Shayri Kya hai ? Poetry Kyun ki Jaati hai - Mere Sawaal !..

by fairykhan on August 14, 2009, 08:29:12 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 14627 times)
javedarshad
Guest
«Reply #15 on: September 15, 2009, 02:32:30 AM »
Reply with quote

Hi Yoindians

Wa muhtarmi Khan sb
Tasleemat
Badi khushi huyee khan sahebi ko kuch to josh aaya
Wallah main kaise kisi ki baat ka bura maan sakta hun , ager bura hi manna hoota to tanqeed kuin kerta aur sath mein yeh bhi likhta ke aap logoke zahen mein  jo aaye khule dil se aur wazeh alfaz mein likhai.
Ab pata nahin mujhko zati taur per aapko infiradi haisiyat se mukhatib bhi kerna chahiye ke nahin mager meri majboori yeh hai ke mashallah se aap ne bade hi tafseeli aur maa'na khaiz tahreer ka muzahera kerne ki nakamm koshish ki hai, bajuz iske aap meri tahreeron ko ghaur se padhte, samajhte aur nateeja aghz kerte to shayed is tahreer per in nazuk ungliyoon ko zakhmi na kerna padta.
aap ne meri mizah se pur aur purtakaluf jumlon ko tanz ka serchashma to samajh liya mager unmein jo dard aur mawad chupa tha us se qatayee chasmposhi kerne ke sath sath hazraat e yoindia ko bhi badzan hoone ka jawaz aur imtiyaz baksh diya.
Main Canada mein baith ker jo ker raha hun usko wahan baith ker loog zakhme kari laga rahe hain. aap ka kahna baja hai ke logon ko urdu ki takhti kia uske saaye ka bhi shaiba nahin pada hai . usi ka to roona hai , aaj wahan jahan paida huyee hai , mushkil se padh sakte hain , dookan per aik board nahin mile ga , jab yeh aalam hai to jo shuara jinhoone iski khidmat mein zindigyaan surf ker deen unke deewan mein dhaniay ya mirchain hi bandhee jaingee , wallah unki rooh kitni khush hooti hogee ,main tareef ke khilaaf nahin hun na hi hausla afzayee ke , ager aisa hoota kuinker competion ka inaqaad her maah kerta, mager jahan koi mafhoom ya zubaan ki tazleel ke aalawa kuch na hu wahan tareef maaf kijiyega aap hi ker sakte hain main to kabhi nahi,
Aapne meri qalam ki nook palak to pakad lee, mager aane wale waqt, jismein zuban ki chashni aur rawani dafn hoone wali hai , ki nabz pakadne ki koshish ke bajaye laan taan mein pad gaye.
Aap ne khud hi jo sb ki tarrf mein jumle tahreer fermaye hain main unki ikhlaqi jurrat bhi na kersaka,bas main itni si baat hi to samjhana chah raha hun, jo aap ke qalam ne besakhta kah diya.
Aap ke ilm k liye main nato koi shayer hun ,na urdu dan ,na muffakir aur nahi koi danishwer,han aik jazba hai zuban ki khidmat jisko her mumkin mitane ki koshish ki ja rahi hai , aur ager hum bhi usi saf mein shamil ho gaye to,isiliye apni bher pore jo bhi istedad hain khidmat ker raha hun
aaj urdu ghazal aur nazm kis muqam per pahunch chuke hain , dil dukhta hai loog najam aur gajal ke bakhiye udedh rahe hain , kal phir yehi hamare adab ka hissa ban jain gay jaise aaj aazad nazm hai, kisi ne kitna sach kaha hai kisi qaum ko khatm kerna ho to uski zuban tabah kerdo woh qaum khud ba khud khatm ho jaye gee

khair aap ki zaranawazi aur sharing ka dili mashkoor hun main jab tak zinda hun apni si kiye jaunga jo khidmat hoo gee karoonga chahe koi khush ho ya naraz , main haqqeqat se chaashm poshi nahi ker sakta .
Ummed hai ke isko koi zaat se nahin joode ga , aur is anmool sermaye ko bachane mein her mumkin madad kare ga , main her tarah se sath hun


shukrai , mera maqsad kisi ki aap ki zubaan mein na kabhi khilli udane ka tha na hooga

khairandesh


javed
  
Logged
aaina
Guest
«Reply #16 on: September 15, 2009, 05:29:33 AM »
Reply with quote
Asslam o alikum Javed sahab

Bhut bhut skhuriya ke aapne is nacheez ke likhe ko jawaab ke qabil samjha,Allah na kare ke khasabiyat ko kabhi josh aaye, ye adabi mehfil hai khasabiyat ka bhala yahan kya kaam, javed sahab meine kisi ko bhi badzan karne ka jawaaz fraham nahi kya hai aur na jo dard urdu ke liyn aapke dil mai hai us par koi ungli uthaai hai meine to khud is baat ki taaeed ki hai ke jo fikr jo soch aapki hai wo sahi hai, aap canada mai hain mein saudia mai hun aur yoindian pata nhi kis kis mumalik se yoindia se jude hain, jo ki is baat ki daaleel ki urdu zubaan na mari hai aur na kabhi maregi agr aisa hota to wo log ke jo isse jaante nahi wo bhi usi qataar mai kahde hote jahan dhaniya ya mirchey baandi ja rhi hain, tareef ke liyn bhi maine ye arz kaya tha jo aapko lagta hai ki ghalat hai mat keejiye tareef magr, agr kisi ne kuch bhetar kehne ki koshish ki hai to hamara ye farz banta hai ki uski tareef ki jaaye aur saath hi saath usko ye bataya bhi jaaye ki usne kya ghalti ki hai jisse ki hum is zubaan ko marne se bacha sake.n, bhala aap jo udru ki khidmat kar rhe hain usse koi kyu.n kar ke naraaz hoga albatta hum log is baat ki dua karenge ke aap jaise aur log bhi ho.n jinke dil mai is darja khidmat karne ka jazba ho,jaisa ki aap kar rhe hai.n,

Ek baar phir apni baat dohrana chahunga ki yoindia pe jo bhi likhne waale hain chahen wo kaisa bhi likhte hain bhut bhut khairmaqdam hai wo jo bhi tehzeeb ke daayere mai kehte hain suna jayega pada jayega aur tareef bhi ki jayegi aur javed sahab jaise aur urdu daa.n usme inshallah har mumkin madad ko tayyar rahenge kisi bhi wqt,


maa'assalama

Aslam noor khan
 
Logged
Shayaries_King
Guest
«Reply #17 on: September 15, 2009, 06:26:24 AM »
Reply with quote
Assalamaalikum Yahan Pe Sabne Jo Kaha Me Unse Sehmat Hun Lekin Har Kisi Ka Apna Nazariya Hota Meri Nazriye Se Shayari Sirf Dhoka Khane Wala Ya Dilme Dard Rakhnewala Insaan Nahi Karta Shayari Wo Shaks B Karta Jo Mohabbat Me Hota Hai ya Jisse Shayari Likhne Ka Shauk HaiAur Har Shayari K Alag Alag Mayene Hote Hai Koi Shayari Dard Ko Bayan Karti Hai Toh Koi Zindegi Ko Samjati Hai Koi Shayari Pyar Ka Izhaar Hota Hai Toh
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #18 on: September 15, 2009, 10:03:39 AM »
Reply with quote
King Ji
Bahut khoob
aap ne bilkul baja fermaya hai , yehi mera bhi nazariaya hai

javed
Logged
Shayaries_King
Guest
«Reply #19 on: September 15, 2009, 10:05:28 AM »
Reply with quote
Shukriya Javed Ji Apne Hame Apne Kaabil Toh Samjha  notworthy
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #20 on: September 15, 2009, 10:20:13 AM »
Reply with quote
Muhtaram Aslam Sb
Main aap ki her baat se ittefaq kerta hun illa is ke jo aap ne tareef ke paishe nazer kaha ha.hum loogon ki manzil aik hai , mager nazaryati fark kafi hai , ho sakta hai main us meyar , us nahj tak nahin pahuch saka hun jo aap dekh aur samjh rahe hain.
shayed meri naqis aql us ahl na ho, main tareef aur irtiqa ke raste ka pather nahin banna chaheta mager shahadat ke jaam bhi nahin pee sakta. aap bas yun samajh le woh music samaai kahan tak sun sake ga jo zahen per baar ho, jahan tak loog kasha kashan
manzil ki taraf gamzan hain main unke her haal mein sath hai, mager jahan aana parasti aur tayeen manzil bhi na ho kia woh sataish ke ahl hain

bas

main iske aagay kia kah sakta hun, yahan sab kafi samjhdar hain.

shukria aap ka kafi waqt kharab kiya
khairandesh
javed
Logged
musaafirhon
Guest
«Reply #21 on: September 16, 2009, 10:13:09 PM »
Reply with quote
Ahle yoindia aur thread me maujoda hazarath adaab !!

Baath yahan aake rukti hai ke urdu sikhana bada asaan kaam hai magar sikhna bada dushwaar ussi ke sabab ye dushwariyan pesh aa rahi hain ,, is baath se har kissi ko itefaaq rakhna hoga ke yoindia per ziyada tar hazrath na to miyari shayari ke shauqin hai na to usko samjhne ya likhne ya fir sikhne ki koshish karte hain ,, ussi ki ba nisbath yoindia me sikhne aur sikhane ki moheem ka agaz howa jiski wajhe ye thi ki yoindians me samajhne aur taherir karna ka maada aa jaye to shayad shayari se khuch lutf andoos ho saken , ye baath bhi eak dam sahi ke urdu zubaan na kabhi mari hai na maregi , magar han hamari khuch laparwa-e-yun ne usse daba zaroor diya hai ,, agar usko ubharne ki koshish na ki ga-e- to mumkin hai ki iska naam o nishaan na mile , ab yoindia pe kissi ko koi bhi zubaan me post karne ki azaadi to di hi ga-e- hai .. aur kissi se ye nahi kaha gaya hai ke app apne shayar hone ya fir urdu ke jaankar hone ki certificate bata kar ke yoindia join karen ,, baath aisi bilkul bhi nahi hai .. han magar yoindia me maujood hain to kyoon na urdu jaisi shireen zubaan ka ilm ho jaye .. bus itni koshish rahi hai .. aur yoindia me aise ka-e-log hai jo bina khuch samjhe hi wah wah kar ke chalte bante hain .. ab un logon ko hum log nazar andaaz karen to goya hum unko gum rah kar rahe hain aur unhe is salahiyath se maheroom rakh rahe hain .. to mai bus itna kahena chahonga ke baja-a-eak dusre per nishan dehi karne ke hum log eak hokar ke kissi eak ki sarparasti me ye mohim ko aage le jayen aur jo log yoindia me rah kar bhi dhanya aur mirchi ki qatar me hain unhe bahar layen aur iss shireen zubaan se wabista karen !!

Ab baaqi ab khud bade qatsh chi hain .. aur ilm ke dhani .. faisla karna mushkil na hoga !!

wassalama
Qadeertoopchi
Logged
fairykhan
Guest
«Reply #22 on: September 25, 2009, 04:45:50 AM »
Reply with quote
waooooooooooooooo...........kia baaat hai sab ki...sab log hi bohat achy khaialat k malik hain mashallah...muje bohat acha lag raha hai khasosan javed sahab..bohat achi batain krty hain ap...r muje sach bolne wale log bohat pasand hain...baki sab log b apni apni baat khte hain muje acha laga k muje achy reply mile hain....is tarha insan k ilam mn tu izafa hota hi sath main logon ko bhi samjhne main madad milti hai.....ap kia khial hai main sahi kh rahi hon yaaaaaaaaaa........Huh???
ok see u people later.......byeee
Logged
fairykhan
Guest
«Reply #23 on: September 25, 2009, 04:57:39 AM »
Reply with quote
aur han main king sahab ki baat se bohat zaida itefak krti hon............kiun k mohabat sirf ik insan se nai ho sakti balke dunia ki kisi b cheez se ho sakti hai...aur main javed sahab ka bohat shukaria ada krna chahon gi k unhon ne is topic main bohat hesa lia aur bohat si new baton ko mutaruf krwaia....thanks a lottttt...........
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #24 on: September 25, 2009, 11:57:02 PM »
Reply with quote
Shukria Fairy

Chalu aik ne to tasleem kia ke maine jo kuch kaha sach kaha .


javed
Logged
md saquib
Guest
«Reply #25 on: June 07, 2016, 06:25:49 PM »
Reply with quote
mai sheri karta hu apni shaeri me nikhar chahta hu iskeliy kia karuu
Logged
md squib
Guest
«Reply #26 on: June 07, 2016, 06:32:51 PM »
Reply with quote
YA    khuda         saare         jahaan    ka khaliq       hai  tu
Har     jandaar    be zaan    ka    malik     hai    tu
:
Sare    makhlukat      ka    raziq   hai   tu
Har     shai   par       qadir    hai   tu
:
Achhi   buri    taqdire      sub    haitere dum  se
Suraj   ka     ugn a      suraj      dubna hai   tere   dum   se
:
Hawao     ka     ch alna      hawao     ka       rukna      hai    tere   dum     se
Phul o    ka   khilna     phulo   ka   jhdna       hai  tere  dum   se
:
YA  khuda         sare          jahan    ka        khaliq    hai  
Har  jandar    bezaan    ka       malik     hai    tu.....  
Logged
Abdul mannan ashrafi
Guest
«Reply #27 on: August 16, 2016, 04:48:31 AM »
Reply with quote
A salaam rahmat wa barkat ..bade hi moaddabana andaaz me aap se guzarish hai mujhe ...sinafe shayri ke bare me agaah kare .......ye bataye-n  ki shayri main kin bato-n ka khayal rakha jaye jis se shear mohmal na ho .......maherbani hogi
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 10:02:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer