Important Knowledge for Urdu Poets

by Farhan Sohail on March 24, 2013, 02:39:53 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3205 times)
Farhan Sohail
Guest
Reply with quote
Ahl-e-Sukhan ko Adaab

      Yahan sab se pehlay jis TOPIC ko main nay parha who PARWAZ saheb ka taleemi silsila tha, jo mujhay buht acha laga, pher main nay mukhtalif aouqat main mukhtalif doston kay, na sirf kalam ko parha balkey un kay shairi se lagao ko b parkha, zarorat iss amar ki mehsoos hoi kay taleem kay iss silsilay ko mazeed agay barhaya jaye jis key liye main nay dosray tammam TOPICs ko ba-khobi parha jo taleemi maqassad k liye mukhtalif doston nay muhaiya (provide) kiye,
   Jo dost shairi ki bareekion aur un kay zawabtoon (law) ko malhoz-e-khatir rakh ker aur behroon kay quwaid-o-zawabat kay saath poetry kerna chahtay hain un ki mandarja (written below) zaroriyaat ko pora kiya jaye,

1.   Urdu alfaz ki sehi adaigi
2.   Behron ki kismain (Kinds of metre)
3.   Kitni kisam ki behrain ham istemal main latay hain,
4.   Behron kay kya qawaid-o-zawabat.
5.   Urdu key saqit, maktobah aur malhoza haroof-e-tahaji se taruf,

Abhi buht c batain hain jin ka hamray liye jan-na (awareness) buht zarori hai jo k achay likhnay walon key liye buht madad-gaar sabat ho sakti hai, lekin zarorat iss amar (point) ki thi hai key iss farz ko kon ada kerta aur kon iss se istafada hasil kerta, shairi ka asal taleemi silsila paicheeda aur sabar talab hai, jis key liye mujhay yahan koi khatir khuwah hoslakun pehlo kahin nazar nahi aya, jab main nay F.H. Saddiqui sahib ka topic MERI GHALTI, parha tu buht afsos huva. Hassan sahib pather usi phal ko partay hain jo oncha hota hai. Aap ka 212 ka tareeka b acha laga lekin shairi ki saanwi (second) taleem main who behron ki sharait ko wazia nahi kerta key kahan behar salim aur kahan saqt istemal hoti hai, aap behtar jantay hon gay, aap hawa ki parwah kiye bina chiragh jalaye rakhain aur dekhaty jain key kin ka daman is se roshan hota hai. (Jazak Allah).

Tammam YOINDIA doston se guzarish hi karon ga k jahan tak ho sakay dosron kay dil jeetnay ki koshish karain, aik dosray ki islah aur Izat karain, yeh who anasar hain jo aap sab k liye buht faida mand hain, yeh sirf YOINDIA per hi nahi balkay aap ki amli zindagi main bhi aap kay muawan (helpful) hain. Kuch dost islah ko acha nahi samjhtay tu yeh bilkul aisay hi hai jaisay khush kismati un kay darwaza per dastak day aur who kan band ker lain, kyun k beej (seed) jab tak zamin main dafan ho ker us ki nami aur garmahat (Heat) ko bardasht (bear) nahi kerta aik tandrust poda kabi namodar nahi hota.

Iss umeed se kay meri in baton se kisi ki dil-azari nahi hoi ho gi aur in baton se dost zaror istafada (Benefit) hasil karain gay.



Aap ka Khadim

Farhan Sohail
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: March 25, 2013, 02:54:04 AM »
Reply with quote
Nice,,,,,,,,,,
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #2 on: April 01, 2013, 02:34:06 AM »
Reply with quote
Farhan saaheb aapki is kosish ke liye main aapko daad deta hun, par jaisa ki aapne khud hi kaha ki har shaqs islaah ko sahi taur pe nahin leta, ab aisi surat meN koi bhi aala shayar islaah karne se parhez karega, isiliye jarurat ye hai ki ek aisa platfor ya thread ya forum banaya jaaye, jahaaN har member apni ghazal ya nazm islaah ke liye wahaaN rakh sake, aur jo yahaan ke bade shooraaN hain, jinhe shayri ki bareekiyon ka ilm hai vo bejhijhak islaah kar sakeN.... ab aage kya hota hai vo to waqt hi bataayega, par maiN aapki soch ke saath huN...

aameen...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:08:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer