Rules for combining the words with the use of -E- and -O- in ghazal/shayri

by @kaash on July 28, 2009, 10:39:19 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3583 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
Dear Friends,

As we all know and use E and O in
shayari.yahan par jaise dard-e-dil
hai yani dil ka dard aur din-o-raat hai
which means din aur raat.

so generally E is for me or ke ie. with in
and O is for aur i.e and.


is tarah se inke use se hum kum lafzon me
zyada achi tarah aur asardaar baat shayari me
kar paate hain.

my question is that what are the rules
for using these when we combine the
words with them.

a)is there a role of singular or plural words.
b)is there some rules regarding male or female words.
c) any other rules if any


pls answer it whosoever knows the answer.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
9 Rules to li(o)ve life by Rishi Soumya in SMS , mobile & JOKES
40 rules of life ..... !!!!!!!!!!!!!!!!!! by Talat in General Stories
Friendly Rules ! by Tosha in The POLLing and VOTing only forum
6 Rules of Life....... by TOUCHY in Inspirational Stories and real life Incidences.
Golden Rules....!!!!! by Friend_4uall in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #1 on: July 28, 2009, 11:39:41 AM »
Reply with quote
Dear Friends,

As we all know and use E and O in
shayari.yahan par jaise dard-e-dil
hai yani dil ka dard aur din-o-raat hai
which means din aur raat.

so generally E is for me or ke ie. with in
and O is for aur i.e and.


is tarah se inke use se hum kum lafzon me
zyada achi tarah aur asardaar baat shayari me
kar paate hain.

my question is that what are the rules
for using these when we combine the
words with them.

a)is there a role of singular or plural words.
b)is there some rules regarding male or female words.
c) any other rules if any


pls answer it whosoever knows the answer.
Dear kaash the use of 'e' and'o' in urdu shayri is just like a conjuction for specifying the relation among the words,It is just like sandhi vichhed of hindi language in which sentence is to be parted for personification and assertion rightly so that the sentence could be understandable easily .one thing more it is not 'e' or'o' they are 'aiy' and 'aou'
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: July 28, 2009, 12:32:40 PM »
Reply with quote
Kaash

Iska rule to meri nazer mein koi nahin aaya ,
yeh nasr ka tareeka hai ke aik doosre se connect jab kerte hain to uske liye conjuction istemal kerte hain.
ab yeh aap jab urdu adab ko padhain gay to ziyada samajh mein aaye ga
ya yeh na kersakain to kisi ache writer ke article aur afsane padhain
yeh tareeqa asl mein shayed arbi ki dain hai

Quran-e-majeed ho sakta hai, quran-o-majeed nahin
dar-o-deewar ho sakte hai dar-e-deewar nahin hosata ha
husno- o-ishq ho sata hai , husn-e-zan hai apka mager husn-o- zan hai unka nahin hoga , aap jitna padhaingay ilm hota jaye ga

yeh chezain aik din mein nahi aasakti
doosri baat zubaan ko usi ki rasmul-khat mein padhne aur doosre rasmul-khat mein padhne se bhi zameen asmaan ka farq ho jata hai.
kuinke jo rasmul-khat yani zuban ki likhayee ho gee woh usi lahje mein padhi jaye gee
aap jau gay
urdu mein aap kahain gay
aap jain gay
isitarh aap ne aana hai , jana hai etc etc
mager urdu mein sahi hooga , aap ko jana hai
maine jan hai ,mujhko jana hai

to is tarah aapko dhere dhere sab padhne ya kis mahool mein parvarish payee hai aap ki zubaan per kis khitte ka aser hai
bahut si cheezain maane rakhti hain.

aur kuch na samjh mein aaye P M ker leana

wassalam


javed
Logged
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #3 on: July 28, 2009, 02:00:11 PM »
Reply with quote
shukariya Saaz bhai,thanks for the reply.

chunki inhe jab inhe hum likhte hain hum to e and o me
hi likhte while combining the words that's why i wrote this.

can u also tell any rules for combining these words.
aapke hisaab se kya kuch aisi cheezen hain
jinhe dhyaan me rakhna chahiye inhe use karte vaqt?
cuz as per me there are certain rules.
hum har shabd ke saath inhe nahi jod sakte
ya phir har lafz me inhe nahi implement kar sakte hain.
to kis tarah ke words me hum inhe use kar sakte hain
this is my question.
what is its actual procedure n rules?


kaash ji jab bhi harfo ke beech ka contrast ho ya unki characteristic ko define karna ho to "e' ya "o' ko use kaarte hain do harfo ke beech, jaise--
DARD-E-DIL,isme dil ki characteristic batayi gayi hai,kyunki dil amuman khushi ko hi batata hai,is me dard ek contrast ki tarah hai isliye dil se aage laga hai,
DIL-E-KHUS,YE BHI DIL KI CHARACTERISTIC batata hai,lekin positivity me batata hai isleye dil ki visheshta dil ke pichhe lagihai
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #4 on: July 28, 2009, 04:30:54 PM »
Reply with quote
Kaash

aap ko bataya ke in ke koi khas rules nahin hoote hain
urdu qawaid padho to shayed jald samajh mein aa jaye yeh to zabr ,zair aur paish ka kartoot hain ismein tumko aisa kuch kahan mile ga
qayeda urdu padhu samajh mein aajayega
maine jaisa ooper likha ha rasmul khat ki wahjah se tumko pareshani ho rahi hai ager urdu mein likhoo to kuch nahin aaye

aur Saaz saheb se maazrat ke saath dil-e-khush sahi urdu nahin hai yeh urdu ka bigda lahja ja
ya to dil khush hugaya  ya khush dil yani khush mizaaj kah lain

waise dil ke sath
dile nadan. dile betab ,dile nagawar nahin ho ga dil ko nagawar laga ho ga,
ahd o paima hoga hijro wiasal hoga , ismein yahan likhne aur urdu ke lab o lahje ke likhne mein kafi farq pad jata hai

khushk o tar khushk e tar nahin hooga
.
isitarah se hai

dil e namurad
dil o namurad nahin ho sakta

bas yehi sab hai
urdu ka qayeda padhu samjh mein aa jaye ga
 yeh sab jaise ke likha hai zaber , zare aur paish ka kamal hai


tx


javed

Logged
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #5 on: July 29, 2009, 07:55:43 AM »
Reply with quote
javed saab ye sirf "adjectives aur noun" ka sabak hai jisme kisi word ki khasiyat[adjective] batane ke liye "e" aur do noun ke contrast yani aihledapan yani antar ko batane ke liye"o" ka use kiya jata hai jaise ki-- dli-e-nadan,dil-e-jaan ,yahan nadani dil ki kafiyat ko batati hai yani adjective hai, aur jaan to khud mein ek noun hai, dil aur jaan ke contrast ko batati hai,
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #6 on: July 31, 2009, 02:44:52 AM »
Reply with quote




Javed bhai kuch aur points hain isi mudde se mutallik
aapki raay jaanna chahenge hum


1. jaise koi shabd singular se plural bana
lets say hazir se hazireen,ab aise lafz jo singular hain
aur unke plurals bhi hain to E and O ka prayog
me kya koi parwaah rakhi jaayegi.

Ans --
Main nahin samjh sakta aap ,E N O ke chakker mein kuin pade hain
yeh sab istarah se nahin aasakta , main das misalain bata doonga uske baad ju aayaingee unka kia hoga , aur jaisa ke maine kaha hai english aur urdu mein likhne padhne se zameeen asmaan ka farq aajata hai

Mahal ki plural mahlaat hain ab ismein E O kahan lagana chahete hain , yeh aap ab samajh lain o yani urdu mein Waau و  hua yani ya ka matlab nikalta hai,mehrab o mimber    محراب و ممبر   yani mehraab aur mimber, Aab o dana   آب و دانہ   yani  aab mane pani ke hain dana khana kah lain , adat o khaslat yani habits. ab in mein E kisi bhi qeemat mein nahin aasakta hai
Ab isitarah E ko lain , KHumaar e daulat  خمار دولت   , E ka matlab hai zair ka lagana urdu mein , iska matlab hua daulat ka nasha, ismein daulat ki sifaat bayan ki jarahi hain , jahan kisi cheez ki tareef ki jaye ya , us se judi koi baat ki jaye wahan E lage ga, Jaise husn e zan hai aap ka , is mein insaan ki fitrat ki tareef ki gayee hai,Tark e muhabbat , yani muhabbt ko chood dena , chutkara ker lena ab ismein muhabbat se tauba yani usko tark kerne ki baat ho rahi hai.
to ab samajh mein aagaya ho ga ke E N O kia sahi istemaal hai
aik baat tum hindi zara sada likha karu maine nahin padhi hai


2. jaisa ki hum jaante hain ki Urdu ki lipi arbi aur faarsi ki lipiyun ke mel se bani hai to ye E aur O kya dono ke saath samaan roop se use hota hai, khaaskar jab bahuvachan me hon.
ismein plural ka shayed hi istemal hoota hai yani nahin

jaise kaaynaat,tahkikaat,vaardaat

is misal mein kainaat ,vardaat ,aur tahqiqaat koi bhi plural nahin , tahqiqqat ho rahi hai yeh nahin kaha jayega ho rahin hain


3. jab hum male words ko female words banate hain
jaise valid se valida, ya sahib se sahiba jisme
aakhir me hum he ya ha lagate hain.
to kya E aur O ka use inke saath hum
aazaadi se kar sakte hain ya kuch maddenazar rakhna hoga.


ismein kahin bhi e o ka istemal shayed hi hoota hai is se male female ka koi talluq nahi hai
muhtarma  ka muhtaram hai, ager kaha bhi jayega ,muhtaram o muhtarmaat koi nahin kahta hai waise koi aaib bhi nahin hai , ab yeh aadmi ki fitrat aur shaur wa knowledge per bhi hoota hai kia bool raha hai . aaj kal to urdu ya sabhy aap ki zubaan mein mujhe to loog mushkil se milte hain padha likha hoona aur baat hai tahzeeb yafta hoona aur baat hai,bahut se padhe likhon ke pass hum baith bhi nahin sakte hain aur bahut se jahil jo tahzeeb aashna hain aap unse bach bhi nahin sakte hai




4. usi tarah se jab hum prefix ya suffix athaart upsarg ya pratyay lagate hain jaise alvida,gairkanooni biljabr(ARBI)
ya Amooman,Takreeban(FAARSI),inme bhi kuse karte vaqt
kya koi rules hoga.
jaise ki English ki grammer hai usi tarah urdu ki hai ab Urdu gher ki murghee dal baraber , koi na samajhta hai na padhta hai grammer , aur urdudan banna chahete hain to ab sawal yeh aata hai ke English ki grammer padhe baghair aap sentence bana laingay , past ,present and future tense mein , zara aql ke nakhoon  lo mere bhai , asan se tareqe se aik do qaide padh lo jab chalu ho jaugay to baqi main padha doonga . waise mere pass puri kitab hai woh post kene ki koshish karoonga.
.
(inhe aaraam se hume sochna hoga aur jo bhi rules
milen apnana hoga.aur agar aise rules nahi to
jo bhi ho saken unhe samajhna hoga.)


[/quote]

bhai aap aram se karain ya bechaine jis tarah do char lines mein baghair mehnat ke koi zabaan aap seekhna chahete hain woh meri nazer mein qatayee ghair mumkin hai , han aap padhain jo na samjh mein aaye samjha sakta hun , yeh amr bhi mushkil hai ke main kitna waqt is tarah de sakoon ga , aur typing kerna bhi mere liye aik pain hai
 chalain aaj itna hi .
han aap loog poochte rahain jo ho sake ga karainga bhagne walon mein nahi hain

aap logon ki dilchaspi dekh ker khushi huyee

javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #7 on: August 04, 2009, 02:48:25 PM »
Reply with quote
Kaash

u r doing good mager , main samjh nahin pa raha hun tum kerna kia chah rahe ho,Ism aur fail waghaira , sab cheezon ka istemaal inki zaroorat ke tahat hoota hai, tum ager naya koi farmula banana chah rahe to koi muzaiqa nahin hai, baghair gramm. ke koi kuch nahin samajh sakta waise tum kafi samjhdar lagte ho , jo chahe karo
javed
Logged
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #8 on: August 11, 2009, 04:39:40 AM »
Reply with quote
KAAS YOU ARE DOING PRAISABLE WORK,
jahan tak ye E aur O ka babal hai,this certainly follow certain rule,but
jahan tak hindustani shayri aur mousiki ki baat hai, ab tarqqui mand aur tarqqui pasand shayar aur shayri ka dour hai, Adabi shayri gujre wqkt ki baat ho gayi hai,aaj ki sharyi masaaylon ki baat uthati hai aur saath hi uska hal bhi batati hai,Adabi shayri ka ek phase hua karta tha jab ki arbi,farsi,aururdu words ka max use hota tha,kyunki us wqkt wo word aam chalan mein hua karte the ,lekin aaj ki shayri bahut common words mein likhi jaati hai,jo aam aadmi tak apna asar rakh sake,aap is dour ke hindustani shayer ko pad ke dekhe to iska ahsaas ho jayega ki ab shayri "E" aur "O" ke her-fer mein nahi padti hai,
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:16:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer