Dolly ji
pranaam. thanyavaad ki aap mere prashna ka uttar dena chahti hai.
shayd mujhe theek se pata nahi.
mujhe aastha me viswaas nahi. bhakto pe viswaas nahi. bhagwaan kuch de sakte hai is par bhi viswaas nahi. mujhe maan manauti, pooja me viswaas nahi par...
mai roj kisi ki pooja karta hu. vo ek insaan rahe hai.. mai unse kuch maangta nahi. kisi ko jaykaara karte dekhta hu to mai bhi karta hu. kisi ko jhootha nahi sabit karna chahta.
shaant man se chintan karta hu. mai apne andar ke bhagwaan ko hi jaanta hu aur maanta hu ki vo hi sabke andar hai isliye kisi ka anadar nahi karta..
aap dhyaan se padhkar javaab dijiyega..mai intejaar karunga. agar kathor uttar bhi ho to jaroor dijiyega. kathorta to ek gun hai ehsaas ka. mai is se pare hu.mujhe sabhi apne dikhaai dete hai.
All Blessings...khush rae aap..
Apki post maine baut dhyaan se padi...jaan kr khushi hui k aap bhakt hain...bt aap ye maannne ko tyar ni ki aap bhakt hain...
...apko pata hai bhakt b kahi tarah hote hain...ek tatastha bhakt....jo shaant bhaav se apne ander k bhagwaan ko sab kuch maante hain aur chintan krte hain...to aap vahi hain...
Lekin aur tarah k bhakt bi hai...jo bhajan krte hain..ya katha..etc ...vo alag tarah ki bhkti hai...
lekin hain sb bhakt...kuch bi untrue nai hai..jootha nai hai...
jo b apne likha vo sai hai....har jeev ..respect krna..bdiya hai...to m maanugi aap mujse b zada bhagwaan ko maante hain...jise aap parmatma khte hain m bhagwaan khti hu...
Jo aap bhakto ki baat kr rae ho vo to aisa hai...jaikar galat nai hai...ye to har uss insaan ko jagaane ka tareeka hai jo bhtka hua hai...ye jootha nai hai...ye b bhakti hai...bas dhang alag hai...jab aap baar baar jaikara lagate hain..to prmatma ko awaz dete hain..vo parmatma jo andr hai par hme dikh ni rha..mehsoos nai ho rha...
Lekin paramatma kuch ni deta ye galat hai...parmatma hi sb kuch deta hai...ab hme kitna mila hai kisi aur ko kitna...ye to depend krta hai k aapka bhagwaan se kitna lagaav hai...
Jaise mata pita apne bacho ko sb dete hain...lekin agar koi bacha galat use kre to usse vo cheez vapis le li jaati hai...paramatma k pas sb kuch hai...vo sb de skta hai par hmne kis cheez ka use kaise kiya iske baad hi decide hota hai k hme kya milega....dene vala to bhagwaan hi hai...
Thoda bitter ans ye hai ki...agar koi kahe ki bhagwaan kuhc nai..vo animals ki category mei hai..jinhe itna dimaag nai diya k vo kuch soch samjh sake...insaan apne ko baut intelligent maante hain..kyu?kyuki unhe intellignt banaya gya hai lekin intlignt banaya kyu hai?taki vo apna origin samjh ske...hm kya hai?hm kahan se aye hai...
Aap jin insaan ka aadar samman krte hain vo baut acha hai...bt ye sochiye apko itna lucky banay kisne?..kyu apko hi vo mile kisi aur ko kyu nai?
...ans lmba ho gaya:)