poojachakarvarti@gmail.co
Shayari Qadrdaan
Rau: 9
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:1 days, 18 hours and 31 minutes.
Posts: 265 Member Since: Feb 2016
|
|
|
Me: Beetta hua her ek lamha, Mujhse tujhse door le jar rha hai, Kuch ker bhi nhi sakte, Itni bebasi toh ajjtak mehsoos nhi hue…
Unknown: woh mohobbat hi kya jo her beetey, Lamhon se door ho jaye, Mohabbat toh naam hai ishwar ka, Jo insaano se na ho paye…
Me: Alfazo ko adhura panda, Aadat hai insaano ki, Per inke galat matlab na nikal aey insaan, Ye mohabbat ke lafz hai, Her ek ko samajh nhi aatey…
Unknown: Alfaazo se nhi Dil ko, Zakhmo se humne khud seeya hai, Tumne ishq ka naam suna hai, Humne ishq kiya hai…
Me: kiya hota agar ishq aapne, Toh alfaazo ka sahi matlab jaan liya hota, Mere lafzo me chupa dard , Apne abtak pehchaan liya hota…
Unknown: Anjaan hai vo jo, Dard-e-ishq me zindagi guzarte hai, Mahaan hai vo jo dard me muskura ker Zindagi sawarte hai…
Me: Dard me jeena toh humne kabka chord diya, Yu alfaaz likh ker hi tanhayion ko, Dil se rozz nikaalte hai, Hume mahaan banney ka shauk nhi, Khuda accha insane hi bna de,Kafi hai…
Unknown: khuda ne itna kiya,Insaan hi banaker bheja, Aur wo kehte hai mahaan banney ka shauk nhi, Jhoot apneaap se kehtey ho, Kya tumhe khuda ka khauff nhi…
Me: Shabdo ki baarikiyo ko padhker dekhiye jnab, Her ek shabd ke matlab h behisaab, Apne nazariye se door kabhi, Hamari soach se bhi padh liya karo, Na jane hamare lafzo ko kab samjhenge aap…
Unknown: Hum toh hamesha se chahtey they, Tumko samajhna bar-bar, Kash tumne bhi mumkin koshish ki hoti, Kerke hamara aitbaar…
Me: Bta dete hum bhi tumhe sab kuch, Ki humare sath hua hai kya kuch, Ab yun na puchiye bar- bar, Ke hum phir se ho jaye tar-tar…
Me: Ab har maan li ho toh, Bta bhi dijiye apna naam, Ke hum block kern ke liye, Bar-bar pucha nhi kerte…
Unknown: Bta dete hum bhi tumhe sabkuch, Ki hum hai kaun? Ab yun na puchiye bar-bar, Ki hum ho jaye maun…
Me: Maun toh ab bhi ho lekin, Mehsoos ker rahe hai jnab, ki kush ho aap, par apne chehre ka rang dekhna jab, Hum jawab dena chord denge…
Unknown: Humare chehre ka rang, Kisi ke jawab ka mohtaaj nhi, Badnaseeb hai wo jo humari, Dosti ka matlab nhi jan sake…
Me: Ab hume thoda-thoda aap Pehchanney lage ho, Badnaseeb hai hum, Ye aap janney lage ho…
Unknown: Badnaseebon se hume perhej nahi, Dukh to ye hai ki tum apna, Naseeb nhi badal paye…
Me: Badalte toh tab jab hume apne naseeb se hota aitraj, Per kabhi wo bhi aye the humare naseeb me, Isliye aaj bhi hume hai apne naseeb per naaz…
Unknown: Aapke naseeb ka naaz apko Mubarak ho, Humne toh aap me sirf dard hi dard dekha hai…
Unknown: bahot khoob diye aapne sare jwab, kafi accha khel leti hai aap…
Me: Mere sabra ki Intehaa ko yun na aazmao, Mohabatt me nikle in lafzo ka khel na bnao…
Unknown: khel hi toh hai ye mohobatt, Jo tumhe aazma rahi hai, Ab haar ker jeeto ya jeet ker haaro, Mohobatt baazi laga rahi hai…
Me: Mohobatt koi khel nahi, ye toh ek khubsurat ehsaas hai, Humne toh mehsoos ker liya ise, Per lagta hai ye ab bhi aapke liye ek raaz hai….
|