Pranaam Maate--
aapse kuch bhi puchna aur sahi jawaab paana baht acha lag rha hai--thanq
ab ek aur sawaal--
aapne kai bar kaha h daan krne ke lie--
to ye clear karen ki daan ke kya mayne hain?
daan kisko kia jaaye?
kisi bhikari ko bheek dena kya daan h qki ye uska business h!!
ya kisi gareeb ki madad krna daan h--mene kai bar dekha h ki log greeb ban ke bhi hamdrdi me bheek mangte hain--kya ye daan hai-?
what is daan?
hum kese jaan skte hain ki hmne sahi insaan ko daan dia h?
Ayshmaan shishya ji...
Bahut sundar prashn kiya hai aapne....:)aur apke sundr prashn se hi gud ansr aa jata hai...
Hmm....'daan'ka actual meaning hai bhagwan ki vastu bhagwaan ko dena vapis....jo b sansaar mei hai ye bhagwaan ka hai....is par hmara koi haq nai....to hm kuch nai de rae bhagwan hi hmse kisi ko dila raha hai....isliy temples....masjid girijaghar etc mei daan dene se ye hoga ki hm ye nai sochenge k daan hmne diya....agar waise hm daan dete hain to aham aa jaata hai...
....
Daan ka mahatv ye hai k jaise hmara yahan account hai bank mei...aisei ek account bhagwaan k vahan b hain....jitna daan utna dhan vahan badega...ye mera vichar hai...aur kuch buks mei b likha hai aisa...
bhagwan k ghar diya daan purn rup se bhagwaan ka hi kehlata hai hmara koi role ni rhta.....
gareebon ko daan dene k liy..thoda anlyse krna padega...budhi ki zarurat.....iske b do vichaar hain...
Ek ye k apka krtavya daan dena hai...dusra kuch b karey...
Dusra ye k supatra ko hi daan diya jaaye...
I vl go for 2nd one.....first vala daan tamoguni daan kehlaega ki apne kisi ko daan diya aur usne uska galat use kiya..jaise ciggrette etc mei.......iss case mei ye krna hoga k aap bhojan daan karein...jaise fruits...roti...bread,milk etc..money nai......
2nd vala daan satoguni daan kehlaata hai...jaise apko malum ho k saamne vala mandir mei kaam krta hai...ya kisi aashram mei sevak hai.....
Agar na malum ho to friuts etc vala daan sai hai...
Money temples mei dein....:)vahan har karya bhagwan ko dhyan mei rkh kr hota hai...trutiyan vahan b ho skti hain...pr vo baut better hai...:)khush rahein...:)aise ..hehe