bhagwaan k param bhakt

by dolly on February 17, 2012, 07:33:19 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 14887 times)
dolly
Guest
«Reply #75 on: March 03, 2012, 06:27:10 PM »
Reply with quote
param vaishnav Maharaj janak ji sita mata k pita hain...ve maharaj nimi k putra te...

Ek baar maharj nimi ne guru Vashistha ji ko yagay sampann krne ki prarthna ki...kintu vashistha ji indra k yagya ka ashwasan de chuke te atah unhone maharaj nimi ko prateeksha krne ko kaha...kintu maharaj nimi ne kisi anya se yagya sampann kra liye...
Is par guru vashistha krudh hue aur unhone nimi ji ko bhasm hone ka shrap diya...
Jin rishiyon ne maharaj nimi ka yagya sampann kiya ta unhone...nimi ji ka shav preserve kiya aur usko goontha...issi se maharaj janak ji prakat hue...
Kyuki maharaj janak ji ka janm mata se nai hua atah unko Videh Raj kaha gaya...
Maharaj janak ko rajrishi mana jata hai..kyuki vo ek raja hone k sath sath bhagwaan k poorna bhakt the...
Unhone atma ka gyan Ashtavakra ji se liya...jo Ashtavakr Geeta k naam se prachalit hai:)...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bhagwaan jee bacha lo muje by 99% §hå®èèf_Mµñda in SMS , mobile & JOKES
** Sun Lo Bhakt Ki Pukaar** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
Bhakt Meera ji ki Anmol Padawali by khumaar in Share:Devotional Poetry
Bhagwaan kaha hai......( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
Bhagwaan - Kharidey Kyu by songwriter_123 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
dolly
Guest
«Reply #76 on: March 03, 2012, 06:27:32 PM »
Reply with quote
param vaishnav Maharaj janak ji sita mata k pita hain...ve maharaj nimi k putra te...

Ek baar maharj nimi ne guru Vashistha ji ko yagay sampann krne ki prarthna ki...kintu vashistha ji indra k yagya ka ashwasan de chuke te atah unhone maharaj nimi ko prateeksha krne ko kaha...kintu maharaj nimi ne kisi anya se yagya sampann kra liye...
Is par guru vashistha krudh hue aur unhone nimi ji ko bhasm hone ka shrap diya...
Jin rishiyon ne maharaj nimi ka yagya sampann kiya ta unhone...nimi ji ka shav preserve kiya aur usko goontha...issi se maharaj janak ji prakat hue...
Kyuki maharaj janak ji ka janm mata se nai hua atah unko Videh Raj kaha gaya...
Maharaj janak ko rajrishi mana jata hai..kyuki vo ek raja hone k sath sath bhagwaan k poorna bhakt the...
Unhone atma ka gyan Ashtavakra ji se liya...jo Ashtavakr Geeta k naam se prachalit hai:)...
Logged
dolly
Guest
«Reply #77 on: March 03, 2012, 06:50:48 PM »
Reply with quote
Saadar Pranaam Dolly ji
aapki jitnee bhi tareef kee jaye kam hai. Aaj ke yug me aise vyakti milna mushkil hai..mujhe nahi pata ye prenna apko kaha se mili? uske baad jis tarah se ise aapne apne jeevan me utaara hai vo saraahniya hai.
maine 6-10 tak ek aise school se padhai kee jaha sabko geeta padhaai jaati thi. dialy 5 shlok. abhi bhi mujhe kaafi yaad hai.
kahi na kahi mere antarman me vo baat baith gayi. aur aaj jab mai kathin daur me huN to us soch se badi taakat milti hai.
mai jyada kuch nahi jaanta. sirf itna..KARM HI JEEVAN HAI.
AATMA KA SACH.
seekhta hu to aakaash se, baadlo se, dharti se, nadi se, ped paudho se, KISAAN se...bahut prenna dete hai mujhe..aur phir kabhi 2 dil se saaf vyaktiyo ke saath vichaaron ke aadaan pradaan se. koi sampurna nahi.
"aapki band bajaane vaali baat" ne mujhe khoob hasaya. mai jyada hasta nahi..kitne bholepan se kahi ye baat aapne.
is baat par sirf itna " bhagwaan bhi unhi ki madad karta hai jo khud apni madad karna chahte hai.
mera aur aapka rasta bhale alag alag ho par swaroop ek hi hai.
bas is jyoti ko bujhne na dijiyega..ye bhi sewa ka hi ang hai..
Bahut bahut kuch seekhna hai aapse mujhe.

Pranam mkvji...:)sbse phle to m baut khush hu k aapko hansaaya maine...to uss moment to bhagwaan mil hi gae...Usual Smile...ap kitne bhagyashali hain ki apne Geeta k shlok...pade hain for such long duration...ye to baut hi kripa hai...Usual Smile...hm apne thik kaha karm k bagair to kuch ni ho skta...ek Shiv Sutra hai 'udhmo Bhairava'...usme ek exmpl tha ki...sun ki roshni to aa rai hai..par window to hme hi kholni padegi...to ye baat to apki ekdm sahi hai...aur pakshi,paudhe..Kisaan vali baat to ati sunder hai...isse to lgta hai ap kaafi enlightened hain...kehte hain hamaare rishiyo ne hmesha se pashu pakshiyon ko bhagwaan k saath dikhaya...yahi batane k liye ki sab ek bhagwaan k hi bache hain...one universal family.....Usual Smile
Rahon ko to bhagwan par chod deejiye...vo kr dega sb badiya...jisne mushkil di vahi solution dega....Usual Smile...bas mast rahiye...muskraate rhaiye...
Bilkul charcha chalti raegi...Usual Smile.m b kuch seekhungi aap b...baki members b...sab ek hain...sbka aim b ek hain..kisse pehle rasta mil jaye bas vai baat hai...
Aur ek sach ye...k theory meri achi hai...:)bt practically abi baut kaam krna hai...apne jeevan mei dhaalne vaali baat ki to abi shuruaat hai...ap kaisi baat krte hain...mere jaise merese bdkr baut hain...:)ye apka badhappan keh rha hai...
be happy...n remember God...jo yahin hai hmehsa hmaare paas...
Logged
mkv
Guest
«Reply #78 on: March 04, 2012, 07:06:08 AM »
Reply with quote
Pranaam Dolly ji
jee haa, isi ko hasna kahte hai sahi arthoN me. chitta nirmal ho bas.
khush rahna accha hai. mai dukhi bhi nahi hota. kaise bhi haalat ho mujhe pareshan nahi karte. par jo sabko apna samajhne ki aadat, unke dukh mujhse dekhe nahi jaate. use mahsoos karne ki koshish to karta hi hu agar meri madad se vo door ho sake to poora prayaas karta hu.
Aham ko jara bhi paas nahi aane deta. ameer gareeb, bhedbhaav, jaati paati se door, krishna sudaama se pyaar ki apekcha, imaandaari, kadi mehnat etc..ye sab jeevan ke ang ban chuke hai. theory jaanna bhi jaroori hai. practical jaisi koi baat nahi mahsoos karta..dil me aatmasaat kar le, uska kahna maane bas..apne aap raasta milta jaayega..
Bhagwaan kahi nahi vo mere dil me hain..hum unhe kahi aur kyon dhoondhe ? sabke dilon me hai, ek baar is practical ki shuruaat ho jaaye to phir aanand hi aanand.
Logged
dolly
Guest
«Reply #79 on: March 05, 2012, 08:57:23 PM »

Namaste mkv ji:)...hope aap anand mei honge...apke vichar jaankar bbaut acha laga....aisa lgta hai hai ache log abi hain dhrti par...bhagwaan ap par kripa drishti banaaye rakhein...
Ji bikul bhagwaan hmare dil mei hain...aur ek witness hain k hm kya soch rahe hai....karm bhale hi galat ho bt agar intentions sahi hain to vo saath deta hai....
Ji ji anand hi ultimate goal hai...jo bhakti ka result hai...bhut sahi baat...
Hmare prerna strot to guruji hain jinki hm buks padte hain..aur aas paas k log...waise to inner instinct yaani ki bhagwaan hi sbse bdi prerna dete hain...aur usk baad lif...
Apne suna hoga binu satsang vivek na hoi ram kripa bin sulabh na soyi...
May God Bless All...Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #80 on: March 06, 2012, 03:11:50 AM »
Reply with quote
Namaste
ye doha aapne bhi padha hoga..guru govind dou khade..
bhakti ka marg kathin hai..aur us raaste par bina sadguru ke nahi chala ja sakta..isliye us guru ko mera dandvat pranaam jisne aapko sanmaarga par chalne ki prenna dee.
thoda bhinna vichaar bhi hai yaha par mera, jaroori nahi ki guru ka ashirwaad mile phir bhakti start kee jaaaye..unke bina ashirwaad ke bhi ye sambhav hai..bas hame dil se unhe maanna hai..Eklavya ko kaun bhool sakta hai..
is sansaar me kuch isthaai nahi hai..mrityulok naam hai iska.. lekin param shaktiyoN ke saath aisa nahi.. unki aatma hamesha saath rahti hai..bas hame unhe anubhav ki jaroorat hai..
naam anek ho sakte hai par sab ek hi hai..
dukhsukh to mahaj vyaktigat anubhav hai, mere liye hai doosre ke liye nahi, ye satya nahi.
ab saup diya is dharti ka sab bhaar tumhaare...
jee,  satsang jo insaan ke liye us mote anaaj ke samaan hai jisme taakat to bahut hai par use khaana kam log pasand karte hai..

Logged
dolly
Guest
«Reply #81 on: March 06, 2012, 08:45:35 PM »
Reply with quote
pranaam mkv ji:)...ji hmne baut dhyan se pada apka re,....apki baat sau feesdi sahi hai...bhkti asaan nai hai...really v tough...mann bahut bhagta hai...jab arjun ji ne hi keshav se kh diya to hm to kahin stand ni krte....shayad usme thoda help krne k liy hi guru hain...margdarshan k liy...jaise tchr skul mei hote hain...padai to studnt ne hi krni hai...
Kahin pada ta...mann k kaan khinchne chahiye roz ek baar...
Hm guru tatav to hmesha sath rhta hai...chahe bodily guru ho ya nai...Usual Smile
haha sai kaha satsng ki dawai kdwi lgit hai...par chak lo to bdiya b hai...haan ek baar jaane ki koshish baut krni pdti hai...pr jb bahar aao to khali hota hai mann ekdam shaant..
Pr fr b mushkil to bahut hai...mann uchat b baut jldi hota hai..lekin sochne se acha hai lage rahein...kbi to kuch change aaega hi...apne ko blame b ni kr skte zada..apne ko hi to pana hai...
Apko kaunsi bhakti zada efectiv lgti hai?Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #82 on: March 07, 2012, 10:01:19 AM »
Reply with quote
Pranaam Dolly ji
'man ke kaan kheechne chahiye roj ek baar' bahut accha vichaar hai.. 24 hrs hai hamaare paas.. sirf ek baar kyon???
'satsang ki dawaai kadvi hoti hai' lekin peena chahiye. mai to beemar samajhta hu apne aap ko.. jo swastha hai unhe iski jaroorat nahi..jo nahi peete unhe to yahi kah sakte hai vo theek nahi hona chahte.
Kareyle ki medidicinal value ko uski kaduaahat se nahi aakan jaata.
'man uchat jaata hai' iska karan hamare andar hai.. kuch hai UNSEY bhi jyada priya tabhi to naa??? man ko samhalna hoga...
Sansaari jano ki sevaa..(khud ka astitva mitakar)..
Logged
dolly
Guest
«Reply #83 on: March 07, 2012, 07:08:20 PM »
Reply with quote
pranaam mkv ji:)

Ji yukti to sahi hai mann ko sambhalein...par kaise?bhajan etc se?fr b task tough hi lgta hai...shayad tim lgta hoga...
Ji bimaar to sbi hain....no doubt...abi to ye b ni jaante ki bimari hai kitni badi....

Seva sansriyon ki kyu?bhagwaan ki kyu nai?haan sansariyon ki sewa bhagwaan ko dhyan mei rkhkr ya bhgwaan ka kaam smajhkr kr skte hain...pr bhagwan ki sewa b to imp hai alag se?vo kyu nai?
Ek baar kaan kheenchna is minimum...aage to badaane hi hai...
23hr59min59sec to mann hme kheench k rkhta hai....Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #84 on: March 08, 2012, 03:00:53 AM »
Reply with quote
Saadar pranaam Dolly ji
aapne shayad Alandi ka naam suna ho Poona ke paas hai. vaha par ek mandir hai..sant Gyaneshwar jee ka dhyaan sthal bhi. vaha pe 2-2 ke group me baithna hota hai.. jo bhi bagal me ho uske saath. kisi prakaar ka bandhan nahi umra, status etc..chalte samay dono ek doosrey ke paao choote hai..i was really impressed to see it..thode samay ke liye hi par insaan khud ka aham bhool jaata hai..(ye idea kuch yoga courses me bhi included hai..aap shayad jaanti ho chuki maine aaj tak koi course nahi kiya)
Maharashtra, bahut se sant hue hai.. anukarniya...
Man nahi samjhalta..koi baat nahi..
man to chanchal hai hi..hawa ke jhonke ki tarah.. bandhna manjoor nahi..man ko manaana hoga.. kuch tyaag bhi karne honge..jeevan ka najariya badalna hoga..kahi jaane ki jaroorat nahi..bas khud ko daantna hai..samjhana hai..hum khud aur sirf khud isme apni madad kar sakte hai..
charo taraf se aankhe hataani hongi.. bemaari khud me mahsus kar sakte hai to theek, use door karne ki koshish kare..kisi ko bhi beemar kahne ka hame koi haq nahi.
Taalaab, nadi jo hame jal dete hai. hamare paas chalkar nahi aate hame khud jaana padta hai.. sirf need..
Bhagwaan ke sewa.. Agar ye shrishti hi USKI den hai to sawaal kyo? sab kuch usse juda hua hai, vo sabme samaahit hai..usne hi ham sabko banaaya hai to sansaarijano ke sewa bhi uski sewa hogi..(bas ek baat dhyaan me rakhni hai-BAND ankho se na dekhkar KHULI ankho se dekhna hai)
Band ankhe -- jiski vajah se hum bhedbhaao dekhte hai..vice versa
"Kaan kheechna"
jindgee me ek baar bhi kaan kheecha aur phir bhi na sudhre to..Kya kahoon?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh???
Logged
dolly
Guest
«Reply #85 on: March 09, 2012, 01:24:44 AM »
Reply with quote
Hardik Abhinandan mkvji,pranaam:)...sbse phle to apke vichar ati sundar:)...dusra ye k ab to aap course kr hi leejiye...its realy awesome...means muje to lgta hai direction mil jati hai...n ofcource peace bi...Usual Smile
Ji temple ka to nai par haan sant gyaneshwar ji ka naam to suna hai...ji ji ye padhyati kaafi courses mei hoti hai...ek baar nai vo kai baar krwaate hain aisa...aapas mei har baat b share krwaate hain...bhakti se related...geet sangeet b ek sath hota hai...bhajan b..means baut alag hota hai...hm actualy baithte hi aham chala jata hai...

sbi jeev ishwar k hain koi doubt nai...jeevon ki hi sewa krni hai....pr route chnge krke...
kuch ex leejiye jaise khana khana,paisa kamaana,koi geet sunna,gardening krna...
Ab ye kaam baut log krte hain ya kahein sb log...pr result alag hain...
paisa sbi kama rae hain lekin pucha jae r u happy?r u satisfied?ans aega nahi...industries,offc sb sewa mei lge hain pr reslt hai dis satisfctn...kyu?
Kyuki bhav ni hai,bhav jb tk shudh nai tb tk tk koi kaam ka rslt sai ni hoga...bhav but zruri hai...kaam to krna hi hai rasta bdalkr aisa rasta jisme sbse phle bhagwaan aayein..paisa kamaya sath k sath daan de diya....kisi tmpl mei...fir thoda seva mei b de skte hain...dirct seva mei denese ahankar aega...phle bhagwaan..k tera tujko arpan...to bs route bdla hai...
Khana banaya phle bhagwaan ko khilaya..fr khaya...bs route chnge..kaam vahi hai..pr bhaav badal gaya..ek ye k bhgwan k liy banaya dusra ye k bhgwan ka prasaad khaya..
Baut llog grdning krte hain..baut intres se...bs krna ye hai k tulsi ke kai saare paudhe lagaayein...baki sbk saath...bhaav badal jaega...
Geet mei bhajan sune...gururji to keh dete hain movie song b suno...pr bhagwaan ki praise krte hue kya geet banaya bhagwaan...
To centre mei bhagwaan hone chahiye...seva ka bhaav hi tbi aayega...nai to lagega m kr rha hu...pr haan pracice ki baut zrurt hai...main manti hi...dusri cheez hai regularity...Usual Smile
Logged
dolly
Guest
«Reply #86 on: March 09, 2012, 01:39:27 AM »
Reply with quote
ji ji gujrat n maharashtra to hub hain santon k...Usual Smile...
Ji bilkul mann ko sambhalna zruri hai..koshish zari raegi...ap mann ko smbhalan kh rae hain...m mann k kaan khinchna bs yai farak hai....kahan mkvji...ek baar se nahi maanta mann...baar baar need hai...actually kehte to hain ki strong rebuk ki zarurat hai man ko...pr asaan nai....
Gmbhir baat mei ek jok sun lijiye...
Do saal se try kr rai hu..samosa aur gol gappe chod du...pr..Usual SmileUsual Smile...kitne gap daale..pr...:)to ye mann chalaak hai bada...abi tk ni sudhri....
Nai nai koi bimaar hai to bs antarmann ka vichar hai...kisi ko kehne ka katai nai socha kbhi...kisi ko judge krnevale hm kaun hote hain...koi crminal ek scnd mei bhakt bann skta hai jaise valmiki ji...
Kehne se to jeev hinsa ho jaegi...ek shbd b galat nai bol skte..waise to hm srf madhyam hai..kisi ko uthane ka kaam karein to thik...nahi to jai ram ji ki...Usual Smile...js bata rai ti about thoughts...
Actually mei jo seekha hai usse bataane se ye hota hai..k kai logo pr bahgwaan jldi kripa drishti daal dete hain......to seva ho jaati hai:)...hmse b zada fast bhkti krne lagein koi...jaisee aap course krlo...aur sant se jud jaao...:)gun to hain...aise aur koi bi...hme kuch patani ...uski vo jaane:)
Lekin ye thought to apne mann k liye hi hai...ke sunn le manna dekh le nai to girega...dhadaam..Usual Smile
Hm seva bhkti hme hi krni hai no doubt..
Ek prahsn hai...'surrender krna bhagwaan ko'isko kaise kiya jaae?kuch prakash zarur daliega....
Logged
mkv
Guest
«Reply #87 on: March 09, 2012, 03:20:00 AM »
Reply with quote
Pranaam Dolly ji
Jaanti hai.. course ki baat, last 18 yrs se kai mauke mile..kabhi khud attend nahi kiya. doosro ko hi encourage kiya..mere liye vaha kuch nahi..meri duniya bilkul alag hai..
kadua sach kahne ki ijaajat chahta hu..
hum swarthavash bhakti, pooja, sewa ki baat karte hai.jo mujhe manjoor nahi..vo to sarva shaktimaan hai, sarvagya, sarva shaktishaali, poori tarah se swastha...sabhi indriyon ke swaami..aisa hi bataaya gaya hai na..meri theory acchi nahi..phir unki sewa ki kya jaroorat.. bhog bhi kyo..vo bhi to hum hi kha jaate hai na..bahut se sawaal hai mere man me..
mokcha, swarga paane ki, uddhaar ki baat nahi sochta..
Narak me jaane ke liye saharsha taiyaar..phir kya hai..UNSE mera jhagdaa pakka hai..dekhte hai ?..unki najron se kuch chipaa nahi.

Logged
dolly
Guest
«Reply #88 on: March 09, 2012, 06:35:40 PM »
Reply with quote
pranaamm mkvji...Usual Smile

Oho 18 saal se jhagda...wow...badiya hai tbi to course mei bheja ni bhagwaan ne..Usual Smile...course mei kya hota hai?bhagwaan ka smaran..vo to aap kr hi rae hain bhale hi naraazgi mei..Usual Smile...kriye khoob jhagda...acha hai...jahgda kinse krte hain hm?
Mama ke chacha ke taya ke bete ke bhateeje ke bhaanje ke bhai se?ya fir vo jo hmaare close hota hai...??Usual Smile..jawaab ap jante hain...Usual Smile
Ek baat to anumaan laga skte hain hm...ke sansaar ke kisi jeev se ap jhgda krna pasand ni krte honge....kyuki jo bhagwaan se jhagde usse aur kisi se jhagdne ka mann ni karega..Usual Smile

Hm swarth...swarth ko ap negatv word smajh rae hain...
Shabd ko brk kijiye...to words hain 'swa' and 'arth'....yaani ki apna arth...mtlab who am i?kahan se aaya hu..etc...aur jo isse janne ki icha rakhe...vo hua 'swarrthi'...
To swarth aur swarthi are the most positive words and essence of bhakti..
Isse krne ke baad hoga'paramarth'mens param ka arth kya hai?
Haan hm sb swarthi hain...kyuki janna chahte hain...spiritual lif mei koi word negativ ni ho skta...
Jealous,anger etc sabhi shabd positiv hain kyuki bhagwaan se relatted hain...Usual Smile
Iss swarth k liy hi bhakti,seva aradhna,bhojan khana sb krna hai...Usual Smile
Jaise pyaas bhujaane k liy paani to peena hi padega ap ye ni kh skte m kyu peeun...?
Haan seva zruri nai k mandir mei jaakr hi krni hai...aapne likha ta ke karm krte hain...bs vai keejiye...aur jhagda b dilse kriyega..makahn chor jhagda b chura lega.Usual Smile

Swarg aur nark kya hai?
Maan lijiye main fav dish kha rahi hu,maza aa rha hai...swarg jaisa lg rha hai...aur koi buri khabar aajae...to vo dish khana imposibl...dt means...swarg nark mann mei hai....kahin jaana ni hai...khush hain to swarg hi swarg hai...
Kadwi baton ka  mann hoga aj bhagwaan ka..Usual Smile
Koi ni karele k baad rasgulle ka swaad alag hi hota hai:)
Logged
mkv
Guest
«Reply #89 on: March 10, 2012, 03:37:27 AM »

aapne jhagde aur 18 saal ko milakar padha. arth ka anartha ho gaya..
course effective hai.. shayad yahi mera matlab tha.uspe koi sawaal nahi tha.
jhagde ki baat, duniya chodne ke baad ki thee. abhi jhagdaa...
sambhav kaha.? khair..
naraajgee ki baat...galat hai..ye thahraao barso ke baad aaya hai..na koi apna hai na koi paraya..kasta dono me hi hai..isliye mai sambhaav me rahna pasand karta hu..
Swarga narak, iska javaab jhagde vaali baat me chipa hai..
communication proper nahi hua isliye likh raha hu..sahi galat pe mat jaaiega.

Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 04:02:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer