Ghutney Tikkay Baazu Jhukey......Abul Asad

by Abul Asad on January 23, 2012, 01:24:17 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1581 times)
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
Reply with quote
Ghutne Tikkay

Ghutne tikke Baazu jhuke sarb-e sajdah khudara tere
Gunahon ki maafi talab hoon khudara main tere agay

Bade din ki gustaaqh thi jo meri aankhen
Sharm se jhuki hovi hain aaj voh tere age

Jo tha bada faqr-o jalaal jawani ka apni mujh ko
To de patki hai gardan budhape ne meri tere aage

Aulaad-o husn-o zawaj ka jo tha gumaan mujh ko
Safr-e zindagi ki us modh par hun ab main tere aage

Na awaz-e aulaad hai kanon men
Na deedar-e husn-o zawaj mere age

Aik lamhe ka waqt hai ab
Duniya men mera tere aage

Ruqh hai ehl-e khuboor ki taraf mere aage
Sar-be sajdah hai sar,  abul ka bas ab tere aage
Abul Asad

Meaning of difficult words:

Ghutney: knees.
Baazu: haath.
Sarb-e sajdah: Sar ko sajdeh men rakhna,
To touch one's forehead on the ground in worship.
Khudara: O' God
Gustaaqh: Audacious, arrogant
Faqr: pride,
Jalaal :splendor, majesty.
Gardan: neck
Husn: beauty,
Zawaj: wife, companion
Ruqh: direction.
Ehl-e Khuboor: People of the grave.
Ahl-e Basirat: (people of the graves-is probably not right as earlier stated) Correction:Basirat means, Hidayat or wisdom so people of wisdom probably has the closest meaning. Thanks to Qais Sahab, this mistake was corrected and i am changing the original word to Ahl-e khuboor.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: January 23, 2012, 04:38:51 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #2 on: January 23, 2012, 05:12:05 AM »
Reply with quote
Shukriya Dr. Sahab,

Dua Goo
Abul Asad
Logged
Qais
Guest
«Reply #3 on: January 23, 2012, 05:27:38 AM »
Reply with quote
Bahut achhe, Asad bhai.Lekin janab ahle basirat people of the graves nahi hote.
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #4 on: January 23, 2012, 05:39:05 AM »
Reply with quote
Bahut achhe, Asad bhai.Lekin janab ahle basirat people of the graves nahi hote.

Qais sahab,

Maafi talab hain aapse, magar yeh aik ashar ki daleel deta hoon aapko Allama Iqbal ki, Bang-e dara, Jis ka tarjumah bhi kanhi par darz hai shayad mere paas.
Yeh ghazal kuch arsa pehle padhi thi maine, aur iska tarjuma bhi.

Shayad voh ghalat hoga, magar aap se islah ki darkhwast hai. Mamnun rahonga aapka agar yeh ashaar Iqbal ke bhi jis mein Ahl-e Basirat ka zikr aata hai, is ki tafseer karden.

Talib-Talab
Abul Asad

"Hum Mashriq Ke Maskeenon Ka Dil Maghrib Mein Ja Atka Hai
Waan Kantar Sub Ballori Hain Yaan Aik Purana Matka Hai

Iss Dour Mein Sub Mit Jaen Ge, Haan! Baqi Woh Rehjaye Ga
Jo Qaeem Apni Rah Pe Hai Aur Pakka Apni Hat Ka Hai

Ae Shiekh-o-Barhman, Sunte Ho! Kya Ahl-e-Basirat Kehte Hain
Gardoon Ne Kitni Bulandi Se In Qoumon Ko De Tapka Hai"
Allama Iqbal

Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #5 on: January 23, 2012, 05:58:48 AM »
Reply with quote
Ghutne Tikkay
[b]
Ghutne tikke Baazu jhuke sarb-e sajdah,  khuda tere aagay
Gunahon ki maafi talab hoon khudara main tere agay

Bade din ki gustaaqh thi jo meri aankhen
Sharm se jhuki hovi hain aaj voh tere age

Jo tha bada faqr-o jalaal jawani ka apni mujh ko
To de patki hai gardan budhape ne meri tere aage

Aulaad-o husn-o zawaj ka jo tha gumaan mujh ko
Safr-e zindagi ki us modh par hun ab main tere aage

Na awaz-e aulaad hai kanon men
Na deedar-e husn-o zawaj mere age

Aik lamhe ka waqt hai ab
Duniya men mera tere aage

Ruqh hai ehl-e basirat ki taraf mere aage
Sar-be sajdah hai sar,  abul ka bas ab tere aage[/b]

Abul Asad

Meaning of difficult words:

Ghutney: knees.
Baazu: haath.
Sarb-e sajdah: Sar ko sajdeh men rakhna,
To touch one's forehead on the ground in worship.
Khudara: O' God
Gustaaqh: Audacious, arrogant
Faqr: pride,
Jalaal :splendor, majesty.
Gardan: neck
Husn: beauty,
Zawaj: wife, companion
Ruqh: direction.
Ahl-e Basirat: people of the graves


SUBHANALLAH. ALLAH HUM SAB KE GUNAH MAAF KARE AAMIN. BAHUT KHOOB LIKHA HAI ABUL SAHAB.  AAP ISI TARAH APNE URDU KI CHASHNI KALAAM MEIN GHOLTE RAHEIN AUR HUM JAISE PYAASO.N KO ISKA MAZAA LETE RAHEIN. ALLAH KAHIR KARE HUM SAB KE SAATH
Logged
Qais
Guest
«Reply #6 on: January 23, 2012, 06:19:46 AM »
Reply with quote
Qais sahab,

Maafi talab hain aapse, magar yeh aik ashar ki daleel deta hoon aapko Allama Iqbal ki, Bang-e dara, Jis ka tarjumah bhi kanhi par darz hai shayad mere paas.
Yeh ghazal kuch arsa pehle padhi thi maine, aur iska tarjuma bhi.

Shayad voh ghalat hoga, magar aap se islah ki darkhwast hai. Mamnun rahonga aapka agar yeh ashaar Iqbal ke bhi jis mein Ahl-e Basirat ka zikr aata hai, is ki tafseer karden.

Talib-Talab
Abul Asad

"Hum Mashriq Ke Maskeenon Ka Dil Maghrib Mein Ja Atka Hai
Waan Kantar Sub Ballori Hain Yaan Aik Purana Matka Hai

Iss Dour Mein Sub Mit Jaen Ge, Haan! Baqi Woh Rehjaye Ga
Jo Qaeem Apni Rah Pe Hai Aur Pakka Apni Hat Ka Hai

Ae Shiekh-o-Barhman, Sunte Ho! Kya Ahl-e-Basirat Kehte Hain
Gardoon Ne Kitni Bulandi Se In Qoumon Ko De Tapka Hai"
Allama Iqbal


Asad saheb, bahut shukriya.Janab baseerat ka lughvi maani ( dictionary meaning ) 'dil ki beenaai ' hai . Aap ne jo Allama Iqbal ke ashaar quote kiye hain unnse bhi ahl e baseerat ka matlab people in the graves nahin nikalta bulki unlogon ke liye hai jo baatini aql o faham rakhte hain.Aap ka tarjuma mere khayal mein ghalat thha so main ne kah diya .
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: January 23, 2012, 06:19:46 AM »
Reply with quote
behad umdaa
Abul Sahab aapka jawaab nhi.
Allah hum sab ke gunah muaf karen--aameen

khus rahen
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #8 on: January 23, 2012, 06:39:46 AM »
Reply with quote
Asad saheb, bahut shukriya.Janab baseerat ka lughvi maani ( dictionary meaning ) 'dil ki beenaai ' hai . Aap ne jo Allama Iqbal ke ashaar quote kiye hain unnse bhi ahl e baseerat ka matlab people in the graves nahin nikalta bulki unlogon ke liye hai jo baatini aql o faham rakhte hain.Aap ka tarjuma mere khayal mein ghalat thha so main ne kah diya .

shurkriya Qais sahab,

Main ne islah kardi, Phir thori si research karne par aap ki baat aur tarjuma sahi tha, Ye meri ghalati ko durust kardiya hoon,
Aur yeh bhi darz kiya hun ke aap ki wajah se meri yeh awwali
ghalati ko durust kiya gaya hai. Shukriya meri ghalati ki islah
ke liye, JI MAIN GHALAT THA. Bara-e karam original ki ap aik nazr dubara dekhlijeye.

Mashkoor Aapka
Dua Goo
Abul Asad

Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #9 on: January 23, 2012, 06:42:15 AM »
Reply with quote

SUBHANALLAH. ALLAH HUM SAB KE GUNAH MAAF KARE AAMIN. BAHUT KHOOB LIKHA HAI ABUL SAHAB.  AAP ISI TARAH APNE URDU KI CHASHNI KALAAM MEIN GHOLTE RAHEIN AUR HUM JAISE PYAASO.N KO ISKA MAZAA LETE RAHEIN. ALLAH KAHIR KARE HUM SAB KE SAATH


Shukriya Adil Sahab,

Aik Main'e main ne ghalat samjhe the aur ghalat darz kiye the, aur Iss ki isslah original post men kardiye gaye hain, Meri aik
aur ghalati ki maafi talab aap sab se.
Aur Qais sahab ka shukr guzaar aap sab ke aage.
Logged
dolly
Guest
«Reply #10 on: May 12, 2012, 12:21:05 PM »
Reply with quote
beautiifulllll....ultimate...

ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:28:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.345 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer