
Bahot hi door waadiyon se yeh sada aayi
Ke jab tum pyaar karna tou kabhi inkaar ke dar se
Kisi ki jeet ke dar se ya apni haar ke dar
Kabhi bhi dil ki aawaazon ko tum dil mein nahi rakhna
Inhain honton ke zindano se phir azaad kar daina
Ke jo aisa nahee karta ussay afsoas hota hai...
Ussay phir zindagi mein har lamha afsoas rehta hai
Ke us ne zindagi ke be-baha anmol tohfay ko
Faqat andaisha-o-afqaar pe qurbaan kar daala
Ke us ne chand barson ki faqat takleef ke badlay
Zindagi bhar ke pachtawe ka yeh aazaab kyon paala
Ke jo aisa nahee karta
Woh phir tanhai ke be-reham aur waseeh sehra mein
Muhabbat ki faqat do chaar bondoo ko tarasta hai
Zindagi ke kisi bhi morr se jab woh guzarta hai
Kisi apne se dil ki baat kehne ko machalta hai
Koi ho jo meri takleef mein khud bhi tarapta ho
Koi tu ho... koi tu ho jo mujh se pyar karta ho
Inheen sochoo se ghabra kar woh phir khud hi se larta hai
Mein is be-reham duniya mein akele ji bhi sakta hoo
Muqaddar mein hain jo likhay woh aansoo pee bhi sakta hoon
Magar woh haar jaata hai
Aur jab woh haar jaata hai
Tu us ki aankh se chupke se ek aansoo lurakta hai
Ussay pachtaana parta hai
So jab tum pyar karna tu kabhi inkaar ke dar se
Kisi ki jeet ke dar se ya apni haar ke dar se
Kabhi bhi dil ki aawaazon ko tum dil mein nahi rakhna
Inhain honton ke zindano se phir azaad kar daina
Ke jo aisa nahi karta ussay afsoas hota hai
Ke jo aisa nahi karta ussay pachtaana parta hai...!!!
NOT MINE