E-khuda ab tujh per yakin hota nahi

by Pooja on January 16, 2008, 05:21:18 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3492 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
E-khuda ab tujh per yakin hota nahi
main behak gai hu ya phir tu kuch hota nahi
hai andhkar her taraf, mera man chup hota nahi
dard ki nagari hai yah basera, kyun mera dil rota nahi

kaya tujh per andh-vishwas, aor mera vishwaas hi kho gaya
kaise or kayun Tu itna Nishthur ho gaya
uth raha hai mera yajin, ek din uth hi jayega
aise hi raha to koi bhi tera bhakat na rah jayega

E-khuda ab tujh per yakin hota nahi
main behak gai hu ya phir tu kuch hota nahi....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 26, 2008, 07:25:52 AM »
Reply with quote
Khuda Par Se Yakheen Na Gawaao Tum,.
Khudaa Ke Liye Khudaa Ke Ho Jaao Tum,.

Aazmaaish Hai Rab Ki Jo Tumse, Aur Koi Baat Nahi,.
Rab Ke Aaage Sar Jhukaake, Use Manaao Tum,.

Phir Dekho Rehmat Khudaa Ki "Pooja",.
Bas Ek Baar Khuda Ke Kareeb Aa Jaao Tum,.

__________________________________-Azeem-
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #2 on: January 26, 2008, 05:28:17 PM »
Reply with quote
zindagi ka matlab hai
khushi dhoondna
per kisi ki khushi
se na khelkar

jub
andhvishwaas kiya
tho khudh ke saath
anyaaye kiya

mera dil kehtha hai
Khuda hamein parakhta hai
isiliye jub hum kisi ke liye bahut zyaada karthey hain
tho hamesha dhoka khaathay hain

phir hum rusva hothey hain
aur complain karthey hain
lekin sazaa hamein isliye milti hai
kyunki kisi ke saath bahut bhala karney mein
hum uske aur apney saath anyaaye karthey hain

na uske rights dekhthey hain
na apney
aur phir maayuus hothey hain
ki ithna kiya aur dekho phal kiya mila

lekin duniya phir bhi
auroniye zaroorat se zyaada karti hai
aur phir jub dhoka khaati hai unse jinke liye kiya
tho baat samajh mein nahin aati hai

karo sahi apney liye aur doosron ke liye
na karo zyaada kabhi bhi kisi ke liye
nahin tho doosra bantha hai nikamma
aur sazaa hamein milti hai isiliye
aur milni bhi chaahiye!
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #3 on: January 26, 2008, 05:35:19 PM »
Reply with quote
isiliye jo Gautam Buddh nein kaha hai - sahi karam aur sahi vichaar - vo bahut he aavshyak hai duniya mein khush rehnay ke liye. Bujurg log jo bahut karthey hain bachchon ke liye vo na karein tho kabhi bachchay rusva na karein. Aapney dekha hoga rusvaai usi se milti hai jiske liye bahut kiya hotha hai kyunki humney unhain bigaada hotha hai, atha sazaa milti hai hamein.
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #4 on: January 26, 2008, 05:41:31 PM »
Reply with quote
I forgot to add, sazaa bilkul usi anuroop mein milti hai jis anuroop mein kisi ko bigaada hotha hai.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 31, 2008, 01:56:56 PM »
Reply with quote
Kohinoor Ji Bahoot Badiya Likha Hai Aapne.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: February 08, 2008, 04:59:23 PM »
Reply with quote
nice thoughts Kohinoor
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 12, 2008, 09:21:50 AM »
Reply with quote
Hai Khuda Haakim Sabhi Ka,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: February 12, 2008, 03:36:53 PM »
Reply with quote
Khuda Par Se Yakheen Na Gawaao Tum,.
Khudaa Ke Liye Khudaa Ke Ho Jaao Tum,.

Aazmaaish Hai Rab Ki Jo Tumse, Aur Koi Baat Nahi,.
Rab Ke Aaage Sar Jhukaake, Use Manaao Tum,.

Phir Dekho Rehmat Khudaa Ki "Pooja",.
Bas Ek Baar Khuda Ke Kareeb Aa Jaao Tum,.

__________________________________-Azeem-

bahoot sahi kaha Lil bro


Kash phir se wo khayal aa jaaye
is dil mai wo bhagwaan aa jaaye

Toot.te toot.te toot hi chala hai jo
wo Vishwaas phir se ek baar aa jaaye

Aajmaaish hai to ab Rub ki aajmaish hi sahi
maine manaya barso, is baar wo manane aa jaaye

Rehmat uski se mujhe hua na kabhi inkaar
magar mujhe hi itna dard kyun, ek baar yahi batane aa jaaye

Kash phir se wo khayal aa jaaye
is dil mai wo bhagwaan aa jaaye
Logged
baadal102
Guest
«Reply #9 on: February 12, 2008, 04:11:39 PM »
Reply with quote
KHUDA ki rehmat tujhe mil jai,
Tere dil ko saku mil jai,

Us ka kuch aisa karishma ho jai,
Rahe tumhari us ki manzil ho jai.



Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: February 12, 2008, 09:05:52 PM »
Reply with quote
nice lines Baadal ji!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 13, 2008, 08:15:52 AM »
Reply with quote
Shukriya Pooja Sis,.
and nice one badal ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 13, 2008, 08:20:23 AM »
Reply with quote
Aye Khuda Bakhsh De Rehmat Apni Hum Bekason Par,.
Hum Sab Ghamon Ke Toofano Mein Be Sahaare Hain,.

Umeed Lagaaye Baithe Hain Tujhse Panaah Ki Hum,.
Hain Zameen Par Lekin, Gardish Mein Kismat Ke Taare Hain,.

Jo Na De Tu Sahaara,.
To Kaun Hai Hamaara,.
Aaas Lagaaye Baithe Hain Tere Aaage,.
Simat Le Ya Khuda Hume Hum Ghamon Ke Maare Hain,.

___________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: February 13, 2008, 04:24:05 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 20, 2008, 09:07:07 AM »
Reply with quote
Shukriya Didi,.
Acha Lagta aap Bhi Kuch Likhte,.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:23:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer