... EIK SAJDA IBADAT KA *.......................... HASAN

by F.H.SIDDIQUI on July 29, 2012, 09:03:57 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 17295 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote

Mujhe  armaan  daulat  ka , na  shohrat  ka , na  ishrat  ka
Qubool , aye  kash  kar le  Woh , bus  ek  sajda  ibadat  ka


SharaboN   se   na    ho   payegi   seri   meri   aye   saaqi
Pilaa  de  mujh  se  tishna - kaam   ko  ek  jaam  wahdat  ka


Mere  Aaqa ka  ghar hai , is pe qurbaN  jaan-o-dil  kar  dooN
Yahi  shaan - e - ghulami   hai ,  taqaaza  hai  mohabbat  ka


Khudaara   aye   Mohammad  ,  nakhudaai   ka   bharam   rakhna
Ki   toofanoN   ki   zadd  meiN   hai   safeena  teri ummat ka


Mere  Allah !  mujh  per  bhee  karam  ki   ek  nazar  kar  de,
Ghulam - e - Mustafa  hooN  ,  mustahaq  hooN  teri  rahmat  ka


Khatayein   darguzar   kar de ,  tu   uski   maghfirat  kar  de
Bahut  khamyaza   bhugta  hai  ’Hasan’  ne   apni   ghaflat  ka






* sharing my old Naat Shareef , first published in the
Urdu Monthly, Pakeeza Aanchal , New Delhi , July ,1992


...............................
Ishrat = luxury ; tishna-kaam = pyasaa ; wahdat =oneness of God ;
naakhuda = maanjhi  ;  safeena = boat  ;  mustahaq = haqdaar ;
darguzar / maghfirat = maafi  ' ghaflat = negligence
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sajda by ishika gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
sajda by hid_bigb in Shairi - E - Zindagi
SAJDA.........AB by adil bechain in Miscellaneous Shayri
Sajda-nasiiN ...................PWFS by pankajwfs in Shayari-e-Parastish
SAJDA HAI BAS WAHI JO PESHE SANAM ADA HO by pradeep srivastava raunaq in Shayari-e-Parastish
soudagar
Guest
«Reply #1 on: July 29, 2012, 09:09:49 AM »
Reply with quote
is qalaam par main kuch kahun mujhe nahi lagta yeh meri hasiyat hai....... sar jhuka kar aapko dhero salaam karne ko jeee chahta hai bas..........aapka is baat ke liye behad shurkiya jo aap mushkil shabdo kii defination sath dete hai hasan sir....

 notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy
Logged
Aarish
Guest
«Reply #2 on: July 29, 2012, 09:13:14 AM »
Reply with quote
sir , assslamualekum,

 Masha Allah is ke alawa koi alfaz nahi haiN is hamd ki tareef main.. nihayat pakeeza kalaam se nawaza Hai aapne is mubarak mahine meN... Allah Aapko is ka jaza E Khair Ata farmaye Ameen
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: July 29, 2012, 09:58:38 AM »
Reply with quote

Hasan Sahab,

Waah waah ....bahut khoob
thodi der ke liye to yoon laga
ki kisee ibaadat gaah men hoon
aur gaib se ye aawaaz aa rahi hai...

Dili mubaarakbaad kubool farmaayen.

Raqeeb
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #4 on: July 29, 2012, 10:04:37 AM »
Reply with quote

Mujhe  armaan  daulat  ka , na  shohrat  ka , na  ishrat  ka
Qubool , aye  kash  kar le  Woh , bus  ek  sajda  ibadat  ka


SharaboN   se   na    ho   payegi   seri   meri   aye   saaqi
Pilaa  de  mujh  se  tishna - kaam   ko  ek  jaam  wahdat  ka


Mere  Aaqa ka  ghar hai , is pe qurbaN  jaan-o-dil  kar  dooN
Yahi  shaan - e - ghulami   hai ,  taqaaza  hai  mohabbat  ka


Khudaara   aye   Mohammad  ,  nakhudaai   ka   bharam   rakhna
Ki   toofanoN   ki   zadd  meiN   hai   safeena  teri ummat ka


Mere  Allah !  mujh  per  bhee  karam  ki   ek  nazar  kar  de,
Ghulam - e - Mustafa  hooN  ,  mustahaq  hooN  teri  rahmat  ka


Khatayein   darguzar   kar de ,  tu   uski   maghfirat  kar  de
Bahut  khamyaza   bhugta  hai  ’Hasan’  ne   apni   ghaflat  ka





* sharing my old Naat Shareef , first published in the
Urdu Monthly, Pakeeza Aanchal , New Delhi , July ,1992


...............................
Ishrat = luxury ; tishna-kaam = pyasaa ; wahdat =oneness of God ;
naakhuda = maanjhi  ;  safeena = boat  ;  mustahaq = haqdaar ;
darguzar / maghfirat = maafi  ' ghaflat = negligence


subhaan ALLAH. VERIIIIIIIIIII NAAAAAAAAAAAICE.ALLAH KHATAO.N KO MAAF KARE AMIN
Logged
annu_genis
Guest
«Reply #5 on: July 29, 2012, 10:31:54 AM »
Reply with quote
Umdaa kalaam, soch aur alfaazo ki jaadugari!!
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #6 on: July 29, 2012, 10:52:52 AM »
Reply with quote
Wah hasanji bahut badhiya
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: July 29, 2012, 12:21:56 PM »
Reply with quote
Bahut umda Sir
ham sabhee khuda ke raham o karam par hai. Maalik kee shaan me jo bhi kaha jaaye..kam hai.
unhe yaad karna, unke baare me sochna, likhna, ye bhi to ibaadat se kam nahee.
pichle saal bhi maine aapki ek kalaam padhee thee.
duaayen sabke liye.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: July 29, 2012, 01:32:32 PM »
Reply with quote
Hasan bhaijaan hazaaron salaam is ghazal par dheron daad aur mubarak baad
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #9 on: July 29, 2012, 05:40:57 PM »
Reply with quote
Subhan Allah, Merheba, behad khoob. Isse zyada ta'areef mein kuch likha nahi jaa raha. Bahut bahut khoob.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: July 30, 2012, 06:05:58 AM »
Reply with quote
is qalaam par main kuch kahun mujhe nahi lagta yeh meri hasiyat hai....... sar jhuka kar aapko dhero salaam karne ko jeee chahta hai bas..........aapka is baat ke liye behad shurkiya jo aap mushkil shabdo kii defination sath dete hai hasan sir....

 notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy
Soudagar  ji  ,  Bandigi  ke  ehsasat  share  karne  aur  hausla afzai  ke  liye  bahut  bahut  shukriya  aur  duaaein  . Hasan
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #11 on: July 30, 2012, 10:19:06 AM »
Reply with quote

Mujhe  armaan  daulat  ka , na  shohrat  ka , na  ishrat  ka
Qubool , aye  kash  kar le  Woh , bus  ek  sajda  ibadat  ka

Bilkul sahee .
Dunyaawee daulat, shohrat,izzat sab faanee hai.
Faanee cheejoo kaa armaan karnaa koi akal mandee to nahee.
Akalmandee to ye hai kee en faanee cheejoo ke badle jannat ke khajane khareed liye jaaye.
Aour allah aapka ek nahee har sajda kabool farmaye.
Aameen


SharaboN   se   na    ho   payegi   seri   meri   aye   saaqi
Pilaa  de  mujh  se  tishna - kaam   ko  ek  jaam  wahdat  ka
Applause

Mere  Aaqa ka  ghar hai , is pe qurbaN  jaan-o-dil  kar  dooN
Yahi  shaan - e - ghulami   hai ,  taqaaza  hai  mohabbat  ka

besak


Khudaara   aye   Mohammad  ,  nakhudaai   ka   bharam   rakhna
Ki   toofanoN   ki   zadd  meiN   hai   safeena  teri ummat ka

haa wakai tufaano me hee hai.
Aaye din naye naye fitne khare ho rahe hai.
Bas allah hamaree hifajat kare.


Mere  Allah !  mujh  per  bhee  karam  ki   ek  nazar  kar  de,
Ghulam - e - Mustafa  hooN  ,  mustahaq  hooN  teri  rahmat  ka

aour ham bee mustahaq hai khuda aapkee rahmat ke


Khatayein   darguzar   kar de ,  tu   uski   maghfirat  kar  de
Bahut  khamyaza   bhugta  hai  ’Hasan’  ne   apni   ghaflat  ka

aameen , summa aameen

 






* sharing my old Naat Shareef , first published in the
Urdu Monthly, Pakeeza Aanchal , New Delhi , July ,1992


...............................
Ishrat = luxury ; tishna-kaam = pyasaa ; wahdat =oneness of God ;
naakhuda = maanjhi  ;  safeena = boat  ;  mustahaq = haqdaar ;
darguzar / maghfirat = maafi  ' ghaflat = negligence

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: July 30, 2012, 02:13:35 PM »
Reply with quote
sir , assslamualekum,

 Masha Allah is ke alawa koi alfaz nahi haiN is hamd ki tareef main.. nihayat pakeeza kalaam se nawaza Hai aapne is mubarak mahine meN... Allah Aapko is ka jaza E Khair Ata farmaye Ameen
Arish  ,  bahut  shukriya  aur  dua  mein
sath  dene  ke  liye  bahut  duaaein.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: July 30, 2012, 06:05:11 PM »
Reply with quote
Hasan Sahab,

Waah waah ....bahut khoob
thodi der ke liye to yoon laga
ki kisee ibaadat gaah men hoon
aur gaib se ye aawaaz aa rahi hai...

Dili mubaarakbaad kubool farmaayen.

Raqeeb
Satish ji ,  naat  parhne aur hausla afzai
ke liye bahut shukriya . duago,HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: July 30, 2012, 11:32:37 PM »
Reply with quote
subhaan ALLAH. VERIIIIIIIIIII NAAAAAAAAAAAICE.ALLAH KHATAO.N KO MAAF KARE AMIN
khamosh aawaaz ji , hausla  afzai  aur  dua  ke  liye  bahut  shukriya  . Hasan
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:05:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer