Mere sawalo ka tu jawab hai..

by jayaa on February 03, 2013, 08:27:10 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2592 times)
jayaa
Guest
Reply with quote
A:Har khata meri sharaab se mansoob hua hai... Kya mere siva sheher mein hosh mein hai sare???

J: Puch beithe wo Junoon-e-ishtiyaaq meri.. Koi usse samjha de waafat k aage kya hai..
A:
Dekhoge to mil jayengi har mod par laashein.. Dhoondoge to is sheher mein Qaatil naa milega.
..

J: Shaq karte hain ek dusre pe yahan.. Khud k aks ko sawal nahi karte.Be-guman yeh samajh k zinda lasson k  qaatil nahi milte..


A:Be-gumaan nahi tha, yunhi badnaam ho gaya.. Hazaaro chaahne wale the..kis kis se Guman karta...

A: Bhool na jaau mangna tujhe har Namaaz k baad.. Yahi sochkar nam tera "Dua" rakha hai.

J:Khuda se kyo mange hai hume.. Hum toh tere halaal-e-taqdeer hai..

A:Mujhe maaloom hai main tera muqaddar nahi lekin.. Teri taqdeer se chupkar ik baar tera ho jaau...

J:Mujhe maaloom hai main tera muqaddar nahi lekin.. Teri taqdeer se chupkar ik baar tera ho jaau...

A:Kya bura hai ki main iqraar-e-mohabbat kar lu.. Log waise bhi to kehte hain Gunehgaar mujhe..

J:Iqrar-e-mohabat karlo, yeh hosla kuch aur hai.. Baat ched k yahan log kuch aur baat karte hai..

A:Hosle ki baat naa kar ae- tabassum, aaj bhi hum chaand ko tere baalon par sjaane ki qubbat rakhte hain..!!

J: Chand-taron ki batein woh yun karte hai ... Haqiqat se mun fer ne ko..Atanu!.. Yeh khayal achha hai..


A:
Abhi to milke chalna hai samandar-e-sailaab mein..fir aage chalke dekhenge kinaara kaun karta hai.


J:Hai unhe khud pe yaqeen.. Hum pe shaq sahi.. Hum v nikle the sath toofan ki ummed se..

A:Chal saath mere, shayad khushi ka daur bhi mil jaaye.. Gam bhi to mil hi gye the tamanna kiye bagair...

J:Sath tera na ho toh yeh zannat bhi haraam hai.. Khushiya sath chalenge humare yeh toh baseer-e-paigaam hai..

A:Ye fitrat hai zameen ki, k ye har cheez ko zabt kar leti hai...warna teri yaad mein girne wale aasuon ka samandar kuch alag hota..

J:aaj zameen ki yeh fitrat v achhi lagi warna kaun doobki lagata aansoon k sailab main..

A:
Kabhi hota naa jo ye raabta tujhse mera,  main khood mein doob jaata hu tu mujhko mujhme milta hai..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jawab de by abdulqadeer in Ghazals
Mere sawal ka jawab de kar jana by Gud.Suhail in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere ik ik sawal da jawab... by preet.shayari in Pain in Love : Punjabi poetry
Mere sawalon ka jawab tum bhi ho by mrigank in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere Khat Ka Jawab Ban Ka Aa Jao..!!...Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #1 on: February 04, 2013, 01:17:29 AM »
Reply with quote
nice
Logged
Aarish
Guest
«Reply #2 on: February 04, 2013, 03:12:04 AM »
Reply with quote
achcha collection hai daaad qubool kareN
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: February 04, 2013, 04:03:38 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley
Logged
aqsh
Guest
«Reply #4 on: February 04, 2013, 04:56:34 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
superb hai jee
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #5 on: February 04, 2013, 06:32:18 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:37:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer