Ek mahina aisa jo sab se azeem hai

by shyama on July 23, 2010, 11:32:25 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1470 times)
shyama
Guest
Reply with quote
ek maheena aisa jo sab se azeem hai
khuda ki rehmat se woh ramadhaan ul kareem hai

aya hai badi umeed le kar tumhar dar pe
na lotana issi naraaz tum apne ghar se
...
doob jao tum iss ki mohabat mein yun
ke kar na paye juda tumhein iss se duniya ki arzoo

shayad phir na haasil ho tumhein iss ki barkat
na gawana doston yeh jo millli hai khuda ki daulat

har ek lamha iss ka anmol aisa
ke khuda ka farmaan hai dega inaam woh chahe jaisa

hai mehnat ke din to maghfirat ki raatein iss ki
tawheed, salah, zakah or sawm hein bunyaadein iss ki

ek maheena aisa jo sab se azeem hai
khuda ki rehmat se woh ramadhaan ul kareem hai
Logged
nazr ghouri
Guest
«Reply #1 on: July 23, 2010, 11:58:07 AM »
Reply with quote
subhan Allah ...bahot achhe andaaz main badi umda aur sachhi baatein bayaan ki hai aap ne .. bahoot khoob janaab..daad
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: July 23, 2010, 12:15:57 PM »
Reply with quote
Shyama ji aapne bahot achhi poem likhi hai aur ek haqeeqat bayaan ki. Sach mein Ramzaan ka mahina saare mahinon se afzal hai. Is mein har ibaadat ka badla bahot zyada badh jaata hai aur ek munfarid sa mahaul rahta hai. Wo namuraad hai jo is mahine ko paaye aur apni bakhshish na karwa le.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: July 23, 2010, 12:18:38 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Shyama Ji...

Bahut Hi nek Aur khoobsurat Jazbaat Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #4 on: July 24, 2010, 07:04:55 AM »
Reply with quote
ek maheena aisa jo sab se azeem hai
khuda ki rehmat se woh ramadhaan ul kareem hai

aya hai badi umeed le kar tumhar dar pe
na lotana issi naraaz tum apne ghar se
...
doob jao tum iss ki mohabat mein yun
ke kar na paye juda tumhein iss se duniya ki arzoo

shayad phir na haasil ho tumhein iss ki barkat
na gawana doston yeh jo millli hai khuda ki daulat

har ek lamha iss ka anmol aisa
ke khuda ka farmaan hai dega inaam woh chahe jaisa

hai mehnat ke din to maghfirat ki raatein iss ki
tawheed, salah, zakah or sawm hein bunyaadein iss ki

ek maheena aisa jo sab se azeem hai
khuda ki rehmat se woh ramadhaan ul kareem hai


Bahut Umdaa khayal...bahut umdaa peshkah rahi aapki...Shyama Ji !
Logged
shyama
Guest
«Reply #5 on: July 27, 2010, 08:39:05 PM »
Reply with quote
Shukriya to all.

Insha allah, ramadhaan ul kareem is fast approaching may allah give us all the tawfiq and hidayah and may he accept our sincere dua's and worship.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:12:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer