bhagwaan k param bhakt

by dolly on February 17, 2012, 07:33:19 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 14855 times)
dolly
Guest
«Reply #30 on: February 20, 2012, 07:29:13 PM »
Reply with quote
aap logo ne itne discussion kiye hai bhagwaan ke upar but ye to batao bhagwaan hai koun???
bhagwaan ka matlab kya hai???




Hamare sawaal jawaab mei phla quest ans yai hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bhagwaan jee bacha lo muje by 99% §hå®èèf_Mµñda in SMS , mobile & JOKES
** Sun Lo Bhakt Ki Pukaar** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
Bhakt Meera ji ki Anmol Padawali by khumaar in Share:Devotional Poetry
Bhagwaan kaha hai......( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
Bhagwaan - Kharidey Kyu by songwriter_123 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
theyash
Guest
«Reply #31 on: February 20, 2012, 07:34:24 PM »
Reply with quote
bharosha karna to thik hai par kare kis par ye bhi to pata hona chahiye... suppose hum koi product karidte hai to uske baare me sab pata kar lete hai tab hum us par bharosa karke use kharidte hai...
ab aisa to hai nahi ki dukandaar ne kaha aur humne kuch bhi le liya...
So jab tak kisiko pata nahi bhagwaan koun hai aur kya hai wo bharosa kaise karega???
Logged
dolly
Guest
«Reply #32 on: February 20, 2012, 07:49:26 PM »
Reply with quote
acha aap ye to maante hain ki...koi bi non living thing tab tk operate nai krti jab koi living thing usko operate nai krega...
Jaise human ne aeroplane banaya...machines banai...ab ye machines chalegi kb jab koi usse chalaayega..

Isi tarah ye kaha ja skta hai k ye jo universe hai ye dead..non living thing hai bt ye operate kr rha hai ...bina kisi living person k ye operate nai kr skta...vo living person hi param purush kehlaata hai...God...originator...yeh fact hai..
Ek aur exmpl leejiye...
Hawa dikhti nai hai...lekin aap kehte hain naa k hum saans le rahe hain...aur hawa hi hme chla rai hai...aapko bharosa ho ya nai bt hawa  to hai...jo dikh ni rha iska mtlb ye nai vo hai nai...hm dekh ni paa rahe..maanna nai chah rae...
Logged
theyash
Guest
«Reply #33 on: February 20, 2012, 07:58:43 PM »
Reply with quote
hawa ko hum mahsoos kar sakte hai bhagwaan ko kisi ne mahsoos nahi kiya aur aisa nahi hai ki jo chal nahi sakta wo zinda nahi hai...
hawa hamare sharir ka ek hissa hai jo hamari dhadkan band hone ke 4hr baad sharir ka sath chhod deti hai.
zinda wo hai jo sans leta hai...
bhagwan topic pending hai abhi bhi...
Logged
dolly
Guest
«Reply #34 on: February 20, 2012, 08:17:38 PM »
Reply with quote
jaise apki feeling alag hai kisi ki feeling alg ho skti hai...apne mehsus nai kiya par ksi ne kiya ho skta hai...bhagwaan ko...

Jo mehsus krte hain vo bataate hain...aur mehsoos krwate bi hain...

Hamare body mei saari bones hollow hai jsime hawa hai...chae zinda ho ya mara hua..
Sirf chlne vale ko zinda nai kehte...jisme sb kuch hai..emotions etc vo zinda hai...

Bhagwaan ka astitv ki charcha mei maine bataya..ki jaise har cheez ki starting hai..waise hi srishti ki starting bhagwaan hai...aap zinda body ko nai jalaate bt mare hue ko jalaate ho..kyu?
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #35 on: February 20, 2012, 08:20:54 PM »
Reply with quote
to saint doly ji yaha shiksa de rahi hai. mai ab kal aata hu muze neend aa ri hai.
Logged
theyash
Guest
«Reply #36 on: February 20, 2012, 08:24:22 PM »
Reply with quote
yaha to log zinda bhi jal jate hai...
jalta to zinda rahne ke baad bhi hai insaan ab kya bataoo agar main ye kahoo ki main hi bhagwaan hu fir???
Logged
dolly
Guest
«Reply #37 on: February 20, 2012, 08:35:19 PM »
Reply with quote
to saint doly ji yaha shiksa de rahi hai. mai ab kal aata hu muze neend aa ri hai.


Ji nahi shiksha nai charcha chl rai hai..kk...byyeee..gn...

Aapka bi swagat hai iss charcha mei...
Logged
theyash
Guest
«Reply #38 on: February 20, 2012, 08:39:05 PM »
Reply with quote
mujhe lag raha tha sayad jawab milega magar mujhe koi de hi nahi paya ki bhagwaan hai koun??? usse acha jawab to us bachhe ne diya tha jo bhagwaan ke naam par bhikh mangta tha...
ok good night tc...
Logged
dolly
Guest
«Reply #39 on: February 20, 2012, 08:41:56 PM »
Reply with quote
bhagwaan hmesha anand mei hai...anand ka arth hai vo shabd jiska koi opposite word nai hai...
Sukh ka ulta dukh..
Khushi ka gham...
Bt anand ka opposite koi word nai hai..its end...aise hi bhagwaan last truth hai...uske aage kuch nai
Bhagwaan yogeshwar hai...param yogi...
Bhagwaan ki body kabi khtm ni hoti
Bhagwaan hmesha youth rhte hain...
Bhagwaan iss srishti k baare mei sb kuch jaante hain...
Bhagwaan k aage koi truth nai hai...
Sat-chit-anand....
Iss tarah bhagwaan ki 64 qualities hai...

Kuch qualities hum sb hain unki jaise hm b khush rhna chahte hain...etc etc...
Pr hum rhte nai hain...

Logged
theyash
Guest
«Reply #40 on: February 20, 2012, 08:50:46 PM »
Reply with quote
aanand ka ulta anaanand hota hai jise koi khusi nahi koi gam bhi nahi jo kuch mahsoos nahi karta jiska astitva me rahna keval aur keval hai magar jaroori bhi nahi...jo hai magar kisi kaam ka nahi jiske nahi rahne se bhi koi fark nahi...
bhagwaan agar truth hai to bhagwaan se bhi bada koi truth hoga...
Sach jitna sach hai utna ye bhi sach hai...
Logged
dolly
Guest
«Reply #41 on: February 21, 2012, 05:40:16 PM »
Reply with quote
muje jahan tak malum hai aisa shabd suna to nai hai...bt i m nt sure...

Jaise apki body k malik aap ho aisei iss unvierse ke malik bhagwaan hai...aap ye ni keh skte k apki body koi aur chala skta hai...isse sirf aap operate kr skte ho..ur body is chota swaroop of brhmaand....and of univers is God ...he only operates it...its his body...he is jus lik us ...living..bt purna hain bhagwaan...unke aage kuch nai...

Logged
dolly
Guest
«Reply #42 on: February 21, 2012, 05:47:33 PM »
Reply with quote
dvitiya param bhakt hain...Brahma ji...

Brahmaji ko b vishnu ji guna avtaar maana gya hai...braham ji ka janm bhagwaan vishnuji ki naabhi se hua ta...jab unhone janm liya to vo agyaani te....unhone bhagwaan vishnuji ki tapasya ki...lord vishnu unki tapasya se prasann hue to unhone...brhma ji ko vedo ka gyan aur srishti ki rachna ka guhaya gyan pradaan kiya...
Brhma ji ne isi gyan se sambndhit jo shastra likha use 'Brhma samhita' kaha jaata hai..

Brahma ji k aur naam hain...
padmaja--born from lotus
Svayambhu-- self born...
Chaturmukh...    (contd)



brahma ji ka ek din Kalpa kehlaata hai..aur is mei thousands mahayug hote hain...(cycle of char yuga) or 432 crore years of earth...aise hi ek raat bi itne samay ki hoti hai...
Bhautik drishti se ye age baut badi hai...par adhyatmik drishti se ye bijli ki ek chamak k barabar hai...

Jab brhma ji sote hain ..to lower planets detroy ho jaate hain...aur new day mei new srishti ka nirmaan hota hai...
Logged
sarfira
Guest
«Reply #43 on: February 21, 2012, 06:04:49 PM »
Reply with quote
maate pranaam
sach me aapko sab pata hai--

lekin brahma ji ke sone jagne se hume kya lena dena??

hum to aam insaan h--
apna krm krenge
thora uparwale ka naam lenge bas--

kya apna krm ache se krna--apna dhrm nishtha se nibhana aur kisi jeev ko kast na dena hi bhakti ka asal swaroop nhi ??--
Usual Smile
mai bs yhi manta hoon Usual Smile
Logged
dolly
Guest
«Reply #44 on: February 21, 2012, 06:19:31 PM »
Reply with quote
maate pranaam
sach me aapko sab pata hai--

lekin brahma ji ke sone jagne se hume kya lena dena??

hum to aam insaan h--
apna krm krenge
thora uparwale ka naam lenge bas--

kya apna krm ache se krna--apna dhrm nishtha se nibhana aur kisi jeev ko kast na dena hi bhakti ka asal swaroop nhi ??--
Usual Smile
mai bs yhi manta hoon Usual Smile

bhagwaan meher rakhe shishyaji aap par...

Hm bhagwaan se bas lete hain dete kuch nai...Usual Smile
Brahma ki jagna sona isliy pata hona chiye kyuki issi se to pata chalega k jb bhagwaan k param bhakt mei itni shakti hai to bhagwaan main kitni hogi...
Haan ye bilkul thik kaha aapne ke dharm karm sab ache se krna ..kasht na dena bhakti hai...Nar seva Narayan Seva hai...bilkul thik hai...

Bas ek gdbd hai k...thoda bhagwaan ka naam nai zada lena hai...
M kuch ni jaanti dear bt haan jaanana zrur chahti hu...kb bhagwaan kripa krenge ....ye to bas ek koshish hai ye pata krne ki...jaisa m sochti hu...aisa mere india mei aur kaun aur kya kya sochte hain....jaise aap bhakti kr skte hain puri qualities hain aap mei...aur kr b rae hain...waise kahan itna naam liya hoga aapne...bhagwaan ka aur maine bi...Usual SmileUsual Smile
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:26:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer