ek gazal.....

by amritflora on June 27, 2005, 03:29:56 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1669 times)
amritflora
Guest
Reply with quote
Rang aur noor ki is duniya me
Is dil ka karaar kaha paaye
In badalte hue halat me
Wah pyar ka sheela hum kaha paaye

Aap jo khawab ki duniya le kar aaye the
Aankh khulte hi wah duniya kahi nahin paaye
Raaste me jo kaante bikhre the
Use chaah kar bhi hum choon nahin paaye

Beshumaar pyar bhara tha is dil me
Aap ke dil ka krodh phir bhi kam nahin kar paaye
Ab sirf ashq hi ubhara hai in aankhon me
Is dil ko in ashqon me dooba nahin paaye

Pyar ke siva uljhan hi dekhi humari har baton me
Laakh koshish ke baad bhi aap ko mana nahin paaye
Prem ke phool chadhaye har waqt aapke kadamon me
Aapki raahon me sirf kaante hi hum bikhara paaye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kubsurat Gazal by sarafz in Ghazals
Gazal... by Yasmeen Dua in Ghazals
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: December 16, 2008, 03:52:40 PM »
Reply with quote
Nice One Amrit JI,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: December 16, 2008, 03:53:35 PM »
Reply with quote
bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye
us dil main dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aye

bekar shara-e-lafz-o-mani se fayeda
jab tu nahin to shahar main tujh sa kahan se aye

har chashm sang-e-khizb-o-adawat se surkh hai
ab admi ko zindagi karna kahan se aye

wahshat hawas ki chat gai khak-e-jism ko
be-dar gharon main shaql ka saya kahan se aye

jar se ukhar gaye to badalati ruton se kya
be-ab ainon main sarapa kahan se aye

sayon pe aitamad se ukta gaya hai ji
tufan main zindagi ka bharosa kahan se aye

gam k thapere le gaye nagin se lambe bal
raton main jangalon ka wo saya kahan se aye

'Naheed' faishanon ne chupaye hain aib bhi
chashmain na hon to ankh ka parda kahan se aye
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3 on: December 16, 2008, 04:06:20 PM »
Reply with quote
Rang aur noor ki is duniya me
Is dil ka karaar kaha paaye
In badalte hue halat me
Wah pyar ka sheela hum kaha paaye

Aap jo khawab ki duniya le kar aaye the
Aankh khulte hi wah duniya kahi nahin paaye
Raaste me jo kaante bikhre the
Use chaah kar bhi hum choon nahin paaye

Beshumaar pyar bhara tha is dil me
Aap ke dil ka krodh phir bhi kam nahin kar paaye
Ab sirf ashq hi ubhara hai in aankhon me
Is dil ko in ashqon me dooba nahin paaye

Pyar ke siva uljhan hi dekhi humari har baton me
Laakh koshish ke baad bhi aap ko mana nahin paaye
Prem ke phool chadhaye har waqt aapke kadamon me
Aapki raahon me sirf kaante hi hum bikhara paaye


bahut badiya likha aap neh
aap ney toh phool bikherey they
unhey kaatey nazar aaye
shayed yehi kismat thi hamari
hum unhey apna na paye


jasbir singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #4 on: December 16, 2008, 04:11:26 PM »
Reply with quote
bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye
us dil main dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aye

bekar shara-e-lafz-o-mani se fayeda
jab tu nahin to shahar main tujh sa kahan se aye

har chashm sang-e-khizb-o-adawat se surkh hai
ab admi ko zindagi karna kahan se aye

wahshat hawas ki chat gai khak-e-jism ko
be-dar gharon main shaql ka saya kahan se aye

jar se ukhar gaye to badalati ruton se kya
be-ab ainon main sarapa kahan se aye

sayon pe aitamad se ukta gaya hai ji
tufan main zindagi ka bharosa kahan se aye

gam k thapere le gaye nagin se lambe bal
raton main jangalon ka wo saya kahan se aye

'Naheed' faishanon ne chupaye hain aib bhi
chashmain na hon to ankh ka parda kahan se aye



wah wah Jahanasheen

Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: December 19, 2008, 01:49:21 PM »
Reply with quote
Shukriya Bhaijaan,.
and Nice one,.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:20:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer