Suna hai chand bhi takta hai ussay falak se

by ParwaaZ on August 04, 2010, 08:44:41 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 5053 times)
ParwaaZ
Guest
«Reply #15 on: September 12, 2010, 08:59:04 PM »
Reply with quote
parwaz ji bahut khoob suna hai aapne.bahut khoobsurat peshkash. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Suresh Jee Aadaab!

Takeer ke liye mazarrat janab.... aapka bahot bahot shukriyaa jo aapne kalaam per apni khubsurat chaap chori....

aate rahiye.....
Khush rahiye....
Khuda Hafez.... Usual Smile         



Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #16 on: September 12, 2010, 09:13:55 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Parwaaz Ji
Rajesh Harish Jee aadaaB!

Thanks for nice compliment.......
aate rahiye..... Khush rahiye.... Khuda hafez... Usual Smile         



Abhi aur kuchh karishme Gazal ke dekhte hai
Faraaz ab zarra lehjaa badal ke dekhte hai

JudaiyaaN to muaddaar meiN hai jaaN e safar
Kuchh aur door zarra saath chal ke dekhte hai

Naa tujhko maat huyi na mujhko maat huyi
So abke dono chaleN badal ke dekhte hai

Abhi talak na kundan huye na raakh huye
Hum apni aag meiN har roz jal ke dekhte hai

Bahut dino se nahi hai kuchh uski khair khabar
Chalo Faraaz ko aye yaar chal ke dekhte hai

By Ahemad Faraaz SahaaB... Usual Smile         


Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #17 on: September 12, 2010, 09:35:42 PM »
Reply with quote
Janaab Parwaaz Saheb Aadab Umeed Karta Hun Aap Khairiyat Se Honge..!
Aur Janaab Kya Kahun Mehboob Ki Tahsin Se Bharpur Yeh Kalaam
Bahut Hi Achcha Ban Parha Hai...Bahut Mubaraq Ho...

Hazaron Dad...

Khush Rahiye...


~Shihab~


Janab Shihab Sahab Aadaab O salaam

Jee Alhamdullilah hum khairiyat se hai... Ummid hai aap bhi khairkhawaaN hoNge. Usual Smile

Kalaam ki tareef wa houNsla afzaai ke liye tehe dil se mashkoor o mamnoon hai.... Jee waise to hum jyadatar ishk per nahi likhate.... Kabhi kabhi khayaal aur mijaaz meiN aa jata hai likh lete hai....

Hume aapki kalam se nikale kalaamoN ka intezaar hai janab..... aap bhi likhate rahiye.. Insha Allah hum bhi likhate raheNge.... Usual Smile

Khush O aabaad rahiye....
Khuda Hafez.... Usual Smile           

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #18 on: September 12, 2010, 10:14:45 PM »
Reply with quote
Walaikum As Salaam Janaab Parwaab Sahe
Aur ALLAH Ke Fazal o Karam Se Hum Bhi Thik Hain Aur
Badi Meharbaani Hogi Gar Aap Hume Saheb Na Bulayen?
Aur Janaab Kabhi Kabhi Likhte Hain To Yeh Haal Hai
Gar Lagataar Likhte To Kya Haal Hota....!Khair
Janaab Main Koi Shayar Nahi Hun Nahi Jyada Parah Likha
Na Hi Aap Sab Hazraat Jitni Samajh Rakhta Hun. Yeh To Bas Kabhi
Kabhi Kuch Ban Jaata Hai To Likh Dete Hain.
Koshish Karte Rahenge Banta Raha To Jarur Aapki Nazar Karte Rahenge
Likhte Rahiye Hum Sikhte Rahenge...
Bahut Shukariya....

Khush Rahiye...

ALLAH Hafiz.

~Shihab~


Janab Shihab Sahab Aadaab O salaam


Janab shukriya zarra nawazi ka ..... tah e dil se mashkoor o mamnoon hai.... Usual Smile

Jee janab yeH zaruri nahi ke hum aapko saheb kaheN ya na kaheN kahiN aur par yahaaN yeh behad zaruri hai kyuNki yeH bazm hi adab ki aur shayari ki... So sahab hum mazarrat chahte haiN..... Usual Smile

Hum bhi koi bade shayar yaa umar daraz nahi hai.. aapki hi umar ke hoNge yaa aapse chote bhi ho sakte hai.... Waise humari umar jyada nai hai 26 hai... tongue3 Khair... aur dusri baat sahab yahaaN koi bhi professional shayar ya writter nahi hai..... Hum bhi aapki hi tarha likhte hai aap dostoN se hi sikheN hai....

   Aur yeH bhi aap apne zahen se nikal lijiye ke yahaaN kafi pade likhe log hai.... Hum to kuch bhi padhe likhe nahi hai is baat meiN to hum aapse bhi kam pade likhe hai yeH sure hai...

  Janab jar kisi se khayaal aur soch alag alag hoti hai.... wohi uski shayari meiN aati hai... aap kafi umdaa khayaloN ke malik hai behad achcha likhate hai.... likhate rahiye....
Khush O aabaad rahiye.....

Khuda Hafez.... Usual Smile

         

Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #19 on: September 13, 2010, 02:25:25 AM »
Reply with quote
Suna hai Chand bhi takta hai ussay falak se
Suna hai sitare chup jate hai uski chamak se

Suna hai uske mahakaar ka aisa asar hai
Suna hai Gul bhi mahakte hai uski mahak se

Suna hai uski gali me dhadkane sunai deti hai
Suna hai dil zoro se dhadakte hai uski chhak se

Suna hai aashqui mijaaz rakhane wale log
Rah mud ke dekte hai uski chudiyo ki khanak se

Suna hai uske husn ka charcha hai har suu
Suna hai zaif bhi ankhbhar ke dekhte hai ainak se

Suna hai andhere bhi ussay ParwaaZ karte hai
Suna hai mehfile roshan ho jati hai uski subak se

Suna pasine chhuth jate hai pahelwano ke bhi
Suna hai waliden bhi ghabra jate hai uski karak se   



Wah Wah Kya Kehne Jawab Nahi Aapka Janaab
Bade Hi Khoobsurat Ehsaasaat Hain.
Bahut Hi Achhi Peshkash.

Dad Hazira Karta Hun Kabul Karen.!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #20 on: September 13, 2010, 07:20:19 PM »
Reply with quote
Wah Wah Kya Kehne Jawab Nahi Aapka Janaab
Bade Hi Khoobsurat Ehsaasaat Hain.
Bahut Hi Achhi Peshkash.

Dad Hazira Karta Hun Kabul Karen.!


Humdum Sahab aadaab!

Aapka humari is adna si kalaam per dil se isteqbaal hai...
Aapki kalaam ke pasandeedgi aur hounsla afzai ke behad shura guzaar hai...... aage bhi apna saath banaye rakhiye khush O aabaad rahiye.,......... Khuda hafez......     



Suna hai log tukhko nazar laga ke dekhte hai
Chalo hum bhi ghar tumhare aa ke dekhte hai :p

     


Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #21 on: September 13, 2010, 07:24:55 PM »
Reply with quote
Humdum Sahab aadaab!

Aapka humari is adna si kalaam per dil se isteqbaal hai...
Aapki kalaam ke pasandeedgi aur hounsla afzai ke behad shura guzaar hai...... aage bhi apna saath banaye rakhiye khush O aabaad rahiye.,......... Khuda hafez......     



Suna hai log tukhko nazar laga ke dekhte hai
Chalo hum bhi ghar tumhare aa ke dekhte hai :p

     




aaiye aaiye hum aapka intezar karte hain
dhadakte dil se hum aapka istaqbaal karte hain

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #22 on: September 13, 2010, 07:53:06 PM »
Reply with quote
aaiye aaiye hum aapka intezar karte hain
dhadakte dil se hum aapka istaqbaal karte hain



Kasak Jee veri nice Hazir jawaabi koi aapse sikheN ..... Usual Smile

Aa bhi jayeN tere ghar koi dar nahi hoNga hume
Par tujhe hum tere hi ghar aazmaa ke dekheNge           

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #23 on: September 13, 2010, 08:02:14 PM »
Reply with quote
AAZMA LENA ZAALIM AUR CHAAHE JITNA AAZMANA HAI
HUMNE TO YE ZINDAGI TERE IMTEHAAN DENE ME HI BITAI HAI
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #24 on: September 13, 2010, 08:03:42 PM »
Reply with quote
aab Parwaaz Saheb
Jahaan Muhabbat Ho Wahan Adab Ki Kya Jarurat?
Adab Ki Jarurat To Wahan Hoti Hai Jahan Koi Chhota Bada Ho
Hum Sab To Ek Hi Kashti Mein Sanwaar Hain Janaab.Phir Kyun?
Khair Jaisa Aap Munaasib Samjhe Waisa Kare Hume Jo Laga Tha
Humne Woh Aapse Keh Diya Tha Ab Aage Aapki Marzi Hai.
Gar Aap Purane Threads Dekheneg To Aapko Pata Chalega Ki
Log Ek Dusre Ko Kaise Kaise Naamon Se Bulaate The Koi Pagal
Koi Ghada Koi Bandaer Koi Bandariya Aise Bahut Saare The
Par Yeh Sab Adab Torhne Ke Liye Nahi Tha Ji. Yeh Sab To Muhabbat
Ko Aage Barhane Ke Liye Tha...Khair Ab Aage Kya Kahun Aur Main.!
Aur Rahi Baat Aapki Jo Janaab Aapn Maane Ya Na Maane Magar
Aapke Lafz Aapki Asaliyat Ko Bata Rahe Hain Ki Aap Kitne
Pade Likhe Hain Aur Kitne Nahi...Khair Ab Chhota Munh Badi Baat
Aage Kuch Nahi Kahunga Janaab Jaisa Aap Thik Samjhe Karen
Ab Hum Is Baat Chit Ko Yahin Pe Khatam Kar Rahe Hain.
Aur Rahi Baat Age Ki To Bade To Hain Hum Aapse.Par Itne Bhi Nahi
Bada Kaha Jaaye. Bas Jyada Nahi Thoda Sa Hi Fark Hai Hum Main Aur Aapme..Khair Khush Rahiye Apna Aur Apno Ka Khayal Rakkhiye.

Shukariya.

ALLAH Hafiz.[


Shihab Bhaijaan aap sharmindaa kar raheN hai hume...... Bhai hum ne to sab bat diyaa aapse jee yeH sahiN hai ke muhobbat aur dosti meiN koi kisi bhi naam se pukarta hai par Bhai yeH mehfil adab ki hai hume iska lihaaz rakhna chahiye..... Usual Smile

Ummid hai aap humari baat samjheN ho ... hume bhi adaab ke dayare meiN badnde rahna achcha nahi lagta par yeH humari tehzeeb se juda hai so hum bandhe rah sakte hai.....

Mere muluk meiN aisa koi dastoor nahi
Majboori aur hai yahaaN sab manzoor nahi


Khush rahiye Bhai....
Apna khayaal rakhiye......
Khuda Hafez.......            

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #25 on: September 13, 2010, 08:10:01 PM »
Reply with quote
AAZMA LENA ZAALIM AUR CHAAHE JITNA AAZMANA HAI
HUMNE TO YE ZINDAGI TERE IMTEHAAN DENE ME HI BITAI HAI



Tere hi Intezaar meiN humne raateN bitaai hai
Kia aazmaye tujhe sans hai aakhri aur tu aayi hai
         

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #26 on: September 13, 2010, 08:12:51 PM »
Reply with quote

Tere hi Intezaar meiN humne raateN bitaai hai
Kia aazmaye tujhe sans hai aakhri aur tu aayi hai
         



teri jaati saans bhi mujhe dekh k laut aai hai
dekh meri paak mahobbat bhi kya rang laai hai....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #27 on: September 13, 2010, 08:23:09 PM »
Reply with quote
teri jaati saans bhi mujhe dekh k laut aai hai
dekh meri paak mahobbat bhi kya rang laai hai....



Zindagi ne kayiN shammayeN jalayi thi shayad
Hua naa ujaala kahiN ghatayeN chayi thi shayad

         

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #28 on: September 13, 2010, 08:25:31 PM »
Reply with quote

Zindagi ne kayiN shammayeN jalayi thi shayad
Hua naa ujaala kahiN ghatayeN chayi thi shayad

         



inn ghataon ko hatakar hi chaand bahar aaya hai shayad
dekh usne chhandni ka ujala dil me roshan kiya hai shayad
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #29 on: September 13, 2010, 08:39:05 PM »
Reply with quote
inn ghataon ko hatakar hi chaand bahar aaya hai shayad
dekh usne chhandni ka ujala dil me roshan kiya hai shayad



Mousam to aur bhi the anjuman e gulshan meiN "parwaaz"
Hume kayiN dil pasaNd aaye kahiN teri aadaa pasaNd aayi

     

Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:22:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer