EK DOST KE NAAM

by ranjeet_rp on February 18, 2006, 05:43:21 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5365 times)
ranjeet_rp
Guest
Reply with quote
MAIN YE JANTA HOON KI
AISA BAHUT KUCH HAI
JO MAIN JANTA HOON
AUR AISA BAHUT KUCH HAI
JO MAIN NAHIN JANTA

AUR JO MAIN JANTA HOON
MAIN YE NAHIN JANTA
USMAIN KITNA SAHI HAI
AUR KITNA HAI GALAT

MAIN KAHTA TO HOON
KI WAHI HAI SAHIN
JO MAIN SOCHTA HOON
PAR YE JAROORI TO NAHIN
KI WOH SOCH GALAT NAHIN HO SAKTI
ISLIYE MAIN KAHTA HOON KHUD KO AGYAANI
KYONKI KOI BHI NAHIN HAI
PURAN GYANI

PAR MAIN KHULE DIL SE
YE KARTA HOON SWEEKAAR
KI AGAR MAIN GALAT HO JAAUNGA SABIT
TO BADAL LOONGAA APNI SOCH
AUR APNI KITABON KE VARK

AE MERE DOST
ISI TARHA TOON BHI
BAHUT KUCH HAI JANTA
AUR BAHUT KUCH HAI
JO TOON NAHI JANTA
AUR JO TU JANTA HAI
JARA POOCH APNE
DIL KI GAHRAION SE
KYA TUJHE USPE HAI PAKKA YAKEEN
KYA TERE MAN MAIN BHI
SHANKA NAHIN HAI
KI MERI SOCH BHI HO SAKTI HAI
GALAT AUR HO SAKTI HAI SAHIN

MERI TARHA TU BHI KAHTA HAI
KI JO TU SOCHTA HAI
WAHIN HAI SAHIN
PAR SHAYAD
TUJHE BHI PATA HAI
WOH SOCH BHI HO SAKTI HAI GALAT
AIE MERE DOST
TU BHI NAHIN KAH SAKTA DAAVE SEE
KI WAHI HAI ANTIM SACH

IS DUNIA MAIN HUM SAB HAI
AGYAANI AUR ADHOORE
SAB KI ALAG HAI SOCH
AUR SABKA ALAG HAI GYAN
AUR SABKO YE PATA HAI
KI JO BHI WOH KAHTA HAI
JO BHI WOH SOCHTA HAI
WOH HO SAKTA HAI GALAT

PAR AE MERE BHAI HUM SABHI
APNE APNE AHEM(EGO) KE MAARE HUWE
YAHIN KARTE HAIN DAAWA
KI SIRF HUM HI HAI SAHIN
AUR SAB HAIN GALAT
AUR JO HAMARI BAAT SE NAA HO SAHMAT
USKE GHAR JALAA DETE HAIN
UNHAIN MAAR DAALTE HAIN
AURTON SE JABARDASTI KARTE HAIN
BACHON KO JINDAA JALAA DETE HAIN

HUM YE NAHIN SOCHTE KI
HO SAKTA HAI
JO MAIN SOCHTA HOON
WOH BHI HO SAKTA HAI GALAT
AUR JO SOCH HAI DUSRE KI
WO BHI HO SAKTI HAI SAHIN

AIE DOST CHAHE HUM NAA HON
EK DUSRE SE SAHMAT
PUR HAMEIN YE JAROORI HAI
KI DUSRE KI SOCH
CHAHE WOH APNE NAJARIYE SE
GALAT BHI HO
USKI IZZAT JAROOR KARAIN
NA KAHAIN KHUD KO GYAANI
AUR DUSRE KO
BACCHA AUR AGYAANI
Logged
Karan.sri
Guest
«Reply #1 on: February 19, 2006, 02:23:18 PM »
Reply with quote
Dost ka naam bhi likh dete, dear! Humare liye likha hay kya?

Agar humare liye hay to hum apse ye kehna chahte hain ke hume apni soch ke baare mein koi shanka nahi hay kyunki humari soch humare effort ka result nahi hay balki gurudev ke kripa hay...

Sorry, dost! hume jyada poetry nahi aati hay isliye prose mein answer kar rahe hain...

Hum jaante hain ki hum bevkuf hain isliye last 9 years se gyani logo se gyan ko sikhne aur samajhne ke koshish kar rahe hain aur hume aisa lagta hay ke gurudev ke kripa se [actually, i consider God as my Gurudev] kafi kuch samajhne bhi lage hain...

Dost, pehle hum bhi bilkul apki tarah the...apke tarah he sochte the ke aisa kyon hota hay, vaisa kyon hota hay...hum bhi revolution lana chahte the...lekin dhire dhire samajh mein aaya ke iss duniya ko puri tarah ap kabhi nahi sudhar sakte kyonki everyone has got a destiny to fulfill...humare apke chahne se kuch nahi hota hay...jo hona hay vahi hota hay...hum keval ek insaan ko sudhaar sakte hain...apne apko...actually, abhi hum apni problems mein uljhe hue hain isliye apse baatein karne ka jyada samay nahi mil raha hay...thori tension kam ho tab apse baat karenge...

God bless,

take care!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #2 on: February 19, 2006, 05:29:33 PM »
Reply with quote
RanJeet jee Shayari to hum sabhie kartein hain yahan parr apke lehze ki to daad deni hogi bhai, mann gaye yaar, bahut hi khoobsurati se lafzon ko sajaya hai............shikwe saaf hain parr shabdon mein bahut saadgi hai!!

Mujhe intezar hoga uss waqt aaur uss Thread ka jahan Karan bhai aaur ranjeet bhai aapne vicharon ka sanshodhan banteinge.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: February 19, 2006, 06:40:04 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob Ranjit ji!!
Karan apke liye sirf itna kahoogi ki koi bhi sari duniya ko nahi badal sakta. magar. agar ek bhi insaan ko app apni life mai sahi rasta dikha sake wo bhi bahoot hai..... Ab sahi rasta kaya hai..yahi janana sabse musjkil hai....kayun ki jaise ranjit ne kaha ki jo hum sochaty hai....wo hi hum sahi aor such manty hai.......
Logged
Karan.sri
Guest
«Reply #4 on: February 20, 2006, 03:50:03 PM »
Reply with quote
Poojaji, sahi rasta ek he hay aur uski jaankari keval Satsang se mil sakti hay...humne ye kab kaha ke jo hum kehte hain vahi sahi hain...humne to kaha hay ki gurudev ki kripa se hume sahi raste ki kuch jaankari haath lagi hay...aap to humse jyada jaati hain, humse badi hain aur  humse jyada anubhavi bhi hain...i would like you to join us in this discussion...
Logged
ranjeet_rp
Guest
«Reply #5 on: February 23, 2006, 12:46:33 PM »
Reply with quote
o bhai logon,
          main bhi to yahi kah rahan hoon ki agar kisiko kisi bhi raste pe puran wishwaas hai to usko tark se samjhaao par use bacha aur anjaan mat kaho mere bhai,agar aap kuch jante ho aur uspar ahenkaar bhi karte ho to aapka gyan wyarth hai......ye to guru nanak ne bhi kaha hai.agar daant fatkaar aur jabardasti se kuch manwaao to koi bhi nahin maanega.

   karan ji,waise ye kawita maine aapke liye nahin likhi hai.maine ek english film dekhi thi aur usmain same idea diya tha aur maine socha is baat main wajan hai to maine use kawita kaa roop de kar post kar diya.
kyonki ye mera personal veiw hai ki jise ham puran sach kahte hain woh insaan ki panhuch se abhi bahut door hai baaki jo bhi jis bhi kitab main likha hai sirf ek theory hai.in sabhi theories par wishwaas aur awishwaas to kiya jaa sakta hai par enmain se kisi ek ko bhi prove nahin kiya ja sakta.darwin ke wikaswadi siddhant ko bhi nahin.

 is dunia main problem ye hai ki jis bhi theory ko wo sahi maanti hai usi ke dayre ke ander sochti hai aur usi theory ko dusre dwara naa maanne waale se ladai paida karti hai........

  maine ye un sabhi doston ko samjhane  ke liye likha hai jo ye kahte hain ki jo woh sochte hain sirf aur sirf wahin sahi hai aur uske alawa sabhi galat hain unhain chahiye ki woh jo sochtain hain uspar yakeen to karein par dusron ko bhi woh sochne aur express karne ka haq dain jo woh sochtain hain.aapki bhawnaaein itni kamjor naa hon ki koi bhi use hurt kare aur aap bhawnaa hurt hone par usko maar daalne par utaru ho jaaein.agar uski soch aapko sahi naa lage to use tark se samjhain.

 to mere karan bhai,ise personal mat lena,hallanki aapne mujhe ek thread main baccha kaha tha aur wahi word maine is kawita main use kar diya par ye sirf aapke liye hi nahin mere apne,salmaji,pujaji,nirbhai ji aur har ek dost ke liye likha hai jo mujhse sahmat bhi hai aur asahmat bhi hai.aur kyon likha hai main pahle hi likh chuka hoon........
FOR THE SAKE OF FREEDOM OF EXPRESSION
Logged
Karan.sri
Guest
«Reply #6 on: February 23, 2006, 01:02:54 PM »
Reply with quote
Ranjit, tum to bahut senti ho gaye yaar!....OK dear, i m sorry...galti ho gayi...maaf kar do...mujhe tumhe bachcha nahi kehna chahiye tha...par apni age to bata do...pata to chale ki hum kis umar ke insaan se baat kar rahe hain...kyunki kuch baatain umar aur anubhav ke saath he samajh mein aati hain...bahut se baatein jinhe hum aaj se 7-8 saal pehle karna chahte the, ab nahi karna chahte kyunki ab hum samajh gaye hain ki uss kaam ko karna apna samay barbaad karna hay...

aur hume apne gyan ka koi ahankaar nahi hay...na he apko apni baat manvakar hume kuch milne wala hay...hume laga ki aap ki bhagwan ke baare mein curiosity hay aur sahi jaankari nahi hay bas isliye aap se baat kartain hain...kyunki hum bahut achchi tarah se jaante hain, of course, its all due to grace of God, ki sahi raasta kaun sa hay...

baki apko apni baat manvane ki bevkufi humare dimag mein nahi hay, kyunki

Yeh gun sadhan te na hoi
Tumhari kripa paave nar koi

Soi janai jehi dehu janaai
Janai tumhe tumhai hoi jai

[Ramcharitmanas]
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #7 on: February 23, 2006, 02:17:18 PM »
Reply with quote
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #8 on: February 23, 2006, 02:44:40 PM »
Reply with quote
Mere ko laga ye photo yahan bahut suit karegi!!!

Waise Karan bhai ............. RAnjeet bhai aap dono ke iss vinamra Gyan manthan mein bahut aacha laga raha hai mere ko bhi kuch nava sikhne ka mouka milega.

Thanks
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 23, 2006, 04:30:47 PM »
Reply with quote
hummm just watching this post....
Logged
Karan.sri
Guest
«Reply #10 on: February 24, 2006, 02:53:00 AM »
Reply with quote
Thanx Neer, for posting the beautiful photograph!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: February 24, 2006, 02:53:54 AM »
Reply with quote
yes Pic is nice Usual Smile
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #12 on: February 24, 2006, 07:04:54 AM »
Reply with quote
keep going guyz........i'm learning by reading.....

hahaha waise neer tumhari hindi toh badi kamaal ki hai.......ek dum shudh.....inn words ko sunna arsaa ho gaya......achaa lagaa durbaraa dekh kar!!!
Logged
ranjeet_rp
Guest
«Reply #13 on: February 24, 2006, 11:00:32 AM »
Reply with quote
kamaal ho gaya...........itne replies to mere kisi bhi thread ko nahin mile.aur karan bhai ye sab maine aapke liye nahin sabhi bhai logon ke liye likha hai ise personal mat leen.mere man main aapke liye  nahin saari dunia ke liye ye shikwa hai ki ye jaante huwe ki woh jo jaanti hai woh galat bhi ho sakta hai apne ego ke liye larti hai......isliye ye naa samjhein ki sirf aapke mujhe baccha kah dene se main senti ho gaya kyonki main abhi tak khud ko bhi bacha hi kahta hoon.aur jab aapki koi galti hi nahin to please maafi naa maangein.jab aap tensions se free ho jaaein to apna gyaan mujhe de dijiyega.jab aap free hon bata dijiyega,mujhe jaldi nahin hai.jab aap kahte hain ki gyan anubhav se prapt hota hai to umar batane ki jaroorat hi nahin isliye aap apne perameters se  khud hi andaja laga lijiyega.

nirbhai ji tasvir bahut achi hai.........par bhai mere agar apne anmol wachan bhi saath main share karein to bahut acha hoga.thanx for every one replied to this post.......baaki naya to karan bhai kah rahein hain sirf bhagwan ki kripa se hi sikh paaoge,is thread pe wakt mat barbad karo

JAI MANAVTA
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #14 on: February 24, 2006, 11:31:05 AM »
Reply with quote
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 01:17:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.166 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer