bhagwaan k param bhakt

by dolly on February 17, 2012, 07:33:19 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 14925 times)
dolly
Guest
«Reply #60 on: February 24, 2012, 06:20:22 PM »
Reply with quote
thats right answer i really impress ur answer...

Shukriya...Usual Smile...u r always welcm here...Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bhagwaan jee bacha lo muje by 99% §hå®èèf_Mµñda in SMS , mobile & JOKES
** Sun Lo Bhakt Ki Pukaar** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
Bhakt Meera ji ki Anmol Padawali by khumaar in Share:Devotional Poetry
Bhagwaan kaha hai......( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
Bhagwaan - Kharidey Kyu by songwriter_123 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
RAAJA1234
Guest
«Reply #61 on: February 25, 2012, 12:56:23 PM »
Reply with quote
All Blessings...khush rae aap..
Apki post maine baut dhyaan se padi...jaan kr khushi hui k aap bhakt hain...bt aap ye maannne ko tyar ni ki aap bhakt hain...Usual Smile...apko pata hai bhakt b kahi tarah hote hain...ek tatastha bhakt....jo shaant bhaav se apne ander k bhagwaan ko sab kuch maante hain aur chintan krte hain...to aap vahi hain...
Lekin aur tarah k bhakt bi hai...jo bhajan krte hain..ya katha..etc ...vo alag tarah ki bhkti hai...
lekin hain sb bhakt...kuch bi untrue nai hai..jootha nai hai...
jo b apne likha vo sai hai....har jeev ..respect krna..bdiya hai...to m maanugi aap mujse b zada bhagwaan ko maante hain...jise aap parmatma khte hain m bhagwaan khti hu...
Jo aap bhakto ki baat kr rae ho vo to aisa hai...jaikar galat nai hai...ye to har uss insaan ko jagaane ka tareeka hai jo bhtka hua hai...ye jootha nai hai...ye b bhakti hai...bas dhang alag hai...jab aap baar baar jaikara lagate hain..to prmatma ko awaz dete hain..vo parmatma jo andr hai par hme dikh ni rha..mehsoos nai ho rha...

Lekin paramatma kuch ni deta ye galat hai...parmatma hi sb kuch deta hai...ab hme kitna mila hai kisi aur ko kitna...ye to depend krta hai k aapka bhagwaan se kitna lagaav hai...

Jaise mata pita apne bacho ko sb dete hain...lekin agar koi bacha galat use kre to usse vo cheez vapis le li jaati hai...paramatma k pas sb kuch hai...vo sb de skta hai par hmne kis cheez ka use kaise kiya iske baad hi decide hota hai k hme kya milega....dene vala to bhagwaan hi hai...Usual Smile

Thoda bitter ans ye hai ki...agar koi kahe ki bhagwaan kuhc nai..vo animals ki category mei hai..jinhe itna dimaag nai diya k vo kuch soch samjh sake...insaan apne ko baut intelligent maante hain..kyu?kyuki unhe intellignt banaya gya hai lekin intlignt banaya kyu hai?taki vo apna origin samjh ske...hm kya hai?hm kahan se aye hai...
Aap jin insaan ka aadar samman krte hain vo baut acha hai...bt ye sochiye apko itna lucky banay kisne?..kyu apko hi vo mile kisi aur ko kyu nai?Usual Smile...ans lmba ho gaya:)
pahle to dhanyavaad ki aapne javaab diya.
mujhe kisi ko galat nahi ssabit karna hai. mere paas patience hai. agar bhagwaan ke darshan mile to mai sabse peeche rahna chahta hu. jo aage hai unko dhakka dekar aage badhna, kisi ka haq cheenna mujhe nahi bhata.
sirf insaan (generally-exceptions ignored)hi vafaadaar nahi hota. pashu pakchi, ped paudhe sab vafaadaar hote hai. mai to apne ko jaanwaro ki shreni me ginvaana chahta hu. mai aham se koso door hu. mai buddhimaan dikhu aisi khwaahish nahi.
jo mila hai use sweekarne ki taakat hai mujhme. kismat kuch bhi nahi meri nigaah me.
jindgi mere liye maut ke samaan hai aur maut ko khusshi khushi jeene ke liye taiyaar har pal. agar vahi sab kuch karne vaala hai to uski iccha ka aadar hi mera dharm hai.
aapse bahut si baate karunga agar mauka mila to....??
Logged
dolly
Guest
«Reply #62 on: February 27, 2012, 05:05:17 PM »
Reply with quote
hmm..ji aap itna acha sochte hain jaankar acha laga...jeevan ka kahin ant nahi hhai...ye bas ek change hai..new lif ka....vaishnav jan yahi kehte hain bhagwaan k darshan phle auro ko karaayein...to iss baat k liye to aap k bhaav jankar prasannta hui...ji zrur mauka milega...hm b yahi hain aur aap bi....jai jai siya ram...Usual SmileUsual Smile
Logged
dolly
Guest
«Reply #63 on: February 27, 2012, 05:18:15 PM »
Reply with quote
aaj jin param bhakt ki charcha hai vo hai Devarshi Naarad:)..

Shrila Naarad Muni ko devataaon ke rishi k roop mei jaana jaata hai...unka jeewan bhakti ki shakti ko darshaata hai...apne purva janm mei devarshi naarad ek dasi putra the...kintu unki mata santo ki baut seva krti thi aur issi kaaran unhe bhakton ka sang praapt hua...aur agle janm mei ve ek param bhakt k roop mei prakat hue...
Apne purva janm mei devarshi naarad ek gandharv the...kintu bhagwaan k geet gaate gaate par stri sang kke kaaran unhe shraap mila aur ve shudra ban gae...
Shudra hote hue b apne purv janmki bhkti k kaaran vo bhakti krte rhte..aur unhe vedon ka gyaan bi praapt hua...
Isliye punar janm mei Lord brahma ke putra k roop mei aaye...narad muni ki life eternal means akshay hai...devarshi naarad sabhi lokon mei vicharan kr skte hain...
Unhone hi vyas ji ko deeksha di..aur unse madhav acharya ji ne...jo gaud sampradaay k sansthapak rahe...
Narad muni ji ne kai rajaon ka uchit maargdarshan kiya...
Bhagvatam mei prahlad maharaj ko..bhagwaan krishna k pita vasudev ji ko..aur maharaj yudhisthir ko

Devershi naarad ji ko bhagwaan se jodnevala ek sutra kaha jaata hai...unhi k shri mukh se Naarad Bhakti Sutra prakat hue...jo adhyatmik jeevan k liy atayant aavshyak kahe jaate hain...Usual Smile..
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #64 on: February 28, 2012, 05:31:41 PM »
Reply with quote
hmm..nikhaar...

Ek method hai k apne tapasya ki..bhagwaan khush hue aur mukti hui..means ishwar mei mil gae....ye mukti hai

Bhakti mei aap bhagwaan se milte nai...aap unke saath rhte hain..purna bhkti hone par janam dobaara ni hoga...bt bhgwan k dham meiaap unki sewa krte hain vo apki...jaise krishnaji arjun k saarthi bne..par iska mtlb ye nai k aap bhagwaan hain...ap to sevak hi hain..

Jo apne kaha rishte nibhaana vo b bhagwaan ko dhyan mei rkh kr...
ji bilkul..maine yahi kha k bhakti bhi karni h,rishte bhi nibhaane h apne roj k kaam bhi karne hai..etc.etc. aur ye bhi h k gar insaan ki bhakti poori nahi hoti toh usse phir se janam milta hai...lekin wo 84 lakh yonio k pher se bach jaata h..toh yahi tha mera swaal ...& i know k hum toh yha bhi sewak h aur wha bhi sewak hai..thank u
Logged
dolly
Guest
«Reply #65 on: February 28, 2012, 05:58:17 PM »
Reply with quote
ji bilkul..maine yahi kha k bhakti bhi karni h,rishte bhi nibhaane h apne roj k kaam bhi karne hai..etc.etc. aur ye bhi h k gar insaan ki bhakti poori nahi hoti toh usse phir se janam milta hai...lekin wo 84 lakh yonio k pher se bach jaata h..toh yahi tha mera swaal ...& i know k hum toh yha bhi sewak h aur wha bhi sewak hai..thank u

Hii nikhaar...ji bilkul aapne sahi kaha k sabhi kaam krne hain...rishte vagarah...par kuch limit tak...par bhakti bilkul b chodni nai hai aur badaani hai...
Ek choti si baat add krugi k...maine kitne khoob aage bade hue bhakto ko dekha hai k unka confidenc level,enthusiasm ye sab baut bad jaata hai n unke kaam b easily ho jaate hain...ye apna xperienc hai mera...to mujhe ye kehnaa padega ki...bhakti zarur krni hai chodni nai hai bilkul....pakad ke...Usual Smile...u r welcm dear...apne views b post keejiyega...Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #66 on: February 28, 2012, 06:04:11 PM »
Reply with quote
Mam
mai bhi aapki aagya ho to kuch poochun??
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #67 on: February 28, 2012, 06:13:27 PM »
Reply with quote
Hii nikhaar...ji bilkul aapne sahi kaha k sabhi kaam krne hain...rishte vagarah...par kuch limit tak...par bhakti bilkul b chodni nai hai aur badaani hai...
Ek choti si baat add krugi k...maine kitne khoob aage bade hue bhakto ko dekha hai k unka confidenc level,enthusiasm ye sab baut bad jaata hai n unke kaam b easily ho jaate hain...ye apna xperienc hai mera...to mujhe ye kehnaa padega ki...bhakti zarur krni hai chodni nai hai bilkul....pakad ke...Usual Smile...u r welcm dear...apne views b post keejiyega...Usual Smile
ji bilkul dekhe hoge aapne bhagwaan k aise bhakat...khuch toh aise bhi hoge jinhe bhagwaan k darshan huye hoge...par ye limit tak rishte nibhana...samajh nahi aaya khuch
Logged
dolly
Guest
«Reply #68 on: February 28, 2012, 06:26:10 PM »
Reply with quote
ji bilkul dekhe hoge aapne bhagwaan k aise bhakat...khuch toh aise bhi hoge jinhe bhagwaan k darshan huye hoge...par ye limit tak rishte nibhana...samajh nahi aaya khuch

Ji bilkul sahi kaha...
Limit tak rishte nibhaana mtlab apni duty krna...jahan jitni need ho utna hi kaam...baut zada mel milaap nai...kyuki usse tim khatm hota hai lif ka....aur lif ka main goal bhagwaan ki bhakti hai...bhakti chod kr idhar udhar k kaam nai...halaanki mujhe bi baut tough lgta hai bt reality yahi hai...main sewak hm bhagwaan k hain...unko bhula k sirf baaki logon ki sewa nai...unki sewa phle...
Fir sbki...ya yeh kahein ki agar favorabl ho ghar mei sb to unki sewa mei hi sbki sewa mila lo...
Jus an exmple..jaise khaana banaya..to bhgwan ko b kbi kbi bhog lga diya...its js an exmple...agar posibl ho to aisa kr lena chahiye...tmple jaana...aur apse jitna ho ske bhagwaan se judna...kisi b tarah.se...Usual Smile
Logged
dolly
Guest
«Reply #69 on: February 28, 2012, 06:30:48 PM »
Reply with quote
apka swagat hai mkv ji...:)ji puchiye b aur apne vichar b rakhiye...aap kya maante aur jaante hain bhagwaan k baare mei....Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #70 on: February 29, 2012, 07:28:00 AM »
Reply with quote
Dhanyavaad Dolly ji
Aapne jo bhi likha hai .maine sab dhyaan se padha hai. aapki bhakti se related aur posts bhi.
aapka ye viswaas hamesha bana rahe. Kyoki ye soch insaan me ek aatmaviswaas paida karti hai. aaj ke is adhunik jeevan me nitanta avasyak.
aapne ye jo beeda uthaya hai uske liye badhaai aapko.
Mera sawaal : Kya banna aasaan hai ? ek saccha insaan ya bhagwaan ka BHAKTA.
(bhakti aur upaasna me fark hai. bhakta ko ye kahne ka adhikaar nahi ki vo bhakta hai. jiski bhakti karta vo hi use bhakta ki upaadhi de sakta hai.)ye mera vyaktigat vichaar nahi.

Logged
dolly
Guest
«Reply #71 on: February 29, 2012, 07:04:50 PM »

Shukriya hme nai mkv ji...ye badhai to yoindians ki hai jo baut hi creative hain apne vicharon mei...khayalon m bi...aise hi creative ppl k creative bhagwaan b hain...jinki creation ka kamaal nahi..meri itni aukaad kahan k m kuch kr paun...Usual Smile...bs ashiwaad hi bana rahe aur apne jo duaen dii hain uska b dhanyavaad...prmatma apke jeevan mei b sb bdiya rkhe...Usual Smile
ji ji bilkul...upasna bhkti se alag hai...m kuch add krugi k...bhavpurn upasna bhkti hai mere vichar se...nai to bina bhav k b upasna hm log krte hi hain.....

Apka sawal ..
Sach kya hai phle to ye pata hona chahiye....
Ek hi sach hai...
Paramatma...aur hum unke sewak...
Jo isse jooth kahe vai galat hai

Agar aap sansaar ki sachai ki baat krein...to usme to skilful hona pdta hai....
Zaruri nai ki sach hmesha sahi ho....jaise blind ko blind kehna bilkul galat hai...sansarik vyavahar mei to vahi baat sahi hai jo kisi ko dukh naa de....

Lekin jahan tak spirituality ki baat hai usme sach sirf ishwar hain...param ishwar...
Ek bhakt yai kehta hai...isliye bhakt hi hai...aur dusra koi sacha nai...
Bhakt kbi apne ko bhakt nai kehta ye bilkul sai baat hai...jaise hm yahan bhakton ki charcha kr rae hain...narad muni ji etc...ye kbi apne ko bhkt ni kehte...ye to sewak maante hain...haan bhagwaan hi inhe upaadhi dilwaate hain..bilkul shai...

Apkaa shukriya apne vichar rkhne k liy....alwys wlcm...Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #72 on: March 01, 2012, 06:11:53 AM »
Reply with quote
Dolly Ji Jo bhi apne kaha hai. mai sahmat hu.
Par mere sawaal ka javaab ab bhi adhoora hai???
Skilfull ...Kyo? kiske liye..doosre ka dil rakhne ke liye? ya kisi swarthvash?
gangajal to amrit ke samaan hai..najar najar ki baat hai..koi ise kuch bhi kah sakta hai. kuch log jeevan daaini maante hai to kuch log ise apavitra/ganda karne ki koshish karte hai..jaane ya anjaane .vo alag baat hai.
"jaroori nahi ki sach hamesh sahi ho" ideally not correct.
(apni baat rakhne ki koshish bhar hai..sahi galat ki baat nahi kar raha hu mai)
mai jo pooch raha hu usme bhi swartha nihit hai..swayam ka aur  parmartha ka bhi. Bhakti/ upasna bhi to swartha hi hai. 

Logged
dolly
Guest
«Reply #73 on: March 02, 2012, 05:21:18 PM »

Hello,Namaste MkVji....aapne apne vichar rkhe..baut shukriya...:)hm apke vicharon ki respect krte hain...kuch sai galat ki baat ni ti...bs discussion mei likh diya...dn mind:)...
hm...mere vichar mei sacha insaan banne ki degree hai bhakti...scha insan banne k liye vishwas n strength yaani ki shakti chahiye...man ki,atma ki shakti...lekin isse bahar ek aur shakti hai..parmatma ki shakti...Divine Power....
Aur ye sab bhakti se hi milega...kyuki jaise hi ap sach bologe koi b...chaahe spiritual ho ya materialistic...saare apke as paas k logon ke kitne hi sawal uth khade honge...to apka uss sach mei itna hold hona hi chahiye...to prove...and ofcourse widout disturbing ur inner peace...Usual Smile...inn sbke liye bhakti ya bhakt banna baut zruri hai....
To bhakt banna pehli seedi hai tbi ap sache insaan ban skoge...inner strength to dono k liye chahiye...aur ye dono kaam...ek sath hone chiye...ye ni k phle bhakt banenge fr sache...both are sides of same coin vali baat hui

Skilful isliy kyuki supose aap kisi galat insan ko
 abuse krein to vo to band baja dega...skills isliye zruri hain taki v cn fight wd our own miseries...aa bail mujhe maar ni kr skte na..Usual Smile
Jis bhakti mein swarth aa gya vo bhakti ni rahi...bhakti is Love for Divine...selfless love...jisme aap bs ye maante hain ki hm bhagwaan ke sewak hain...
Ji ji Ganga maiya ko sb alag drishti se dekhte hain...to ye nazr ki baat hai..thik kaha apne...
Ye bs mere vichar hain..Usual Smile...
Logged
mkv
Guest
«Reply #74 on: March 03, 2012, 06:27:19 AM »
Reply with quote
Saadar Pranaam Dolly ji
aapki jitnee bhi tareef kee jaye kam hai. Aaj ke yug me aise vyakti milna mushkil hai..mujhe nahi pata ye prenna apko kaha se mili? uske baad jis tarah se ise aapne apne jeevan me utaara hai vo saraahniya hai.
maine 6-10 tak ek aise school se padhai kee jaha sabko geeta padhaai jaati thi. dialy 5 shlok. abhi bhi mujhe kaafi yaad hai.
kahi na kahi mere antarman me vo baat baith gayi. aur aaj jab mai kathin daur me huN to us soch se badi taakat milti hai.
mai jyada kuch nahi jaanta. sirf itna..KARM HI JEEVAN HAI.
AATMA KA SACH.
seekhta hu to aakaash se, baadlo se, dharti se, nadi se, ped paudho se, KISAAN se...bahut prenna dete hai mujhe..aur phir kabhi 2 dil se saaf vyaktiyo ke saath vichaaron ke aadaan pradaan se. koi sampurna nahi.
"aapki band bajaane vaali baat" ne mujhe khoob hasaya. mai jyada hasta nahi..kitne bholepan se kahi ye baat aapne.
is baat par sirf itna " bhagwaan bhi unhi ki madad karta hai jo khud apni madad karna chahte hai.
mera aur aapka rasta bhale alag alag ho par swaroop ek hi hai.
bas is jyoti ko bujhne na dijiyega..ye bhi sewa ka hi ang hai..
Bahut bahut kuch seekhna hai aapse mujhe.

Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:08:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer