How to decide perfect ...title / shirshak for Poetry

by bekarar on July 31, 2009, 05:39:35 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1192 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
Reply with quote
Dear all,
kai baar yoindia par shayri padhte samay zahan me khayal aata hai ki "falan , fala" ghazal ka title jyada behtar ho sakta tha....ye maine khud apni likhi hui ghazal/ nazm / kavitaon ke liye bhi mahsoos kiya hai...jiska shayad karan ye hai ki ghazal likh-ne ke baad use post karne ki jaldi hoti hai aur title bas ek formality ban kar rah jaata hai...aur baad me ye ehsaas hota hai....
to doston mai chahta hun ki aap sabhi apni vichar yahan likhen ki kisi bhi ghazal ka shirshak chunane le liye hume kin baaton ka khayal rakhna chahiye...
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Perfect Man, Perfect Woman by Friend_4uall in SMS , mobile & JOKES
one is only perfect by isha_verma7 in General Stories
Perfect Woman and Perfect Man by ashokumar in SMS , mobile & JOKES
Could not decide the title.....!!! by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
So Perfect by Vikk in Inspirational Stories and real life Incidences.
k.shael
Guest
«Reply #1 on: July 31, 2009, 09:24:18 AM »
Reply with quote
Hello All,

First of all thnx to Sanjeev bhai, for gud thread...

Aur Jaise ki Sanjeev Brother ne bataya ki sach me ham kayi baar jaldi me apni ghazal ko sahi naam(Title) nahi de paate, ye mere sath bhi hua hai,

mere khayal se sahi Title wahi hota hai jisme aapki likhi ghazal ka kuch roop nazar aaye, aur aapka title itna lamba na ho ki insaan title pad ke hi boar ho jaaye, title me kam se kam lafz use karke use ek aisa naam dena chahiye jise padte hi har insan ki icha ho ki wo ek baar ghajal ko bhi pade..

kayi baar aisa bhi hota hai ki kuch log likhte to khumar me hai lekin title dard jaisa de dete hai, aur kuch dard me likhkar title khumar wala deta hai, iss wajah se jo bhi insan ghazal ko padta hai ghajal aur title dono me confused sa jata hai,

so i think ki naam (Title) wahi de jo aapki ghazal ya lines ko suit karta ho, aur jitna ho sake title chota hi rakhe, par itna jaroor ho ki uss title me aapki ghazal ki chavi nazar aati ho..

Shukriya

Shally.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #2 on: July 31, 2009, 09:37:37 AM »
Reply with quote

U are absolutely right Dear Shally ji.....title aisa hona chahiye k use padhte hi poori nazm/gajal padhne ka man kare....shukriya Shally ji.

Aapka bhi bahut bahut shukriya bekrar ji...aapne bahut accha sawal pucha hai...i hope isse un sabko madad milegi jinhe meri tarah title choose karne me problem hoti hai.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: July 31, 2009, 09:58:18 AM »
Reply with quote
Shukriya Pooja Dear,

& Shukriya Kaash Ji, Aapne ke views bhi aache hai.

Shally.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: August 23, 2009, 06:07:27 PM »
Reply with quote
shally sis nikhaar ji aur kaash ji aap sabhi ne bahoot achcha margdarshan diya hai...aur mai aap logon se sahmat hun...lekin aur bhi yoindians ke views yahan aa jayen to hum sabhi ki jaankaari me khasa izafa ho sakta hai...
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #5 on: August 23, 2009, 09:47:00 PM »
Reply with quote
Hi

YEH AIK AISA SAWAL HAI JISKA KHUD SHAIR HI FAISLA KER SAKTA HAI.
YEH KAHNA KE JALDI HOOTI HAI POST KERNE KI , SAMAJH SE BAHER HAI.KUINKE SHAIR JAB KUCH LIKHTA HAI TO WOH KISI UNWAAN KE BAGHAIR LIKH HI NAHIN SAKTA , USKA MAQSAD QATAYEE WAZEH AUR MUKAMMIL HOOTA HAI. HAN KABHI KABHI USKE ZAHEN MEIN YEH ZAROOR SAWAL AATA HAI KE SHAIR KI KIS LINE KO APNA UNWAAN QARAAR DON , KUINKE KABHI KABHI KOI MISRA JIS MAFHOOM KO LEKER LIKH RAHA HAI PAHLE WALE SE BEHTER HO JATA HAI IS LIYE WOH USKO UNWAN  QARAAR DE DETA HAI.
MAGER JADEED SHAIRI YA NAZM MEIN INSAAN AIK HI TOPIC KO LEKER CHALTA HAI AUR USI KE TASALSUL MEIN KHATM BHI KERTA HAI , KABHI KABHI USKA ANJAAM TAK PAHUCHANE KE BAAD WOH TAZABZUB MEIN PAD JATA HAI KE ISKA YEH YA WOH TITLE SAHI RAHE GA . JO US NAZM KE QAREEB HOOTA RAKH LETA HAI . MAGER WOH ZIDA DOOR NAHIN JATA HAI APNE UNWAAN SE.



TX



JAVED
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #6 on: August 23, 2009, 10:17:06 PM »
Reply with quote
Meri raya javedji se mael khaati hai.

Unwaan wahi sahi jo aapke kalaam ko behtreen dhang se bayan kare ya fir ek kotuhul paida kare lekin wo kalaam ke mutaabik hi ho. Sabse upar ye ki jo aapka dil kahe.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:16:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer