Nazm Husn ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on March 25, 2014, 09:02:01 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1656 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Meri ik nazm Husn ke khush sher aap hazraat ki nazr...Husn waalon se mauzrat ke saat ..


husn fitna hai bala hai bada badzaat hai ye
be haya hai kahin be khauf hai kamzaat hai ye

bhai bhai ko ladaye kahin kuhraam machaye
husn wo shai hai jo insaan ko insaa'n se ladaye

isne masoom ko sikhlaya baghawat karna
amn ko bhool ke har shaqs se nafraat karna

husn ke jaal me aise bhi phase hain pyaare
maikada pandit o mullan bhi gaaye hain pyaare

husn ke waaste awaam ko kaate hain kabhi
husn ki taal pe sultaan bhi nache hain kabhi

kitne mahelon ko khandaraat banaye isne
sar se shaho'n ke kaee taaj giraye isne

husn Allah ka taufa hai to phir qadr bhi kar
rakh saleeqe se isse rub ka zara shukr bhi kar

Garche ye ghar me rahe ghar ko munnawar kar de
eak haare hue shuhar ko sikhandar kar de

Qadeertoopchi

Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 25, 2014, 09:49:52 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #2 on: March 26, 2014, 01:00:40 AM »
Reply with quote
Insaan Insaan ke oopar depend karta hai k koi kisi cheez ko kaise leta hai, mujhe ye sher pasand aaye:

husn Allah ka taufa hai to phir qadr bhi kar
rakh saleeqe se isse rub ka zara shukr bhi kar

Garche ye ghar me rahe ghar ko munnawar kar de
eak haare hue shuhar ko sikhandar kar de

Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #3 on: March 26, 2014, 01:42:10 AM »
Reply with quote

husn fitna hai bala hai bada badzaat hai ye
be haya hai kahin be khauf hai kamzaat hai ye
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bhai bhai ko ladaye kahin kuhraam machaye
husn wo shai hai jo insaan ko insaa'n se ladaye
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
isne masoom ko sikhlaya baghawat karna
amn ko bhool ke har shaqs se nafraat karna
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
husn ke jaal me aise bhi phase hain pyaare
maikada pandit o mullan bhi gaaye hain pyaare
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
husn ke waaste awaam ko kaate hain kabhi
husn ki taal pe sultaan bhi nache hain kabhi
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
kitne mahelon ko khandaraat banaye isne
sar se shaho'n ke kaee taaj giraye isne
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
husn Allah ka taufa hai to phir qadr bhi kar
rakh saleeqe se isse rub ka zara shukr bhi kar
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Garche ye ghar me rahe ghar ko munnawar kar de
eak haare hue shuhar ko sikhandar kar de
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
wah wah bohut hi umda bohut achi peshkash
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #4 on: March 26, 2014, 01:46:35 AM »
Reply with quote
Ji Aapne baja farmaya mahutram ,, Husn Allah ka nayaab tohfa hai ,, Aur jo chiz Allah ki janib se ata ho usme koi buraaee nahi hoti taham usko uska istemaal acha ya bura bana deta hai ..bazat-e-khud usme koi buraaee nahi hoti ...aur ye nazm ussi husn ki nazr hai jiska zikr ashaar me maujood hai ..husn jub mahefil me shamma ki manind jaalta hai to khandaan ki izzat o abroo ko khaak me mila deta hai ....aur wohi husn jub ghar ki zeenat ban jaata hai to ghar ko jannat bana deta hai ....ye behaya husn ki nazr hai ........Apko do sher pasand aaye shukriyah ......Tareekh gawah hai jub husn ne jaal phenka hai to ache ache phans gaaye hain ....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: March 26, 2014, 03:07:52 AM »
Reply with quote

BhaijaaN As Salaam walekum...!

WaaH Bhaijaan waaH dilshaad ho gaya aapko bazm meiN dekhkar... badi hi taNziyaa par haq parast kalaam kahi hai aapne... maiN aapke har khayaal se saw fisad ittefaqh rakhta huN.. beshak behad sahiN nazm kahi hai aapne...

Behad lutf aaya aapki nazm ko padhkar aur aapko yahaaN bazm meiN wapas dekhkar...

Meri hazaaroN dili daad O mubbbarakbad kabul kijiye is khoobsurat aur gazab ki kalaam par...

Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #6 on: March 26, 2014, 03:18:03 AM »
Reply with quote
As Salaamu Alaikum Qadeer Bhai
Umeed Karta HooN Aap Khairiyat Se HoNgey?
Bhai Meri Na Itni Auqaat Hai Na Mujhey Itna Ilm
Ki MaiN Aapke Likhe Pe Kuchh KahuN  Bas Phir
Bhi Itna Zarur KahuNga Ki Aapki Is Nazm Ne Mujhey
Majboor Kar Diya Ki Online Hoke Kuch KahuN Ispe.
Waise To Puri Nazm Khub Hai Par Mujhey Yeh Do
Sher Bahut Hee Pasand Aaye


husn ALLAH ka taufa hai to phir qadr bhi kar
rakh saleeqe se isse rub ka zara shukr bhi kar

Garche ye ghar me rahe ghar ko munnawar kar de
eak haare hue shuhar ko sikhandar kar de

Wahhhhh Kya Hi Kehne Jitni Taareef Ki Jaaye
Bas Kam Hi Hogi In Khoobsurat Sheron Par
Dil Ki Gehraaiyon Se Ba Aawaz e Buland Dad
Kabul Farmaayen Aur Ek Rau Bhi Bahut Khub Bhai
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Shad o Aabaad Rahiye

ALLAH Hafiz
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #7 on: March 26, 2014, 08:42:12 AM »
Reply with quote
waah waah..

 Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: March 26, 2014, 08:59:46 AM »
Reply with quote
waah waah waah laajawaab peshkash dili daad qubool karen
Logged
khujli
Guest
«Reply #9 on: March 26, 2014, 01:22:30 PM »
Reply with quote
Meri ik nazm Husn ke khush sher aap hazraat ki nazr...Husn waalon se mauzrat ke saat ..


husn fitna hai bala hai bada badzaat hai ye
be haya hai kahin be khauf hai kamzaat hai ye

bhai bhai ko ladaye kahin kuhraam machaye
husn wo shai hai jo insaan ko insaa'n se ladaye

isne masoom ko sikhlaya baghawat karna
amn ko bhool ke har shaqs se nafraat karna

husn ke jaal me aise bhi phase hain pyaare
maikada pandit o mullan bhi gaaye hain pyaare

husn ke waaste awaam ko kaate hain kabhi
husn ki taal pe sultaan bhi nache hain kabhi

kitne mahelon ko khandaraat banaye isne
sar se shaho'n ke kaee taaj giraye isne

husn Allah ka taufa hai to phir qadr bhi kar
rakh saleeqe se isse rub ka zara shukr bhi kar

Garche ye ghar me rahe ghar ko munnawar kar de
eak haare hue shuhar ko sikhandar kar de

Qadeertoopchi





boss!!!!!!!!!!!!

rau due hua -insha ALLAH kal



 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #10 on: March 26, 2014, 06:34:38 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

bahut bahut aur bahut khoooooooob.. Usual Smile

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Zaif
Guest
«Reply #11 on: March 26, 2014, 06:42:38 PM »
Reply with quote
Bahut khoooob yaaar...
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #12 on: April 19, 2014, 08:59:39 PM »
Reply with quote
bahut khoob

Nandbahu Sahibah Shukriyah
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #13 on: June 09, 2014, 11:03:35 AM »
Reply with quote
ATI SUNDER
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:07:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer