Hamd {Abdul Qadeer}

by Jaanasheen on August 29, 2010, 02:51:46 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2024 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
Reply with quote
As salaam walaikum, Is Hamd KO Maine Qadeer Bhai Se Sunaa Aur Mashallah Bohat Achchi Lagi Mujhe, Main Chahta Hoon Ke Yoindia Ke Aaare Ahbaab is Hamd Se Wabasta Ho, Aur Duaa Karein Likhne Waale ke Liye Aur Share Karne Waale ke LIye Bhi,.

Mere allah ye kainat tujh se hai
Arsh o farsh ki tajiliyat tujh se hai

Ye aftaab aur ye mahetaab tujh se
Kainat ka har zarra shaadab tujh se hai

Tere aage kissi taqath ki bisaat kya hai
Jo tu chahe agar to maut kya hai hayat kya hai

Aise maujze tone hume dikhlaaye hain
Samandaron me bhi tone raaste banaye hain

Tu jabbar hai ,gaffer hai , qadeer hai , rahemaan hai tu
Haar haal me apne bandon pe maherbaan hai tu

Hum gunha gaaron ko kya-kya na diya tone
Maa.N ke shikamm me bhi hame risq diya tone

Jaang-e-ohad me jisne hame jitaya wo tu hai
Kaabe ko dushmano se jis ne bachaya wo tu hai

Ismail ki eadi se jisne chasma bahaya wo tu hai
Hawa se jisne aanwal taheraya wo tu hai

Naa-paak gatron ko jisne shakal banaya wo tu hai
Bhatakte musafiron ko jo manzil  tak laya wo tu hai

Machli ke pett ko jisne panhaga banaya wo tu hai
Tapti zameen per jisne badal barsaya wo tu hai

Paudo.N ko mitti se jisne ugaya wo tu hai
Dane ko gul-e-gulzaar jisne banaya wo tu hai

Yajooj o majooj se jo  bachayega wo tu hoga
ISAA ko jo phir se duniya me layega wo tu hoga

Kaa.na dajjal se phir hame bachayega tu
Badi shiddat se phir hame aazmayega tu

Safa ki pahadi phategi tere hukm se allah
Ik jaanwar se duniya ka jayeza karayega tu

Phir zamee.N ko dhasa ke dikha dega tou
Imaan ki pahechan sub ko kara dega tu

Tere hukm se aftaab tula na hoga
Ye dekh sara jahan pareshan bhi hoga

Phir tauba ka darwaza band kar dega tu
Apni kitaab ko wapas yun bula lega tu

Jo ik ishare me duniya ko mitayega wo tu hoga
Pahadon ko jo hawa me udayega wo tu hoga

Zamee.N se murdo.N ko jo uthayega wo tu hoga
Ke gaheri neendh se jo sub ko jagayega wo tu hoga

Roz-e-maheshar jo sunega aur sunayega wo tu hoga
Khold ka raasta jo jo dikhlayega wo tu hoga

Jahanum ki aag me jo jalayega wo tu hoga
Aamal nama jo tulayega wo tu hoga ..

Rahem karega aur sitam jo dhayega wo tu hoga
Jo sub pe phir karam farmayega wo tu hoga

Brahma jism ko jo lebaas dilwayega wo tu hoga
Sarapa mahubbat jo hum pe lutayega wo tu hoga

-Abdul Qadeer Toopchi-

Logged
nazar.ghouri
Guest
«Reply #1 on: August 29, 2010, 03:26:46 PM »
Reply with quote
Azeem bhai saheb aap qaabil e mubarakk baad hain ke Abdul Qadeer toopchi saheb ki likhi hoi hamd ko share kiya,ek ek sher main Qadeer bhai ne ek ek waqiya ko piroya hai,unka yeh andaaz laaeq -e-tehseen hain,jis tarha aapne A.Qadeer bhai se yeh hamd suni hai,iss na cheez ko bhi yeh sharf hasil hua hai,mein aap dono ke haqq main yeh du'a karta hoon ke Allah tal'a aap logao'n ki har jaayez khwahishaat ko puri kare,aur Qadeer bhai ke zahen o qalam se iss tarhe ki aur bhi taqleeqao'n ko padhne aur sunne ka mauqa inaayet farmaae. Ameen summa Ameen.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: August 29, 2010, 06:35:12 PM »
Reply with quote
Masha Allah! Subhan Allah

Allah pak ki humdosana padhker behad sukun hua, Bahut achche aur gehre khayaloN ko behad saaf lafzoN meiN ubhara hai Qadeer Sahab....Padhte waqt Roa roa uthne laga tha... AnkheN purnam ho gayi.... Allal ki shaan hai jo hum jaise nafarmaano ki bhi maslihatoN ko aasaan karta hai aur apna karam rahta hai hum per....
Subhan Allah.... Allah pak aapko aur hum sabko apni panaah meiN mehfuz rakhe...
Woh Jabbar hai Gaffar hai Azeem hai Raheem hai Kareem hai...... Uski hamd meiN aapne likha Allah aapko uske ajar meiN jannatul firdos naseeb kare aameen....

Humare saath is muqadaas kalam ko share karne ka tahe dil se shukriyaa janab......

Likhate rahiye.....
Khuda Hafez.......             

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: August 31, 2010, 01:40:52 AM »
Reply with quote
As salaam walaikum, Is Hamd KO Maine Qadeer Bhai Se Sunaa Aur Mashallah Bohat Achchi Lagi Mujhe, Main Chahta Hoon Ke Yoindia Ke Aaare Ahbaab is Hamd Se Wabasta Ho, Aur Duaa Karein Likhne Waale ke Liye Aur Share Karne Waale ke LIye Bhi,.

Mere allah ye kainat tujh se hai
Arsh o farsh ki tajiliyat tujh se hai

Ye aftaab aur ye mahetaab tujh se
Kainat ka har zarra shaadab tujh se hai

Tere aage kissi taqath ki bisaat kya hai
Jo tu chahe agar to maut kya hai hayat kya hai

Aise maujze tone hume dikhlaaye hain
Samandaron me bhi tone raaste banaye hain

Tu jabbar hai ,gaffer hai , qadeer hai , rahemaan hai tu
Haar haal me apne bandon pe maherbaan hai tu

Hum gunha gaaron ko kya-kya na diya tone
Maa.N ke shikamm me bhi hame risq diya tone

Jaang-e-ohad me jisne hame jitaya wo tu hai
Kaabe ko dushmano se jis ne bachaya wo tu hai

Ismail ki eadi se jisne chasma bahaya wo tu hai
Hawa se jisne aanwal taheraya wo tu hai

Naa-paak gatron ko jisne shakal banaya wo tu hai
Bhatakte musafiron ko jo manzil  tak laya wo tu hai

Machli ke pett ko jisne panhaga banaya wo tu hai
Tapti zameen per jisne badal barsaya wo tu hai

Paudo.N ko mitti se jisne ugaya wo tu hai
Dane ko gul-e-gulzaar jisne banaya wo tu hai

Yajooj o majooj se jo  bachayega wo tu hoga
ISAA ko jo phir se duniya me layega wo tu hoga

Kaa.na dajjal se phir hame bachayega tu
Badi shiddat se phir hame aazmayega tu

Safa ki pahadi phategi tere hukm se allah
Ik jaanwar se duniya ka jayeza karayega tu

Phir zamee.N ko dhasa ke dikha dega tou
Imaan ki pahechan sub ko kara dega tu

Tere hukm se aftaab tula na hoga
Ye dekh sara jahan pareshan bhi hoga

Phir tauba ka darwaza band kar dega tu
Apni kitaab ko wapas yun bula lega tu

Jo ik ishare me duniya ko mitayega wo tu hoga
Pahadon ko jo hawa me udayega wo tu hoga

Zamee.N se murdo.N ko jo uthayega wo tu hoga
Ke gaheri neendh se jo sub ko jagayega wo tu hoga

Roz-e-maheshar jo sunega aur sunayega wo tu hoga
Khold ka raasta jo jo dikhlayega wo tu hoga

Jahanum ki aag me jo jalayega wo tu hoga
Aamal nama jo tulayega wo tu hoga ..

Rahem karega aur sitam jo dhayega wo tu hoga
Jo sub pe phir karam farmayega wo tu hoga

Brahma jism ko jo lebaas dilwayega wo tu hoga
Sarapa mahubbat jo hum pe lutayega wo tu hoga

-Abdul Qadeer Toopchi-

Nice sharing
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: August 31, 2010, 06:47:59 PM »

SUBHAN ALLAH...SUBHAN ALLAH....QADEER SAHAB AUR AZEEM SAHAB AALAH AAP KO JAZAYE KHAIR DE......'SURAYE RAHMAAN' YAAD AA GAYA
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:26:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer