Mohabbat....Kaash

by @Kaash on May 07, 2013, 03:01:57 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 953 times)
@Kaash
Guest
Reply with quote
Khumaari jab bhi badhti hai
Madhoshi saath laati hai
sada dhadkan ki to us waqt
Bahut khoobsurat lagti hai
Kabhi khushbu
Kabhi aahen
Mohabbat ki ye baaten hain
kahan  manzil
Kahan raahen
Mohabbat ki ye baaten hain

Kisi khamoshi ke pehlu ko dil me basal lun to chalun
Mohabbat ko mohabbat se hi chura lun to chalun
Ye jo lagti uljhane si hain
Meethi dhadkane si hain  
Inhi me lipta hai koi tarannum
Inhi se to hota hai hamara takallum
Nahi jaanta main ishq kaisi bala hai
dava hai wafa ki ya wafa ki dava hai
yun hothon pe geet koi gungunaya na kijiye
yun dupatte ko hawa me udaya na kijiye
apni saanson ko apni hi saanson me milakar
is kadar ishq ko aazmaaya na kijiye
ye kaisi chhuan hai
ye kaisi chhubhan hai
dil se dil ki mulakaaten
mujhko hota waham hai
bahaaron me
khizaaon me
vaadiyon ki panaahon me
wohi mehki
wohi dilkash
mohabbat ki ye baaten hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"Hamein Kaash Tumse Mohabbat Na Hoti" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
Ghazal: kaaSh dunyaa meiN ye "kaaSh" na hotaa..! by DhavalRami in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Kaash Usko bhi hum jaise mohabbat ho...Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Mohabbat....Kaash by @Kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaash mohabbat me aazmayish na hoti by @Kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
~Aatish~
Guest
«Reply #1 on: May 07, 2013, 03:14:30 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

 icon_salut

 hello
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #2 on: May 07, 2013, 04:25:04 PM »
Reply with quote
Khumaari jab bhi badhti hai
Madhoshi saath laati hai
sada dhadkan ki to us waqt
Bahut khoobsurat lagti hai
Kabhi khushbu
Kabhi aahen
Mohabbat ki ye baaten hain
kahan  manzil
Kahan raahen
Mohabbat ki ye baaten hain

Kisi khamoshi ke pehlu ko dil me basal lun to chalun
Mohabbat ko mohabbat se hi chura lun to chalun
Ye jo lagti uljhane si hain
Meethi dhadkane si hain 
Inhi me lipta hai koi tarannum
Inhi se to hota hai hamara takallum
Nahi jaanta main ishq kaisi bala hai
dava hai wafa ki ya wafa ki dava hai
yun hothon pe geet koi gungunaya na kijiye
yun dupatte ko hawa me udaya na kijiye
apni saanson ko apni hi saanson me milakar
is kadar ishq ko aazmaaya na kijiye
ye kaisi chhuan hai
ye kaisi chhubhan hai
dil se dil ki mulakaaten
mujhko hota waham hai
bahaaron me
khizaaon me
vaadiyon ki panaahon me
wohi mehki
wohi dilkash
mohabbat ki ye baaten hain


Wah,Wah,Wah,Very nicely written.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #3 on: May 08, 2013, 07:34:56 PM »
Reply with quote
kya baat hai ji. bahut hi umda peshkash rahi. bahut achcha likhe ho. dheron daad.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: May 10, 2013, 03:36:39 PM »
Reply with quote
waah waah
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #5 on: May 15, 2013, 01:31:02 AM »
Reply with quote
ssp sabhi ka bohot bohot shukriya!
thanks a lot!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:04:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer