auraton pe zulm na hone de aye Khuda

by @kaash on March 06, 2009, 01:03:34 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1981 times)
@kaash
Guest
Reply with quote


vo kaisi jagah hai jahan auraton pe zulm hote hain aye Khuda
vahan kitni berahami unke saayon se lipti hain aye Khuda


kabhi to unhe padhne nahi dia jata
kabhi jaanwar se badtar sulook kia jata
parda rakhke bhi unhe sitam sahna hota hai
kitni be-dardi se unko dard hai dia jata

vo kaisi jagah jahan unke ashq bhi khoon hote hain aye Khuda

vo kaisi jagah jahan auraton pe zulm hote hain aye Khuda


kabhi unke madarson ko gole-barood se hi uda dia jata
unse unke lie hi dua karne ka haq chheen lia jata
kabhi unke zakhmon ko bharne nahi dia jata
har baat par thhokar ka hi sila hai dia jata

vo kaisi jagah sirf khauf-o-dahshat nahi sukoon milte hain aye khua
vo kaisi jagah jahan auraton pe zulm hote hain aye Khuda

mere Maula mere parvardigaar zara raham kar unpar
bahot mile unhe zakhm ab na hone de na unhe hara kar
ki ye zindagi unki bhi hamari hi tarah hai
tere noor ki unki duaon se bhi hoti sahar hai

aurat teri kaynaat ka sabse izzatdaar pehlu hai
unki hi duaaon se shabnam ko milti khushbu hai
unke hi armaan teri qudrat ke zever hain
aurat hi darwaza-e-jannat vohi Khudaayi ka rooh hai



-KAASH-

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khuda ne is bar zulm kiya.. by mahek4ever in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Khuda ka zulm ... by HumTum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
khuda ko barbaad hone se bacha liya by kiiller_1 in Shairi - E - Zindagi
Zulm ko rok do! Itnaa na sataaou tum! by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
KHUDA KO BARBAAD HONE SE BACHA LIYA by amarhellboy in Shayari -e- Husn
Talat
Guest
«Reply #1 on: March 06, 2009, 01:38:55 PM »
Reply with quote
Very nice thoughts on some true sad aspects !! ....Bohot khoob Kaash Ji  Applause Applause
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #2 on: March 06, 2009, 05:07:06 PM »
Reply with quote


vo kaisi jagah hai jahan auraton pe zulm hote hain aye Khuda
vahan kitni berahami unke saayon se lipti hain aye Khuda


kabhi to unhe padhne nahi dia jata
kabhi jaanwar se badtar sulook kia jata
parda rakhke bhi unhe sitam sahna hota hai
kitni be-dardi se unko dard hai dia jata

vo kaisi jagah jahan unke ashq bhi khoon hote hain aye Khuda

vo kaisi jagah jahan auraton pe zulm hote hain aye Khuda


kabhi unke madarson ko gole-barood se hi uda dia jata
unse unke lie hi dua karne ka haq chheen lia jata
kabhi unke zakhmon ko bharne nahi dia jata
har baat par thhokar ka hi sila hai dia jata

vo kaisi jagah sirf khauf-o-dahshat nahi sukoon milte hain aye khua
vo kaisi jagah jahan auraton pe zulm hote hain aye Khuda

mere Maula mere parvardigaar zara raham kar unpar
bahot mile unhe zakhm ab na hone de na unhe hara kar
ki ye zindagi unki bhi hamari hi tarah hai
tere noor ki unki duaon se bhi hoti sahar hai

aurat teri kaynaat ka sabse izzatdaar pehlu hai
unki hi duaaon se shabnam ko milti khushbu hai
unke hi armaan teri qudrat ke zever hain
aurat hi darwaza-e-jannat vohi Khudaayi ka rooh hai



-KAASH-

nice feelings  kaash ji really yay per kr kuch drdnak manazer yaad agayay ,sach ko bayniqaab kiya hay app nay ,GOD bless u
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3 on: March 06, 2009, 05:56:37 PM »
Reply with quote
very well said KAASH ....

kaash woh bhi yeh samaj patey
par tufaanoh meh diye jal nahi patey

mazhab key naam gumraah kar rahey hai
ikeeswi sadi meh bhi dekho yeh aisa kar rahey hai

kaun abb inhey samjayega
khuda tu hi abb yeh kamaal kar payega

kalyug ka aisa ghor tamasha kab khatam ho payega
na janey kab fir woh pyara ram raaj aayega



jasbir singh
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: March 06, 2009, 06:21:13 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause

bahoot khoob Kash ji!!! Nice work Jas ji!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: March 06, 2009, 06:29:52 PM »
Reply with quote
very well said KAASH ....

kaash woh bhi yeh samaj patey
par tufaanoh meh diye jal nahi patey

mazhab key naam gumraah kar rahey hai
ikeeswi sadi meh bhi dekho yeh aisa kar rahey hai

kaun abb inhey samjayega
khuda tu hi abb yeh kamaal kar payega

kalyug ka aisa ghor tamasha kab khatam ho payega
na janey kab fir woh pyara ram raaj aayega



jasbir singh

Bohot Khoob Jas Ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #6 on: March 06, 2009, 06:35:58 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

bahoot khoob Kash ji!!! Nice work Jas ji!!

tHANKS POOJA JI

JASBIR SINGH
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #7 on: March 06, 2009, 06:36:16 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Jas Ji

THANKS CELMIRA JI

JASBIR SINGH
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: March 07, 2009, 12:16:21 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Kaash Ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #9 on: March 21, 2009, 06:27:29 PM »
Reply with quote
shukriya Jasbeer Ji

aur bahot hi acha likha hai aapne   Applause Applause

behtareen tarah se dua ki hai aapne

Aameen


THANKS KAASH

JASBIR SINGH
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: March 22, 2009, 03:29:26 PM »
Reply with quote
Bahut khoob @Kaash ji...  Applause Applause
Nice work Jas ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #11 on: March 23, 2009, 10:41:36 AM »
Reply with quote
Bahut khoob @Kaash ji...  Applause Applause
Nice work Jas ji


Thanks Roja

Jasbir Singh
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: March 23, 2009, 10:53:07 AM »
Reply with quote
Very Nice Kash !Very expressive & touchy lines ... Keep it up
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:13:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer