Allah Kaho Raam Kaho Ya Kaho Bhagwaan

by Jaanasheen on March 13, 2006, 10:03:10 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 9477 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Allah kaho, Raam Kaho,. Ya Kaho Bhagwaan,..
Wo  To Ek Hai Jisne Paida Kiya Insaan,.
Hum Kyun Bahate Hain Khoon Zaat Ke Naam Par,..
Kya Khoon Ka Alag Rang Hai Ya Hain Hum Nadaan,..
Dharti ka Batwara kar sakte Ho,.Batwara Karo Asmaan,..
Ye To khel Hai uska Jisko Sab Kehte Hain Shaitaan,..
Kyun Ki Wo Nahi Chahta koi Kisi Se Pyaar kare,..
kyun Ki Wo Akela Hai, Aur Badhana Chahta Hai Apna Khaandaan,..
Jismein Shameel Hote Hain Hum sab Insaan,...
Mat Lado mazhab ke Naam Par,..Kyun ki sab Ek Hai,.
Allah Kaho, Raam kaho,.. Ya kaho Bhagwan,.
Wo To Ek Hai Jisne Paida Kiya Insaan,..


___________________________________-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 16, 2006, 09:20:48 AM »
Reply with quote
Na Bhagwaan Hota Na Khuda Hota...
To Naa aaj Insaan Ek Dusre Se Juda Hota,..
Sab Ek Hote,..Aur Sab Ka Dhram Ek Hota,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: March 16, 2006, 03:31:56 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoon JSheen!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 17, 2006, 09:20:22 AM »
Reply with quote
Shukriya Pooja Ji,..

Aaj Kyun Bhatak Raha Hai Insaan Raste Raste,..
Kyun Ki Wo Ladd Raha Hai Allah aur Raam Ke Waste,.
Magar Kyun Wo Anjaan Hai Ki Wo Ek Hi Hai Jisne Usko Banaya,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: March 21, 2006, 03:25:18 PM »
Reply with quote
sabke apne apne sawarth hai
dharm ka to sirf ek naam hai
her koi apni jab hai bhar raha
sirf aam adami hi hai mar raha!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 22, 2006, 08:43:33 AM »
Reply with quote
Aisa Kyun Hota Hai,..
Jise Ilam Hai Wohi Sab Ko Lardwaata Hai,..
Kya Bhagwan Ne Use Ilam Is Liye Diya Ke Woh Duniya Ko Shamshaan Banaye,..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #6 on: May 02, 2006, 01:50:21 PM »
Reply with quote
neel gagan par baithe kab tak
chand sitaron se jhankoge?
parvat ki unchi choti se
 kab tak duniya ko dekhoge?

mera chappar geela pada hai
banke sooraj ise sukhao
khali hai aate ka kanstar
bankar gehun ismen aao

toota hai phir maa ka chashma
sheesha bankar ise banao
gumsum hain aangan men bachche
bankar gend ab inhen hansao

mere ghar bhi allah miyan aao



nm
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: May 03, 2006, 08:47:26 AM »
Reply with quote
Nice One Shakeel Bhai,..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #8 on: May 03, 2006, 12:56:33 PM »
Reply with quote
thanxxxxx janasheeen im tabassum Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: May 04, 2006, 07:05:43 AM »
Reply with quote
Oh,.. Sorry Yaar,..

Na Hindu Hoon Na Sikh Hoon Na Musalmaan Hoon Main,..
Khuda Ne Jise Duniya Mein Bheja Wo Insaan Hoon Main,..

_________________________________-Jaanasheen-
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #10 on: May 04, 2006, 01:59:09 PM »
Reply with quote
achcha hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 04, 2006, 03:18:36 PM »
Reply with quote
shukriya Didi,..

Insaan Bankar Hum Sab Pe Sitam Dhaa Rahe Hain,..
Janwaaron Ko To pata Hi Nahi Ke Wo Koun Hain,..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #12 on: May 05, 2006, 03:16:20 AM »
Reply with quote
KHUDA

MASJIDON MANDIRON KI DUNIYA MEN
MUJHKO PAHCHANTE NAHI SAB LOG
ROZ MAIN CHAND BAN KE AATA HUN
DIN MEN SURAJ SA  JAG MAGATA HUN

KHANKHANATA HUN MAA KE GAHNO MEN
HANSTA RAHTA HUN CHUP KE BAHNO MEN
MAIN HI MAZDOOR KE PASINE MEN  
MAIN HI BARSAT KE MAHINE MEN

MUJHKO PAHCHANTE NAHI JAB LOG
MAIN ZAMEENO KO BEZIYA KARKE
AASMANON  KO LAUT JAATA HUN
AUR KHUDA BAN KE QAHAR DHATA HUN


nm
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: May 05, 2006, 12:29:44 PM »
Reply with quote
Bahoot Ache Didi,..

Khuda Ne Di Hai Jaan Mujhe Duniya Mein Jeene Ke Liye,..
Na Jaane Log Kyun Bahaate Hain Khoon Unhe Peene Ke Liye,..

Khuda Nahi Kehte Ke Lardo Mera Naam Lekar Is Zamaaane Mein,..
Wo To Kehta Hai,.. Phailta Hai Pyaar Kisi Ko Dekh Muskuraane Mein,..

Kab Tak Lardte Rahoge Deen Mazhab Ke Liye,..
Khuda Ne Bheja Hai Tumhe Pyar Phailaane Ke Liye,..

Kehte Hain Ki Har Ek Ke Dil Mein Khuda Hota Hai,..
Phir Kyun Har Admi Apni Bebasi Pe Rota Hai,..

Nahi Chahiye Mujhe Aisi Duniya Jismein Insaano Ko Nahi Pehanchante Hain..
Hum To Wo Log Hai Jo kisi Ke Muskurahat Pe Bhi Jaan Dede Aur Aur Pyaar Ko Mante Hain,..

___________________________Azeem-__________________
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #14 on: May 05, 2006, 01:41:39 PM »
Reply with quote
asma pe hai khuda aur zami pe ham
aajkal vo is taraf dekhta hai kam

kis ko bheje vo yahan khak chanane
is tamam bheed ka haal janane
aadmi hain anginat devta hain kam
asma pe hai khuda aur zamin pe ham

-----  sahir-----
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 03:17:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer