Ek nazaara

by kohinoor_ on January 29, 2008, 08:30:48 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2447 times)
kohinoor_
Guest
Reply with quote
ek nazaara mainay dekha
jannat ka huzoor nahin koi dooja
samajhnay boojhnay mein lagega waqt
sabr karo sabr mein hai taaqat
jo namak hamnay chakha nahin kabhi
uska hum kya jaanein swaad
lekin hum sab gar hain jannat se
tho jannat hum dekhengay saath
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**~** TERA HI NAZAARA **~** by _Vicky_ in Shayari-e-Parastish
Meri Turbat Ka Nazaara.... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Tere Roop Da Nazaara by lalit.sharma83 in Love Poetry in Punjabi
Ghazab Tha Aaj Gulshan Mein Yeh Hasrat Khaiz Nazaara..... by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
kohinoor_
Guest
«Reply #1 on: January 29, 2008, 08:43:20 PM »
Reply with quote
ibaadat karna sada
na karna Khudaaon ki toheen
Khuda anekon hain
ek nahin
gar kahogay ki Khuda ek hai
tho dekh na sakogay sara nazaara kabhi
har ek Khuda se aayegi mere paas
ek ek haqeekat chunki
 
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2008, 09:10:09 PM »
Reply with quote
 kohinoor ji bohat acha likha hai.. Usual Smile
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #3 on: January 30, 2008, 02:08:28 AM »
Reply with quote
honeyrose ji bahut bahut shukriya.
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #4 on: January 30, 2008, 02:20:26 AM »
Reply with quote
Isse pehle ki Khudaaon se haqeekat mere paas aani shuru ho, aap pehle nazaaray ko ye haqeekat he samajh lijiye kyunki isay samjhay bina aap aur haqeekat nahin samajh paaengay.

Pehla nazaara ye hai: Oopar Khuda hain neechay hum hain. Jaisay hum hain aur hamaari ruh hai aur jub tak hum hain tho ruh saath hai, usi tarha se Khudaaon ki ruh bhi unke saath hai unse juda nahin hai. Jis tarha mein aur aap apnay vichaaron se kisi aur ko prabhavit kar sakthay hain aur karthay hain, usi tarha se Khuda bhi apnay vichaaron se hum insaanon ko kabhi kabhi prabhavit karthay hain. Iska matlab ye nahin hai ki Khuda ki ruh kisi per hai. Isiliye dharti per koi bhi insaan Khuda nahin hai, ye baat musalmaano nein aksar kahi hai ki dharti per koi Khuda nahin hai. Aur jis Trinity ki baat Christian karthay hain, usme Holy Spirit ya ruh God se alag nahin hai. Tho upar Khuda hain aur neechay hum insaan hain.
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #5 on: January 30, 2008, 03:29:53 AM »
Reply with quote
Baat ko aagay badhaein. Isa Maseeh nein kaha tha ki vo phir dobaara aaengay Khuda bankar, unhonein ye bhi kaha tha ki Holy Spirit aayegi aur ye bhi kaha tha ki vo God the Father ke saath aaengay. God the Father ka hamein pata nahin, lekin hamaaray vichaaron ko Isa Maseeh aur Ma Saraswati prabhavit karthay hain. Gautam Buddh se vichaaron ka hamein ehsaas nahin hai lekin hum unki kahi baaton se bahut prabhavit hain. Jo Christian baat karthay hain ki Holy Spirit Father se proceed hoti hai, uska matlab shaayad ye hai ki agar koi Khuda hai tho ussay spirit ke aanay ka matlab hai uss Khuda ke vichaaron se prabhaavit hona. Chunki Isa Maseeh Khuda hain tho unse vichaar aa sakthay hain, vo khud tho nahin aa sakthay na. Isi tarha Ma Saraswati kyunki Khuda hain unse vichaar aa sakthay hain. Ye vichaar shaayad hamein telepathy se Khuda bhejthay hain. Ye doosra nazaara nahin hai, usay hamein abhi analyze aur synthesize karna hai.
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #6 on: January 30, 2008, 06:14:23 PM »
Reply with quote
sabr karo pyaaro
sabr badi cheez hai
sabr mein he chhipa
shaayad pyaar ka sabab hai
pyaar he sabko
ajeez hai
tohfa ho tho ho pyaar ka
nahin tho tohfa kya cheez hai
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #7 on: January 30, 2008, 06:27:35 PM »
Reply with quote
wah!!  wah!! wah!!!

Bahot Badi bat kehdi tumne...
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #8 on: January 30, 2008, 07:17:49 PM »
Reply with quote
Thank you!
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #9 on: January 30, 2008, 07:33:41 PM »
Reply with quote
kehna chahti thi bahut dino se
magar kaha nahin gaya
ho jaati hai duniya
ya ho jaathay hain Khuda ke banday rusva
de nahin jaathay aseem pyaar
ya pyaar ka vo tohfa
jiski saari duniya ko hai parvah
pyaar mil nahin paata
so diya nahin jaata
hamaari baaton ka yahaan
ye hai sabsay eham mudda
haarti aai hai duniya aaj tak hamesha
kyunki Khuda ke bandon ko pyaar nahin diya gaya
shaayad hai Khudaaon ko isi ghadi ka intezaar
mile Khuda ke banday ko bus pyaar he pyaar
maana kavita karthay hain log
dil toot jaanay se
magar ye dil behlaana alag hai
Khuda ke bheje asli tohfe se
so confuse na ho jaana
phir se kahin tum
todogay dil hamaara yahaan
tho pehle tootogay tum
hum nahin karthay mazaak yahaan
isliye aap isay mazaak na samajhna
aap he sochiye hamein pyaar nahin mila
tho kaisay milega aapko ek haseen tohfa
sadiyon mein aisa nahin hua
tho ab bhi nahin hoga
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #10 on: January 30, 2008, 07:51:43 PM »
Reply with quote
maana Khudaaon ko hai
ajeez bahut he pyaar
lekin pyaaray duniya vaalo
nyaaye ko vo hamesha karthey hain
saro namaskaar!
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #11 on: January 30, 2008, 08:34:29 PM »
Reply with quote
Doosra nazaara ye hai: Maaf karna jo asli doosra nazaara hai vo mainay abhi puri tarha se analyze nahin kiya hai so mein ek aur baat ko doosra nazaara bana lethi hun jo ki yahan aana aur logon ke liye samajhna bahut he eham hai. Ise hum pehle bhi keh chuke hain. Vo is tarha se hai -

Khuda chahthay hain ki hum har tarha ke kaidi ko mukt kar dein, chaahay vo ho jail mein, aspataal mein, psychiatric ward mein, re-hab mein, asylum mein, zoo mein, ghar main, daftar mein, aur kahin bhi kisi bhi roop mein. Jaanwar ho ya insaan ho sabko mukt kar do. Agar hum aisa kar dengay tho vo bhi hamein mukti dengay. Ab prashn ye ki dharti kahegi pehel Khuda kyun na karein. Pehel dharti ko isliye karni hai kyunki Khuda hamaaray oopar hain aur unki taraf se hamein nyaaye he miltha hai tho anyaaye tho unhonein kiya he nahin. Anyaaye chunki dharti ke nyaaye mein hai isliye dharti ko he pehel karkay sabko riha karna hai. Hum agar ye pehel kar sakthay hain tho Khuda bhi hamein maaf kar dengay. Vo isliye ki logically agar ithnay chhotay honay ke baawajood hum ithna badaa kadam uthaakar dharti ko swarg banaa dein tho Khuda tho hamein turant he swarg dengay. Aagay maloom nahin jhalki swarg ki kab aaye. Tab tak ke liye ye he sahi.

Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #12 on: January 30, 2008, 08:50:15 PM »
Reply with quote
Tho abhi aap samajh he gaye hongay ki pyaar ka tohfa kya hai, vo hai swarg, aapko swarg diya jaaega basharthay ki aap hamaari baat rakhein sabki rihai ki. Kitaabi baatein karnay mein tohfa nahin hai, tohfa actual hai.
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #13 on: January 30, 2008, 08:53:37 PM »
Reply with quote
jo hamnein rihai ki baat ki hai usmein ye swata he shaamil hai ki jo ghodon, gaai aur bailon vagairha ke paaon mein loha thoka gaya hai vo nikaala jaega.
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #14 on: January 30, 2008, 08:58:45 PM »
Reply with quote
aapko yaad hoga ki Isa Maseeh kehthay rahey, "Kingdom of God is coming" lekin vo aaya nahin purn roop se. Abhi aaya hai, saaray Khuda laaye hain. Kingdom of God ka matlab hai swarg.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 12:19:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer