~ Aas pas hai Khuda ~ by Rahim

by dead heart on January 29, 2014, 12:46:36 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1299 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Papa kehte hai kay "dhoor se pahad acha lagta hai par pas jane par asliyat ka pata chalta hai". Yeh line ab samaj ayi hai jab ghar se dhoor hoon kuch sapnon ki khatir..

Dil se likhi iss kalam ko dil se parriyega!

Uske banaye iss jahan main woh khud bhi toh basta hoga,
Mushkilon main mere saath nahin, mujhe utha kay chalta hoga..

Sab jagah dhunda mager Khuda nahin mila mujhe kahin bhi,
Insaan ki aisi nadaan baton par Woh bhi zaroor hasta hoga..

Jisse de di zindagi yun kay phir mohobat na ki maine,
Kya uske dil main bhi meri yaad ka suraj ugta hoga..

Mazdoor ki mehnat se bas roti milti hai, khilone toh nahin,
Bache ki ankh bharte dekh, kisi baap ka imaan zaroor dhalta hoga..

Achi jagah aur muskurahatein khushiyan nahin hoti ae dost,
Koi judai main; koi bewaffai main, najane kitni baar har roz marta hoga..

Tu na jaane aas paas hai Khuda ae bande,
Mazdoor kay haathon ki himmat main, hospitals main behte ashkon main,
Kabrastanon kay san’naton main, tujhe tere maa-baap ki ati yaad main,
Teri duaon se leke teri sanson tak, Khuda hi Khuda basta hai ‘Khamosh’,
Aur hum kehte hai sab jagah dhunda, Khuda nahin milta,
Insaan ki aisi nadaan baton par Woh bhi zaroor hasta hoga,
Kyun ki uske banaye iss jahan main, woh khud bhi toh basta hoga..

~ Rahim ~ A Silent Heart ~
Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: January 29, 2014, 01:31:07 AM »
Reply with quote
Sab jagah dhunda mager Khuda nahin mila mujhe kahin bhi,
Insaan ki aisi nadaan baton par Woh bhi zaroor hasta hoga..

Jisse de di zindagi yun kay phir mohobat na ki maine,
Kya uske dil main bhi meri yaad ka suraj ugta hoga..

Bahot dilkash peshkash Rahim jee
very touchy
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2014, 04:02:29 AM »

Kya bat............kya bat hai...............
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: January 29, 2014, 04:26:59 AM »
Reply with quote
Sab jagah dhunda mager Khuda nahin mila mujhe kahin bhi,
Insaan ki aisi nadaan baton par Woh bhi zaroor hasta hoga..

Jisse de di zindagi yun kay phir mohobat na ki maine,
Kya uske dil main bhi meri yaad ka suraj ugta hoga..

Bahot dilkash peshkash Rahim jee
very touchy
Bahaut bahaut shukriya MKV jee..
Khush rahiye!

Kya bat............kya bat hai...............
Bahaut shukriya Ravi jee..
Khush rahiye!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: January 29, 2014, 04:32:42 AM »
Reply with quote
Wooow  kya  kahena   Rahim  ji ,great  thoughts.outstanding. icon_salut icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause hello
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #5 on: January 29, 2014, 08:25:03 AM »
Reply with quote
waah waah
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011

View Profile
«Reply #6 on: January 29, 2014, 09:31:52 AM »
Reply with quote
bahut khoob Applause Applause
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #7 on: January 29, 2014, 09:01:32 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob....... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: January 30, 2014, 12:12:32 AM »
Reply with quote
Wooow  kya  kahena   Rahim  ji ,great  thoughts.outstanding. icon_salut icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause hello
Bahaut bahaut shukriya Madhu jee..
Khush rahiye!

waah waah
Shukriya Saini jee..
Khush rahiye!

bahut khoob Applause Applause
Bahaut Shukriya Nandbahu jee..
Khush rahiye!

bahut bahut khoob....... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bahaut shukriya Miraj jee..
Khush rahiye!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #9 on: January 30, 2014, 01:46:02 AM »
Reply with quote
lajawaaab peshkash
daad daad daad
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: February 01, 2014, 05:30:54 AM »
Reply with quote
lajawaaab peshkash
daad daad daad
Hamesha saath dene kay liye, Apka tahe tahe dil se shukriya dost..
Khush rahiye!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:42:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer