Shayri Kya hai ? Poetry Kyun ki Jaati hai - Mere Sawaal !..

by fairykhan on August 14, 2009, 08:29:12 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 14629 times)
fairykhan
Guest
Reply with quote
hi every one...how r u...
me fi9...
shayri...is word ka sahi mtlab kia hai...Huh?
poetry...kiun ki jati hai..Huh?
kia poetry sirf wohi kr sakta hai jo kisi se muhabat krta ho ya dhoka mila ho...Huh?
mery khail main insan apni feelings dosron tak pohanchany k lie ye rasta apnata hai..kiun is se pehly koi us ki baat nai samaj raha hota...ya phr wo khud hi nai samja pata...is it right...Huh?
i wanted ur good openion about this...

>>>>>>FAIRY<<<<<<
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #1 on: August 15, 2009, 06:30:05 PM »
Reply with quote
Muhtarma Fairy Saheba

Adaab

Asl mein aap ka naam fairy hai , to wahan usi tarah ke aap ne apne khayal bhi likhe hai.

khair yeh to aik halka sa tabassumi pahlu tha aap ke sawalat ke andaaz ka.
Shayeri ka Laghwi Maani ,Dictoinary wala, Mubalgha aarayee kerna, yani kisi baat ko badha chadha ke kahna ya
khair yeh jo aap ke sawalat hain unka shayeri se shayed koyee taalluq nahi hai,inka jazbaat se hai jo aaj inko shayeri ka naam de diya gaya hai
shayeri aik khuda daad salahiyat hooti hai, jo her aik ko nahin milti hai.
Ager jo andaaz aap yahan dekh rahi hain ke, ke sab apni apni taan suna rahe hain aur shayer azam ka tamgha jaise mil gaya ho , iska shayeri ka door tak ka wasta nahin hai , main sab hazraat se maazrat ke sath , shayed kisi ke zahne nazuk ko giran guzre.
Aap ne shayeri ke maanay poche hain ,woh do lines mein bata qatayee na mumkin hai  to poori aik kitab likhi ja sakti hai aur phir bhi is ki tareef tishna rahe gee, kuinke ismain aik cheez shamil nahin hai , waise iska matlab likha hai , mubalgha aarayee kerna hoota hai.
ab shayeri samajhne ke liye aap ko , jo iske ajza hain woh samajhna padain gay, jaise Hamd , Naat, ghazal ,nazm, qaseeda , rubaiyee, aur on n on,
Ismain kisi baat ki madah kerna ,yani tarrf kerna , ab shayer kis unwaan aur kis sinf se ker raha hai yani, nazm , ghazal ya qaseede etc etc se ker raha hai.
yeh zaroori nahi hai jis ne ishq kia nakaam ho gaya ya mebooba ke baap ne do thappad laga ke bhaga diya shair ho gaya , shaiyeri se iska taaluq kuch nahin , werna aaj gajer mooli ki tarah shayer hoote . jaise keh maine likha hai ke yeh aik khuda dad salahiyet uttam tareqe se aik shair mein hooti hai jaise jaise woh usko saiqal yani qalaiyee kerta jata hai means practice woh nikharta jata hai. usmein sab se pahle to yeh salhiyat hoona chahiye ke apni baat aik shair mein istarah bayaan ker sake ke sunne wala bas sunta rah jaye doosri ahm shair aisa mauzooN ho ki kahin se lachak na ho mauzooniyat bahut zaroori hai phir jis ke liye jkah raha hu yani woh khuda ki tareef mein ya kaiyenaat ki tareef mein ya manzar kashi ho, ya mahboob ki tareef ho, ya apni bebasi ka roona ho yani usko jo bhi mauzoon ho woh apne mein her tarah se yani uski nook palak shaiyri ke her zaviye ya angle se mukammal ho to woh shair kahlaigee aur is ki is aamad ko shaiyeri kaha jayega,
yeh naho  ke kahin ki eeint kahin ka roda , aur bhanumati ne kunba joda.
her shair bahr mein her shair khud mein mukammal aur kai maana se bherpore ho
waghai waghaira
ab maine kafi likh diya hai woh bhi sirf ishartan , ismein ager kuch sawal uthain to yahan ager jhijak ho to aap P M ker sakti hain

wassalam
khushi huyee aap ne kam se kam yeh sawal to uthaya


javed
Logged
fairykhan
Guest
«Reply #2 on: August 16, 2009, 08:13:13 AM »
Reply with quote
hmmmmmmmm......ap ki batain parh k lagta hai ap ne poetry jaise word ko kafi searh kia hai..mgr main ik bat kahon gi k jab koi poet banta hai tu wo ye nai dekhta k us ne ye shir kis tune main kaha hai khne wala kh jata hai r sune wala sunta reh jata hai...ap ne sahi kaha k ye ik khuda daad salahiat hoti hai..mgr kuch log apni is salahiat ka koi sahi faida nai uta paty yani wo shair nai khty.....
mn poetry kafi arsy se kr rahi hon but there was no any source to discribe it...tu mne itny arsy mn yehi dekha hai k jab mn udas hon ya bht khush hon tu hi kuch likh pati hon...
so mn dosron k b khyalat janana chah rahi hon k kia waqi insan sirf usi waqt kr sakta hai ya phr is k ilawa b.Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?
ok bye
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: August 16, 2009, 08:19:29 AM »
Reply with quote
fairy saahiba waise toh main yeh nahin jaanta kii poem kya hai aur yeh kyun kii jaati hai

mere liye toh yeh ek sundar sa zariya hai logon ko apni baat ek lubhawane andaaz main bataane ka,jo oonhe bhi pasand aata hai
main koi shayar nahin hoon, na hi mujhe urdu kii itni jaankaari hai,

aur mere khayal se jaroori nahin kii aap kissii se mohabbat karte ho,ya dhoka khaye ho tabhi likhte hai.
maine na aaj tak kissii se mohabbat kii aur na hi dhokha khaya,

lekin itna jarooe kahoonga kii ishq karne walon kii aur chot khane walon kii shayari main ek alag se kashish hoti hai, aur shayad isi wajah se main doosron ko dard aur khushi ko mehsoos kar ke likhta hoon , main shayad aapka jawaab toh nahin de paaya magar mere liye poem aur shayari kya hai yeh bataane kii koshish kii hai

god bless u
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: August 16, 2009, 05:12:46 PM »
Reply with quote
Dear Fairy...

Poetry / Shayari... kya hai...

Mujhe itna pata hai ke hamari dil ki ehsaas hai jo kavita mein
pesh karte hai. kabhi udasi mein kabhi khushi mein... bas we
express our feelings in a poetic way.
 Usual Smile
Logged
fairykhan
Guest
«Reply #5 on: August 26, 2009, 05:00:15 AM »
Reply with quote
salam...
hmmm..nice openions...main bhi yehi jana chahti thi k shairy kisi k lie b ki ja sakti hai..and kisi bhi way main...hai na...r poetry hamesha hamri feelins ko explain krne ka ik way raha hai..
ham poetry k zarie apni feelings ko express kr sakty hain...m i right..???thanks for openions...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #6 on: September 02, 2009, 07:22:33 PM »
Reply with quote


hi fairy ji..

merri nazar mein shayari ek bahut hi khubsurat tarika hai apna dard kum karne ka...ya apni khushi zahir karne ka..shayari hi ek aesi cheez hai jo tanhai mein hamara sath nhi chhodti aur hamare zehen mein hoti hai..jab hum har taraf se haar jate hai ya jeet jate hai tou hamein poora hamare lafz hamare jazbaat hi karte hai...

aaj mujhe shayari merre jine mein bahut maddat karti hai......
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #7 on: September 02, 2009, 07:48:53 PM »
Reply with quote
mein sirf itna jaanta hun

kuch alfaaz aisa kuch keh jaata hain jo bade bade lekh nahi keh paata
aur shayyari un lafz e bayaan ka tareeka hai

poetry is when you wanna explain in a way enjoyable or reach people in a way they want to be reached
Logged
Mast_Malang_Munda
Guest
«Reply #8 on: September 07, 2009, 06:37:18 PM »
Reply with quote
Swal jitha achchha hai javed sahab ka jwab bhi utna hi achchha hai.
Shayari ka sahi mtlb btaya hai innhone.


Mujhe lgta tha  ki shayari kisi bhi mauke pr dil se nikli hui woo baatein hai jo kisi k bhi dil ko chhoo jati hai
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #9 on: September 12, 2009, 02:58:02 AM »
Reply with quote
Shukria Mast malang ji

khushi huyee aik aadmi ne to meri baat samajhne ki koshish ki

koi kia kahta hai , usko haq hai jo bhi kahe,mager sach hamesha sach hoota hai , jab shayeri kia duniyan ke her kaam ka koi na koi qaida aur usool hoota hai aur usi tarah kerna padta hai, khana bhi khate hain to , dal sabzi ,salan ,curry roti sab pakan padta hai, phir usko directpaith mein nahin rakh lete hain chabana aur nigalna bhi padta hai, kabhi kabhi niwala halaq mein phans bhi jata hai. yeh shayeri bhi aise hi kuch hai, bas aap ne jo soch liya ya kah diya woh qaida to nahin ban gaya , bahut se mana ke paidaishi shair hoote hain mager unko bhi unheen qaidon per chalna padta hai jo is duniyan mein raij hain ya chal rahe hain,
main dekh rahaun aap loog itni mehnat bhi ker rahe hain shayed dimaagh bhi lagana padta hoga, kisi ne 4 misre likh diye na unko napa , na sawanra aur nahi samajhne ke koshish ki ke kia likh rahe hai kuin likh rahe hain , shayeri ho rahi hai, yeh to aik tarah se sahyeri, shuara aur khud ka mazaq udana hai, shayeri ki itni aqsaam aur sinf ya kismain hain jo aap ko bhali lagtee ho le lain aur usko likhna shuru karain.to phir loog bhi padhain aur maza bhi aaye .

aik baat aaj tak samajh mein nahin aayee loog wah wah ke pahad khade kiye rahte hain aur unko yeh bhi nahin pata hoota hai ke kahne wala kah kia raha hai.ya bas falan ne likha hai main janta hun tareef mera farz hai.
aur shayeri sirf furqat , mehbooba ka bichadna, ya ishq ki nakami ka naam nahin hai. bas her aik majnu hua aur shayeri shuru ker di, waise aik baat majnu ne badi achchi ki aaj kal ke majnu aur laila ki tarah nahin they , yaar unloogon ne to furqat , khushi gham ya muhabbat per aik misra tak nahi kaha .

khair jane dain shaid bahut hi be waqoof they ya school na gaye hoon gay, ya unke gher mein shayeri per pabandi hoo gee

to janab is raam katha ka matlab itna sa hai ke aap loog itni mehnat aur jafa kashi kerte hai likhte hain phir post kerte hai aur phir wah wah ka intezaar kerte hain ,to kuch aisa karain jis se ke shayeri ka bhi kuch bhala ho aur padhne wale bhi lutf andooz hon,


aap logon se guzarish hai ke shairi ko shairy ki tarah lain nake jo aap ki aqle shareef mein aaya wohi sahiry ho gayee . istarah to shairy ke sath aap ne aik lafz suna hoga zina bil zabr ho raha hai
To friends aap ko ager shairy se haqiqatan muhabbat hai to aagay badhain usko usi ke andaaz mein gale lagain ya aap ki zabaan mein iski khilli udana hai aao isi tarah uski checha leder kerte rahain.

ab yeh aap ke hath hai kia kerna chahete hain

aap ko kuch na maloom ho yahan threads hain ,kuch qabil hazraat bhi hain, unse bila kaluf pochain sab aap ke dost , hamdam aur yoindians hain aur sab ka farz hoota hai ke her aade aur bure waqt mein kaam aain , to doston ummed hai ke kuch na kuch is bare mein soochain gay. doosri baat student ki na to kabhi izzat jati hai na naak. jiske lanbee naak hooti hai uski hamesha kat ti rahti hai mager woh phir bhi-----

sorry ager kisi ko kuch bura lagay , yeh mera farz tha kahna aur batana wa jatana ab aap ka kia farz hoota hai aap khud faisla karain

khuda Hafiz



javed
Logged
musaafirhon
Guest
«Reply #10 on: September 13, 2009, 05:42:20 AM »
Reply with quote
Shukria Mast malang ji

khushi huyee aik aadmi ne to meri baat samajhne ki koshish ki

koi kia kahta hai , usko haq hai jo bhi kahe,mager sach hamesha sach hoota hai , jab shayeri kia duniyan ke her kaam ka koi na koi qaida aur usool hoota hai aur usi tarah kerna padta hai, khana bhi khate hain to , dal sabzi ,salan ,curry roti sab pakan padta hai, phir usko directpaith mein nahin rakh lete hain chabana aur nigalna bhi padta hai, kabhi kabhi niwala halaq mein phans bhi jata hai. yeh shayeri bhi aise hi kuch hai, bas aap ne jo soch liya ya kah diya woh qaida to nahin ban gaya , bahut se mana ke paidaishi shair hoote hain mager unko bhi unheen qaidon per chalna padta hai jo is duniyan mein raij hain ya chal rahe hain,
main dekh rahaun aap loog itni mehnat bhi ker rahe hain shayed dimaagh bhi lagana padta hoga, kisi ne 4 misre likh diye na unko napa , na sawanra aur nahi samajhne ke koshish ki ke kia likh rahe hai kuin likh rahe hain , shayeri ho rahi hai, yeh to aik tarah se sahyeri, shuara aur khud ka mazaq udana hai, shayeri ki itni aqsaam aur sinf ya kismain hain jo aap ko bhali lagtee ho le lain aur usko likhna shuru karain.to phir loog bhi padhain aur maza bhi aaye .

aik baat aaj tak samajh mein nahin aayee loog wah wah ke pahad khade kiye rahte hain aur unko yeh bhi nahin pata hoota hai ke kahne wala kah kia raha hai.ya bas falan ne likha hai main janta hun tareef mera farz hai.
aur shayeri sirf furqat , mehbooba ka bichadna, ya ishq ki nakami ka naam nahin hai. bas her aik majnu hua aur shayeri shuru ker di, waise aik baat majnu ne badi achchi ki aaj kal ke majnu aur laila ki tarah nahin they , yaar unloogon ne to furqat , khushi gham ya muhabbat per aik misra tak nahi kaha .

khair jane dain shaid bahut hi be waqoof they ya school na gaye hoon gay, ya unke gher mein shayeri per pabandi hoo gee

to janab is raam katha ka matlab itna sa hai ke aap loog itni mehnat aur jafa kashi kerte hai likhte hain phir post kerte hai aur phir wah wah ka intezaar kerte hain ,to kuch aisa karain jis se ke shayeri ka bhi kuch bhala ho aur padhne wale bhi lutf andooz hon,


aap logon se guzarish hai ke shairi ko shairy ki tarah lain nake jo aap ki aqle shareef mein aaya wohi sahiry ho gayee . istarah to shairy ke sath aap ne aik lafz suna hoga zina bil zabr ho raha hai
To friends aap ko ager shairy se haqiqatan muhabbat hai to aagay badhain usko usi ke andaaz mein gale lagain ya aap ki zabaan mein iski khilli udana hai aao isi tarah uski checha leder kerte rahain.

ab yeh aap ke hath hai kia kerna chahete hain

aap ko kuch na maloom ho yahan threads hain ,kuch qabil hazraat bhi hain, unse bila kaluf pochain sab aap ke dost , hamdam aur yoindians hain aur sab ka farz hoota hai ke her aade aur bure waqt mein kaam aain , to doston ummed hai ke kuch na kuch is bare mein soochain gay. doosri baat student ki na to kabhi izzat jati hai na naak. jiske lanbee naak hooti hai uski hamesha kat ti rahti hai mager woh phir bhi-----

sorry ager kisi ko kuch bura lagay , yeh mera farz tha kahna aur batana wa jatana ab aap ka kia farz hoota hai aap khud faisla karain

khuda Hafiz



javed

Subhan Allah Javed sahab kya sachi Baten Bayan Ki hai Apne ,,har chiz ko tarteeb se bataya hai apne , aur shayari ke jazbe ko itne qubsurath andaaz me shayad hi koi yoindia pe bayan kar sake ,, yoindia ki khushnaseebi ke ap jaisa koi urdu daan is bazm ka hissa hai , aur yoindia ke bahetar mustaqbil ke liye ji jaan se mashaqth me laga hai ,, subse eak adna se guzarish hai ke javed sahab ki mahenath ke saath ap sub log apna interest bhi dikhayen to shayad javed sahab aur Admin sahab ka Maqsad kamiyabiyun ki bulandi ko chu le ,, Ab Baaqi sub samjh daar hain ,, allah subko khush rakhe ,, aur is bazm ko pur sukoon mahool de ,, Javed bhai aur Admin sahab ka tahe dil se shukriya ada karna chahunga ,, Allah ap ko khush rakhe aur in mansubon me kamiyabi de !!

Javed Bhai aur Admin sahab ki nazar ye ashar ,, jo Apki Sacha-e-pe Mabni hai,

Mai Akela Hi chala Tha Janib-a-Manzil Magar !!
Log Milte Gaye Karwan Badta Gaya !!

Javed Sahab ne Sub Khuch bata Hi diya hai , Aur mai unki har baath se itefaq rakhta hon , Bus itna kahena Chahunga ke Shayari Eak Baak Jazba Hai Kissi Mauzu se nahi balke Muqtalif Manzaron se Taluq rakhta hai .. Zahen ke Saath Urdu Zubaan ka Huna zaroori hai , Baaqi Ap Javed Sahab ki Taheriron me Pad sakte hain !!


Duvaun Ka Muntazir

Qadeertoopchi
Logged
karunsharma
Guest
«Reply #11 on: September 13, 2009, 06:40:17 AM »
Reply with quote
IF U DINT MIND 
VASY MUJAY JO LAGTA HAI KE SHYRE JO HIA
VO BINA DARD KAY NAHI HO SAKTE
MANO DARD KAY BINA Y ADHURE HAI
OR RHY BAT SHYRE KE VO M JAB BHE JAYDA DUKHE HOTA HO
TO KUCH NA KUCH LEKH DAITA HOOO
VO SACH JO MARY SATH HOTA HAI
TUM BHE KABHE TRY KARKY TO DAKHO APNAY AAP HE PTA CHAL JAYGA
KE KYA HAI SHERY ..............]
PLZ REPLY MUST MY ID .........karunbhardwaj198@yahoo.com

MY NAME IS KARUN SHARMA
FROM CHANDIGARH
Logged
musaafirhon
Guest
«Reply #12 on: September 13, 2009, 07:07:36 AM »
Reply with quote
IF U DINT MIND 
VASY MUJAY JO LAGTA HAI KE SHYRE JO HIA
VO BINA DARD KAY NAHI HO SAKTE
MANO DARD KAY BINA Y ADHURE HAI
OR RHY BAT SHYRE KE VO M JAB BHE JAYDA DUKHE HOTA HO
TO KUCH NA KUCH LEKH DAITA HOOO
VO SACH JO MARY SATH HOTA HAI
TUM BHE KABHE TRY KARKY TO DAKHO APNAY AAP HE PTA CHAL JAYGA
KE KYA HAI SHERY ..............]
PLZ REPLY MUST MY ID .........karunbhardwaj198@yahoo.com

MY NAME IS KARUN SHARMA
FROM CHANDIGARH

Ajj Hi kar ke dekhunga Karun Ji ,,
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #13 on: September 13, 2009, 02:28:27 PM »
Reply with quote
Bharagwaj Ji

aap ka kahna sahi hai ke jab tak aadmi mein dard samajhne ki salahiyat nahin aati ya baat samajhne ki jab tak woh usper comments ya qalam kuinker utha sakta hai, doosri baat yeh hai , usko is baat ka ilm bhi hoona chahiye ke dard ,gham ,manzer kashi,ishq,tareef,husn ke zalwe jhatke ,addain,mahboob ki beaitnayee,raqeeb ki raqabat,kainaat ki jalwanumayee,asmaanon ke manazer, chaand taron ki baat ,husno ishq ki laag dant aur maan baap ki mubaat ,biwi ki rifaqat waghaira waghaira uske sath sath alfaz ka chunau , uski bandish , aik shair ke mukhtalif ma'ana
apne ko doosre ke samne paish kerne ki salahiyat , ke padhane wala kho jaye ,khud ko bhool jaye ,uske munh se besakhta wah wah nikal jaye, zubaan per pakad khuwah koi zubaan ho, phir kis qism ke shayeri mein usko intrest , ya apna loha manwana chaheta hai, ETC ETC
To janab gustakhi ma'af mehbuba ne na ker di aap ishq mein pagal ho gaye aur aul faul bakne lagain kuin ke jab dard hoota hai to mukhtalif qism ki awazain nikalti hai ab jaise jiske dard hooga woh usi anaddaz mein chillyega , bahut see awazain to kabhi kabhi samajh mein bhi nahin aati hai , ager aap isko shairy ka naam dena chahain to phir shairy aur shair sab --- yani bhains gayee pani mein,ab mere baap ne mujhe gher se nikal diya , main admi banne aur kuch ban dikhne ke bajaye shair ban jaun to aap samajhte hain ooper koi baat ka to ilm hai nahin pahle to jab tak pait khali ho to koi cheez saaf nazer hi nahin aati hai ,usko pait se kahan fursat hoogi ya gham se woh kisi qism ka kahan fursat ke duniyan ke deewan , dictionary , aur sahebe shaur ya sahebe fun ya manjhe huyee kisi us field ke aadmi ko ruju karae.
To janab aap ko aap ke sawal ka jawab mil gaya ho ga.ummed hai aap mujhse sahmat bhi hoongay. aik chooti si baat aap ko aap ke parents ne school kuin  bheja samne kitaab rakh dete beta padhu kia woh padhe likhe nahin they jo aap ko padha sakte , aap mandir kuin jate hain , aap to pandit hain , duniyan ke khoob bhoog khaye hoon gay mashallah se , woh loog pothi patra ke sath aap ko (pandit ji) kuin bulate hain sari kitabain duniya mein milti hain. main kahun kal se main shadi biyah main karaunga  mujhe kitne loog bulain gay

To serkar bahut aap ka waqt le liya main ne aap ke madhiyam se sab ko paighaam pahunchane ki koshish ki hai , ke  jo bhi kaam karain usko samjh ke dekh ker jan ker , zaroori nahin ke shairy hi ho woh koi kaam bhi ho, insaan zindagee bher seekhta hai phir bhi hamara jaisa kora rah jata hai .

Dear friends try your best, na samjh mein aaye to aaj duniyan bahut chooti ho gayee apne man pasand logon ko dhoond ker apni field mein maharat nahin to soojh to paida hi ki ja sakti hai.

ager meri koi baat buri lagi ho to sorry, main ummed karunga jisko bhi koi objection ho khul ker likhe jaisa ke aap ne likha hai , meri jitni aql hai bharsak mutmayeen kerne ki koshish karunga  , mujh mein itna shaur nahin hua to apne se ziyada janne wale ka sahara leker aap ko jawab dene ki koshish karun ga


tx

javed
Logged
aaina
Guest
«Reply #14 on: September 14, 2009, 10:41:55 PM »
Reply with quote
Mohtaram Javed sahab assalam o alikum
Mashallah se aapne bhut khoosurti se shayri ke maayne ko hum sabhi ke saamne rakha aur ye bataya ke shayri kaise ki jaati hai aapka bhut bhut shukriya, aapne bilkul sahi likha ki shayri ek khuda daad salaahiyat hai jo har kisi ki qismat mai nahi,ye bhi sahi farmaaya ke koi agr ishq mai nakaam ho gaya ya ki mehbooba ke baap ne thappad maar dia to wo shayr ban gaya ya ki ban jaye


Quote from: javed sahab
shaiyeri se iska taaluq kuch nahin , werna aaj gajer mooli ki tarah shayer hoote

Bilkul durust koi bhi insaan uper se sab kuch seekh kar nahi aata haan sifate.n hoti hain magr unko tarashna padta hai, yahan is site pe jo bhi log aate hain ya you.n kahiye ke jo log is site ke member hain unko is lafz “shayri” se lagaao hai ek attrction jo ki unhe yahan aane pe majboor karta hai aur saath hi saath jo jazbaat unke andar chipe huway hain ye platform unko iski azaadi daita hai ki wo un jazbaato.n ko apne alfaazo.n ka lafzi jama pehna kar rakh sake.n, jisse ki shayad kahin na kahin ek sukoon aur raahat ka ehsaas hota hoga, bhut se log jo yahan aate hain unka lafz e urdu se door door ka waasta nahi urdu takhti kya hoti unhe nhi maloom talaffuz ko bhi nhi jaante magr in sab batao.n ke bawajood wo urdu mai kuch kehne ki himmat karte hain afree.n unka bhut aur bhut khairmaqdam hai, jo bhi likhte hain jaisa bhi likhte hain likhen aur khoob likhe.n aise hi bhut kuch seekhne ko milega, mein jaanta hu.n ki har koi yahan is nazariye se nhi aata ki wo ek shayar hai by profession usko ye mashghala adopt karna hai, meri khud ki pehchaan bhi meri nazar mai unhi mai se hai jo ki urdu ke baare mai bhut kam jaante hain apne ehsaaso ki tarjoomani apne khuch gine chune huway jitna ke kahin pad lia hai unse karte hain nok palak ko sudaarne ke liyn motaale ki zaroorat hai aur saath hi saath islaah ki bhi bade se bade shayr ka koi na koi ustaad rha hai kyunki apni khaamiyaan kisi ko bhut kam nazar aati hain chahen wo kitna hi bada ustaad kyu.n na ho, hum log bina islaah ke jo kuch bhi likhte ya kehte hain uspar koi rok nhi honi chahiye ke pehle to hum apne nok palk sudaare.n aru phir kuch post kare.n,

Quote from: javed sahab
Ager jo andaaz aap yahan dekh rahi hain ke, ke sab apni apni taan suna rahe hain aur shayer azam ka tamgha jaise mil gaya ho , iska shayeri ka door tak ka wasta nahin hai , main sab hazraat se maazrat ke sath , shayed kisi ke zahne nazuk ko giran guzre

Javed sahab mazrat ke sath agr aapko meri ye gustaakhi buri lage to uske liyn maafi khwaah hu.n, waise to hamari riwayato.n mai se hai ki………………………….

“Go waqt ne aise bhi mawaqe hame baqshey
Hum phir bhi buzurgo.n sirhaane nahi baithe”

Phir bhi kabhi kabhi koi baat buri lag jaati hai agr aisa ho to uske liyn apna chota samjh kar maafkar deejiyega,
Aapne bilkul sahi kaha hai ye jo yoindia pe hum log shayri karte hain ye shar o shayri nhi hai magr, agar koi apne ehsaason ko is shakal mai daikhna chahta hai to bura kya hai? Ya ke jab wo shayar ho jaaye aur apne saare nok palak sudaar lai usko tabhi is baat ka haq banta hai ko wo apne jazbaat ko sabki nazar kare? Aap bilkul durust hain sofedadi dursut hain ki har kalaam ki nok palak aur uska mfhoom, ki asal mai kehne waala kya kehna chah rha hai clear hona chaiye jisse ki jo pad raha hai wo lutfandoz ho sake, magr janaab kya keejiye ye kambakht dil kuch hai hi aisa ki apni tareef sunne pe har wqt amaada rehta hai chahen wo tareef ke qabil ho ki naho
,

Quote from: javed sahab
aik baat aaj tak samajh mein nahin aayee loog wah wah ke pahad khade kiye rahte hain aur unko yeh bhi nahin pata hoota hai ke kahne wala kah kia raha hai.ya bas falan ne likha hai main janta hun tareef mera farz hai.
aur shayeri sirf furqat , mehbooba ka bichadna, ya ishq ki nakami ka naam nahin hai. bas her aik majnu hua aur shayeri shuru ker di, waise aik baat majnu ne badi achchi ki aaj kal ke majnu aur laila ki tarah nahin they , yaar unloogon ne to furqat , khushi gham ya muhabbat per aik misra tak nahi kaha

Ye neher doodh ki hum bhi nikaal sakte hain
Maza to jab hai ke farhaad sher kehne lage
Javed sahab agr meine kuch kehne ki himmat ki bhle hi maana ke wo meter mai nahi hai to kya sirf tanqeed ka hi farz banta hai taareef ka nahi hosla afzaai ka nhi,
Yahan tafeef karne ka maqsad ye nhi ki dosre ko tamghe diye ja rhe hain blki meri nazar mai ek dosre ki ye hosla afzaaii hai jisse ki agr aaj usme kuch ghaltiyaan ya khaamiyaan hain to wo aage likhne ka hosla kare taake aage wo koshish kare ki isse door kya jaaye na ke usko padha to jaaye magr koi comment nhi kya jaaye ye to sra sar ziyaadti hogi haan jo aapko sahi na lage mat keejiye uspar comment mat keejiye uski tareef magr kuch acha lagta hai kahin bhle hi ghalt hi sahi to ye farz banta hai ki jo kuch bhi usne likha hai uski tareef ki jaaye,
Bharhaal mera yahi maanna hai ki har kisi ki apni limits hoti hain aur wo unhi mai rehta hai har koi na to ghalib ban sakta hai na hi meer, jisko jitna aata hai aur jitni bhi koshish karta hai kare aur mazeed koshish kare ki acha ho, jo dil ko acha lage waisa kare is baare sagheer mai lataadaad aise shayar pade hain jinko hum pad sakte hain aur lutfandoz ho sakte hain,
Javed sahab aapki kisi bhi baat ka bura nahi laga hai ye bas meri apni opinion hai aapne jo baat sahi thi wo kahi hai aur yaqeenan hum sabka ye farz banta hai ki agr aisa kuch kar rhe hain to koshish kare.n ki javed sahab jaise guni logo.n ki madad se apni khaamiyaa.n sudhaare.n mein ye bhi jaanta hu.n ki kabhi kabhi haalaat sath nhi daite hain to bharhaal jitna bhi time mil sake koshish keejiye, jiasa ki javed sahab ne kha hai ki yahan pe mashallah se kaafi mahir e fan log mojood hain to fayeda uthaiye unka yaqeena wo aapki aur hamri zaroor madad karenge,
In naik
Kwahishaat ke sath ki yoindia isi tarhan se hamesha qayam rhe aur is par jo bhi aur jaise bhi likhne waale hain Allah paak unke sehat ke sath zindaagi aur taraqqi ata farmaaye aur wo yoindia ko apne wajood se you.n hi roshan karte rhe.n aameen
Ijazat chahunga aur ek baar phir javed sahab aapse kehna chahunga ki agr aapko meri kisi bhi baat se ye laga ho ki maine koi gushtaakhi ki hai to bhut inkesaari ke sath aapse maazrat khwaah hu.n bas jo maine socha wo likh dia
.




Aslam noor khan



 
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:50:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer