Ghayel kahe Parmeshwar........(Ghayel)

by sajid_ghayel on January 26, 2009, 01:23:40 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5200 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Main musalman hu, maine diwali me deepak jalaye hain
Mere kandho pe khade hokar, dosto ne Govinda manaye hain

Holi pe rang lal, mere daman pe bhi laga hain
Kisi behna ka vishwas banke rakhi, mere hatho pe bandha hain

Kisi arthi ko kandha maine bhi diya hain
Apne ma baap ke liye banke Shravan kabhi Sajid bhi jeeya hain

Roka nahi kisi ne kabhi, kabeer ya Guru Nanak ke Pravachan ko
Roka nahi kisi ne kabhi Meera ke bhajan ko

Roki nahi kisi ne kabhi, Iqbaal ki shayri
Roki nahi kisi ne kabhi koi zubaan, woh chahe bole Allah ya Hari

Sai kahi Khwaja kahi yeh dharti azeem hain
Rama kaho Allah kaho, baat itni juda nahi
GHAYEL kahe Parmeshwar, tu kehde Raheem hain

                                      -Sajid Ghayel-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hone de Ghayel muje.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ghayel samajhta hain......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 7 8 »
Banke Ghayel hamesha.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel na yaha hota........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Ek Kahani Ghayel ki zubani........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Asghr
Guest
«Reply #1 on: January 26, 2009, 01:49:44 PM »
Reply with quote
BADA PYARA PAIGHAAM AUR BADIYA KALAAM, JO KEHTE  HO ACHA KEHTE HO
TAREEF KARNA TOU SOORAJ KO CHIRAGH DIKHANE K MOTRADIF HAI.ASGHR icon_salut Applause Applause Applause
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: January 26, 2009, 02:05:16 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

Really a heart touching shayari created by you Sajid ji
 
 
Hindu hoon mein musalman hai mere bhai behen aur dost
Mandir mein shiv hai mere dost
Masjid mein padhte hue azaan roz sunti hoon
Kya rakha hai bhasha mein jab dil ki dhadkhan ek hain
Pali hoon hindu aur islam bhai behon ko gale lagaya hain
Hindu hoon mein musalman hai mere bhai behen aur dost

**HR**
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: January 26, 2009, 02:39:19 PM »
Reply with quote
gayel ji.......

main hindu hun,maine bhi idd ki savaiya khahi hai,
main hindu hun, maine bhi muslim doston ki izzat payi hai.

holi mein rang lal ,pila ,hara  gulabi, sab hota hai,
hindu,muslim sikh isaayi,yeh bhi toh holi ka sab rang hota hai.

kisi ke janaaje mein ham bhi gaye hain,
ham bhi apne maa-baap ke khushion mein hi, khush rahe hain.

roka nahin kabhi muslim ne, sikh ko jaane ko masjid mein,
roka nahin kabhi hindu ne,isaayi ko jaane ko mandir mein.

roka nahin kabhi kisi ne,kisi bhi jubaan ko,
chahe bole -ya ali, hari om  hari,ya bole oh jesus,ya bole wahe guru.

hey maalik ik din dharti par aajaa ,
aap ek hi hai,inko samjaa jaa.

                IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGEY.


Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: January 26, 2009, 04:17:12 PM »
Reply with quote
Main musalman hu, maine diwali me deepak jalaye hain
Mere kandho pe khade hokar, dosto ne Govinda manaye hain

Holi pe rang lal, mere daman pe bhi laga hain
Kisi behna ka vishwas banke rakhi, mere hatho pe bandha hain

Kisi arthi ko kandha maine bhi diya hain
Apne ma baap ke liye banke Shravan kabhi Sajid bhi jeeya hain

Roka nahi kisi ne kabhi, kabeer ya Guru Nanak ke Pravachan ko
Roka nahi kisi ne kabhi Meera ke bhajan ko

Roki nahi kisi ne kabhi, Iqbaal ki shayri
Roki nahi kisi ne kabhi koi zubaan, woh chahe bole Allah ya Hari

Sai kahi Khwaja kahi yeh dharti azeem hain
Rama kaho Allah kaho, baat itni juda nahi
GHAYEL kahe Parmeshwar, tu kehde Raheem hain

                                      -Sajid Ghayel-


Bahut accha kavita padne ko mila.
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: January 26, 2009, 04:18:56 PM »
Reply with quote
gayel ji.......

main hindu hun,maine bhi idd ki savaiya khahi hai,
main hindu hun, maine bhi muslim doston ki izzat payi hai.

holi mein rang lal ,pila ,hara  gulabi, sab hota hai,
hindu,muslim sikh isaayi,yeh bhi toh holi ka sab rang hota hai.

kisi ke janaaje mein ham bhi gaye hain,
ham bhi apne maa-baap ke khushion mein hi, khush rahe hain.

roka nahin kabhi muslim ne, sikh ko jaane ko masjid mein,
roka nahin kabhi hindu ne,isaayi ko jaane ko mandir mein.

roka nahin kabhi kisi ne,kisi bhi jubaan ko,
chahe bole -ya ali, hari om  hari,ya bole oh jesus,ya bole wahe guru.

hey maalik ik din dharti par aajaa ,
aap ek hi hai,inko samjaa jaa.

                IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGEY.




Good...  very good thinking Cara  Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: January 27, 2009, 04:39:30 AM »
Reply with quote
Main musalman hu, maine diwali me deepak jalaye hain
Mere kandho pe khade hokar, dosto ne Govinda manaye hain

Holi pe rang lal, mere daman pe bhi laga hain
Kisi behna ka vishwas banke rakhi, mere hatho pe bandha hain

Kisi arthi ko kandha maine bhi diya hain
Apne ma baap ke liye banke Shravan kabhi Sajid bhi jeeya hain

Roka nahi kisi ne kabhi, kabeer ya Guru Nanak ke Pravachan ko
Roka nahi kisi ne kabhi Meera ke bhajan ko

Roki nahi kisi ne kabhi, Iqbaal ki shayri
Roki nahi kisi ne kabhi koi zubaan, woh chahe bole Allah ya Hari

Sai kahi Khwaja kahi yeh dharti azeem hain
Rama kaho Allah kaho, baat itni juda nahi
GHAYEL kahe Parmeshwar, tu kehde Raheem hain

                                      -Sajid Ghayel-


 Applause Applause  Clapping Smiley Lovely Sajid! Lovely!! YOURS is the spirit of a pure Hindustani! Ham eik hain! Ham eik hain!! Ham eik raheyngey!!! Nothing shall ever divide us! HE IS ONE THOUGH THE PEOPLE CALL HIM BY VARIOUS NAMES! And, that is the fact!!
                                             - abd bundeli
                       

                     
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #7 on: January 27, 2009, 06:29:24 AM »
Reply with quote
Main musalman hu, maine diwali me deepak jalaye hain
Mere kandho pe khade hokar, dosto ne Govinda manaye hain

Holi pe rang lal, mere daman pe bhi laga hain
Kisi behna ka vishwas banke rakhi, mere hatho pe bandha hain

Kisi arthi ko kandha maine bhi diya hain
Apne ma baap ke liye banke Shravan kabhi Sajid bhi jeeya hain

Roka nahi kisi ne kabhi, kabeer ya Guru Nanak ke Pravachan ko
Roka nahi kisi ne kabhi Meera ke bhajan ko

Roki nahi kisi ne kabhi, Iqbaal ki shayri
Roki nahi kisi ne kabhi koi zubaan, woh chahe bole Allah ya Hari

Sai kahi Khwaja kahi yeh dharti azeem hain
Rama kaho Allah kaho, baat itni juda nahi
GHAYEL kahe Parmeshwar, tu kehde Raheem hain

                                      -Sajid Ghayel-


sajid yaar kya khoob likha hai...tune yaar.....dil khush ho gaya......kaash ke sabhi log tumhaari soch saken.....nafrat ke udaharn (example) dete log pyaar ke in sekdon uda-harano ko najar-andaaj kar dete hain..........lekin fir bhi pyaar ki ye dor aur majboot hoti jaati hai.......bahoot khoob dost...hazaron lakhon daad..
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #8 on: January 27, 2009, 06:31:02 AM »
Reply with quote
gayel ji.......

main hindu hun,maine bhi idd ki savaiya khahi hai,
main hindu hun, maine bhi muslim doston ki izzat payi hai.

holi mein rang lal ,pila ,hara  gulabi, sab hota hai,
hindu,muslim sikh isaayi,yeh bhi toh holi ka sab rang hota hai.

kisi ke janaaje mein ham bhi gaye hain,
ham bhi apne maa-baap ke khushion mein hi, khush rahe hain.

roka nahin kabhi muslim ne, sikh ko jaane ko masjid mein,
roka nahin kabhi hindu ne,isaayi ko jaane ko mandir mein.

roka nahin kabhi kisi ne,kisi bhi jubaan ko,
chahe bole -ya ali, hari om  hari,ya bole oh jesus,ya bole wahe guru.

hey maalik ik din dharti par aajaa ,
aap ek hi hai,inko samjaa jaa.

                IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGEY.



cara aapko kai baar maine likhte dekha....jawab turant dena aapki khoobi hai..aur vishay se na bhatkna aapki peh-chan...bahoot umda dost......
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #9 on: January 27, 2009, 06:55:37 AM »
Reply with quote
Wah Wah Mere dost kya likha hai tone eak aisa paigaam jo sub ko eak karde wah wah maan gaye teri shayari ko, kya bhaichara diya teri ghazal ne !! eak kushish meri bhi qubool ho tawajo chahonga !!


Chudo ye mazhaboon ke jhagde insaniyat ko jagruth karo !!
MANDIR me hum pooja Karen MASJID me tum namaz pado !!


Qadeer Toopchi
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #10 on: January 27, 2009, 07:15:22 AM »
Reply with quote
qadeer ji aapke is sher ko padh kar tah-e-dil se ek hi shabd nikla wo hai aamin
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #11 on: January 27, 2009, 07:20:58 AM »
Reply with quote
qadeer ji aapke is sher ko padh kar tah-e-dil se ek hi shabd nikla wo hai aamin

Sum Ameen Sajeev sahab !! Allah hum sub hindustaniyon ke eak hone ki taufeeq de !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: January 27, 2009, 12:00:55 PM »
Reply with quote
Subhan Allah subhan Allah,.
Kya Khoob Kaha Hai Sajid Bhaiya,.
Bohat Achche, Aur Aapki Do Lines Bhi Kamaal Kar Gayi, Abdul Qadeer Bhaiya,.

And Nice One Cara JI., And Jaya Didi,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 27, 2009, 12:13:05 PM »
Reply with quote
Aao Milkar Sab Ek Hojaayein,.
Nafraton Ki Aag Bujhaayein,.

Tum Pukaaro Allahu Akbar,.
Hum Milkar Bhajan Gaayein,.
Aao Milkar Sab Ek Hojaayein,.

Duniya Phir Se Khil Uthegi,.
Khushiyaan Phirse Barsengi..
Mazhabon Ki Ladaai Ko Chordke,.
Aao Hum Sab Insaan Banjaayein,.
Aao Milkar Sab Ek Hojaayein,.

________________-Jaanasheen-
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #14 on: January 27, 2009, 12:17:30 PM »
Reply with quote
Aao Milkar Sab Ek Hojaayein,.
Nafraton Ki Aag Bujhaayein,.

Tum Pukaaro Allahu Akbar,.
Hum Milkar Bhajan Gaayein,.
Aao Milkar Sab Ek Hojaayein,.

Duniya Phir Se Khil Uthegi,.
Khushiyaan Phirse Barsengi..
Mazhabon Ki Ladaai Ko Chordke,.
Aao Hum Sab Insaan Banjaayein,.
Aao Milkar Sab Ek Hojaayein,.

________________-Jaanasheen-


Excellent !! Mind blowing , fantastic ,aur jitni bhi english me tarifen hain tere naam chute !! paheli baar english me tarif kar raha hon sajid ki is thread ko padke urdu me tarif karna bhol gaya mai kya likha azeem tune ye thread aise hi chalte rahe to maza ajaye !! sajid ne bhai chare ki ka naya topic diya hai yoindia ko ajj !! tamam yoindia sajid ka shukriya ada kare to bahetar hai meri nazar me wah wah !! azeem acha qayal rakha hai tumne !!

Qadeer Toopchi
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:24:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer